part 57

2.3K 87 11
                                    

Chunni ke nasib mein kisi idare mein parwarish paana nahi likha tha, is ke nasib mein Salar Sikandar ke ghar mein hi palna barhna likha tha. Jab tak Salar qanooni muamlaat ko nipta kar Chunni ke liye ek idare ka intikhab karta, Chunni ko shadeed numonia ho gaya tha. Do din ke baad in logon ko wapas ka Congo jana tha. Un ki teen haftay ki chhuti khatam ho rahi thi. Fori tor par chahne ke bawajood woh Chunni ko kisi hospital ya foster home mein is halat mein chhod kar nahi jasake. Ek ajeeb khadsha in donon ko lahaq hua tha. Agar is bachi ki achi nigahdashi na hoti aur woh unke is tarah chhod jane par khuda na khwasta mar jati to woh khud ko kabhi maaf na kar pate.

Salar aur Imama ne yeh faisla kiya tha ke Imama bachon ke saath tab tak wahi rahegi jab tak Chunni ki halat sambhal nahi jati, Salar wapas chala gaya tha.

Imama do haftay aur Pakistan mein rahi. Chunni ki halat sambhali gayi thi magar ab woh bachon ke saath aur khaas tor par Hameen ke saath isi tarah attached hogayi thi ke woh un se alag hone par taiyar hi nahi thi. Salar un logon ko Pakistan se wapas le jane ke liye aya aur Hameen ko bataye baghair woh dobara Chunni ko ek idare mein chhodne gaya. Woh donon bar us se lipat kar cheekhain maar kar rone lagi. Woh us ke ilawah kisi aur ki god mein bhi jane ko tayyar nahi thi. Woh zabardasti usay thama kar bahar nikalta aur us ki cheekhon ki awaz sun kar kisi ajeeb kefiyat mein wapas chala ata. Woh us ki god mein aate hi yun chup ho jati jaise kuch hua hi na ho. Jaise woh waqai apne baap ki god mein ho...

Woh Jabreel ko Quran Pak khud hifz karwa raha tha aur Pakistan se chale jane ke baad do hafton tak woh roz Skype par Jabreel ko parhata. Phir bachon aur Imama se baat karta to Chunni bhi isi mahol ka hissa hoti... Woh Salar ko screen par numudar hotay dekh kar isi tarah khushi se cheekhein maarti. Aur us ne apni zindagi ka pehla lafz bhi Salar ke Pakistan aane par usay dekh kar baqi bachon ke saath us ki taraf bhagte hue ada kiya tha. Baa baa wo Salar ki taraf bhagte hue bolti jarahi thi aur is baat ko sab se pehle Hameen ne notice kiya tha.

"Oh my God! She can talk," ("Oh Khudaya, yeh bol sakti hai)" Salar ki taraf bhagte hue us ke pairo ko jaise brake lag gaye. Woh apni moti moti ankhein gol kiye Chunni ko dekh raha tha, jo ab Salar ki tangon se lipti hui thi. Salar, Anaya ko uthaaye hue tha aur woh us ki tangon se lipti "ba ba ba" bolti ja rahi thi, munh upar kiye hue chamakti ankhon ke saath. Ellergy ke mundmil hotay hue nishaanat wala chehra aur sar par naye nikle hue siyah balon ki halki si teh... aur sehat mand chehra yeh woh bachi nahi thi jise ek mahine pehle woh murghiyon ki gandagi khaate utha kar laya tha us ke trousers ke kapray ko apni muthiyon mein kheenchay, woh ab muthiyan khol kar bazu hawa mein lehrati thi. Salar Sikandar ki taraf... is tarah ke woh ab usay bhi uthayega jaise us ne Anaya ko uthaya tha... Pederani shafqat agar koi cheez thi to is waqt Salar ne Chunni ke liye wahi mehsoos ki aur kis rishte se, yeh us ki bhi samajh mein nahi aaya. Us ki samajh mein yeh baat kabhi bhi nahi aasakti thi ke kuch rishte khoon ke nahi hote, nasib ke hote hain... Salar Sikandar aur us ka khandan nasib se Chunni ko mila tha.

Salar ne Anaya ko neeche utara aur apne pairo se lipti Chunni ko uthaaliya.. woh khilkhilayi. Us ne Anaya ki tarah baari baari Salar ke gaal chume phir woh Salar ki gardan ke gird haath lapet kar us ke saath yun chipak gayi ke ab neeche nahi utregi. Woh pehla lamha tha jab Salar ko andaaza hua Chunni se alag hona waqt talab kaam hai. Woh kaise un ke ghar aur zindagiyon ka hissa ban gayi thi, un mein se kisi ko ehsaas bhi nahi hua tha.Siwaye Hameen ke... jo din mein taqreeban teen sau baar yeh elaan karta tha.. "That he finally has a baby sister." ("Woh ab uski behen hai) Chunni ke status mein yeh tabdeeli Jabreel ki koshishon se mumkin hui thi. Jis ne kayi din Hameen ke saath sarkhapanay par usay is baat par tayyar kar liya tha ke woh Chunni ko adopt kar ke apni aulad banane ke bajaye usay apni behan bana sakta tha. Baby sister aur ab Hameen ki is baby sister ko kisi dar al-aman chhodna Salar ke liye ajeeb jaan jokhon ka khail ban gaya tha. Salar Sikandar koi bohot zyada jazbaati insaan nahi tha magar is dhedh sal ki bachi ne usay ajeeb doura hai par la kar khara kar diya tha. Woh wapas jaane se pehle Imama ke saath baith kar Chunni ke liye har mumkinat ko zair ghoor lata raha tha aur har imkaan ko rad karta raha yaha tak ke Imama ne keh hi diya.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now