part 52

2.3K 58 5
                                    

Imam sahab se teen sau rupay ka woh qarz hi tha, jis ne Ghulam Fareed ko pehli baar yeh ehsaas dilaya ke ameer banna itna mushkil nahi tha jitna woh samajhta tha aur us gaon ke aur bohot se log thay jo isi ki tarah kayi saal yeh khwab palne ke baad bil akhir woh aasan raasta ya rastay dhoondh ne mein kaamyaab ho gaye thay, jin se ameer bana ja sakta tha.

Imam masjid bhi in hi logon mein shamil thay, jo sirf aakhirat mein hi jannat nahi chahte thay, balkay isi duniya mein bhi unhein jannat ka aish o aaram chaahiye tha. Unho ne Ghulam Fareed ko teen sau rupay ka qarz to de diya tha, magar saath uski yeh zimmedari bhi laga di thi ke woh is school ke maalikon se masjid ke liye chanda le kar unhein de.

Ghulam Fareed ne jahan Maulvi sahab ko yeh yaqeen dilaya tha ke school ke maalikan bade fayyaz thay, wahan yeh jhoot bhi bola tha ke woh Ghulam Fareed ko bohot maante thay aur woh gaon mein kisi ko kuch bhi dene dilane ke liye Ghulam Fareed se aksar mashwara karte thay aur masjid ke liye chanda to Ghulam Fareed ke liye waise hi baayein haath ka khel tha.

Maulvi sahab ne Ghulam Fareed ki baaton par andha etemad to yaqeenan nahi kiya tha, warna ek hazaar rupay ki woh raqam jo us ne qarz mangi thi, uske bajaye sirf teen sau rupay usay naa dete lekin unhone phir bhi kisi nah kisi had tak Ghulam Fareed ki baat par yaqeen zaroor kiya tha. Haqeeqat yeh thi ke school ke maalikan Ghulam Fareed ko shakl se to pehchante honge lekin uska naam koi nahi janta tha aur is ki wajah yeh thi ke school mein koi ek chowkidaar nahi tha. School ki wasee aur aareez imarat mein mukhtalif waqt mein teen, chaar chowkidaar pahra dete thay aur Ghulam Fareed un mein se ek tha aur Ghulam Fareed ko apni hesiyat aur auqat ke baare mein pata bhi tha.

Maulvi sahab se to Ghulam Fareed ne jhoot bola tha lekin Maulvi sahab ke bar bar israr par heelay bahaane banane ke baad usne bilakhir school ke maalikan se masjid ke liye chande ki baat kar hi li thi. School ke us maalik ne Maulvi sahab ko bulwa kar is chande ke hawale se ye tafseelat maloom ki thi ke unhein chanda kis liye chahiye tha aur Maulvi sahab ne chhote mote akhrajat ki ek lambi tafseel school ke maalik ke samne rakh di thi. School ke maalik ne in akhrajat ki tafseelat jaanne ke baad masjid ke liye na sirf us waqt kuch raqam mohaya ki thi, balkay har mahine masjid ke akhrajat ke liye ek maqool raqam dene ka wada bhi kar liya tha. Maulvi sahab ki khushi ka koi thikana nahi raha tha. Unka teen sau rupay ka diya qarz hazaaron mein tabdeel ho kar un ki taraf lautaa tha. Ghulam Fareed jaise mamooli aadmi ki hesiyat un ki nazar mein yak dam bhadh gayi thi aur Ghulam Fareed ko is gaon mein pehli dafa kisi ne izzat di thi, woh bhi gaon ki masjid ke imam ne... jisne na sirf is jumay ke khutbe mein loudspeaker par school ki intizamiya aur maalikan ki dardmandi ke qasiday parhe thay balkay Ghulam Fareed ki koshishon ko bhi saraaha tha, jis ki koshishon se masjid ke paas ye raqam aayi thi. Masjid mein jumay ke khutbe ke doran bethay hue Ghulam Fareed ka seena khwamkhwaah hi chora ho gaya tha us din.

School ke maalik ne ye raqam har maah Ghulam Fareed ke zariye hi Maulvi sahab ko pahunchane ka wada kiya tha aur is ke saath Ghulam Fareed ko ye zimmedari bhi sonp di thi ke woh masjid mein is raqam ke sahi istemal par nazar rakhe. School ka maalik wahan doosre mahine aaya tha aur Maulvi sahab ne Ghulam Fareed ke saath mil kar masjid mein hone wali tamam murammaten usay dikhayi thi. Woh mutmain hokar laut aaya tha, magar ye sirf usi mahine hua tha. Doosre mahine Ghulam Fareed ke haath se wusool pai jane wali raqam ka Maulvi sahab ne kya kiya tha, is ka Ghulam Fareed ko andaza bhi nahi ho saka. Woh masjid mein do chaar baar gaya tha aur uska khub achhi tarah istiqbaal kiya tha Maulvi sahab ne. Apne ghar se khana, paani, chai bhi usay di thi lekin is maheenay chande ke sahi istemal mein sirf aayen baayen shayen hota raha tha. Ghulam Fareed ko chande ke sahi istemal mein koi zyada dilchaspi nahi thi, us ke liye aam halat mein itna kafi hota ke Maulvi sahab usay gosht khilaa rahe thay, magar filhal masla yeh tha ke Ghulam Fareed apne hath se har mahine bees hazar ki raqam jis mushkil se Maulvi sahab ko de raha tha, woh Ghulam Fareed hi janta tha, magar use khauf tha toh sirf Allah ka ke woh masjid ka paisa tha aur woh us ka amanat daar ban gaya tha, magar is paisay ka Maulvi sahab ke haathon ghayab hona us se hazam nahi ho raha tha.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now