Raat ke khaane se farigh ho kar Salar ne baqi bachon ke apne kamre mein jaane ke baad Hameen aur Reisah ko wahan rok liya tha. Woh dono Salar ke samne sofay par baithe nazrein jhukaye apne haathon ko dekh rahe thay. Koi aur mauqa hota to Hameen se aisi khamoshi aur sanjeedgi ki tawwaqqo bhi nahi ki ja sakti thi jis ka muzahira woh ab kar raha tha. "tumhein yeh sab pata tha na Reisah?" Salar ne Reisah ko mukhatib kiya.
Usne sar uthaya. Hameen ko dekha aur phir kuch sharminda andaaz mein sar hilate hue kaha, "yes baba!" "Aur tum Hameen ke baare mein mujhe yehi batana chahti thi?" Iss sawaal par iss baar Hameen ne chonk kar Reisah ko dekha jisne uski nazron ko nazr andaz karte hue ek baar phir sar hilaya tha.
"Tumne mujhe bohot mayoos kiya hai." Salar ne jawaban Reisah se kaha.
"Baba, I'm sorry." Reisah ne kuch rohansi ho kar kaha.
"Yeh qabil maafi nahi." Unhone jawaban kaha.
"Baba! Iss mein Reisah ka koi qasoor nahi" Hameen ne uski himayat karne ki koshish ki." Salar ne usay turshi se jhidak diya.
"Shut up!" Hameen aur Reisah dono gumsum ho gaye thay. Unhone Salar ke munh se is tarah ke lafz aur iss andaaz mein unka izhaar pehli baar dekha tha.
"Tum ab yahan se jao." Salar ne tahkumana andaaz mein Reisah se kaha jis ki aankhein ab ansoo'on se bhar rahi thi aur Salar ko andaza tha woh chand lamhon mein rona shuru kar de gi aur woh filhal wahan baith kar usay behlana nahi chahta tha. Reisah chup chaap wahan se chali gayi thi. Sitting area mein ab sirf wohi dono baap beta reh gaye the..
"Tumhein school mein business karne ke liye bheja gaya tha?" Salar ne us se baat cheet shuru ki.
"Nahi" Hameen ne baray muhtat andaz mein us se nazrein milay baghair jawab diya tha.
Phir kis kaam ke liye bheja gaya tha? Salar ne usse agla sawal kiya.
"Parhne ke liye." Hameen ka sar ab bhi jhuka hua tha.
"Aur tum yeh parh rahe the?" Salar ne be had khufgi se us se kaha. "Baba main ne jo bhi kiya hai aap ko bata kar kiya hai" Hameen ne yak dam kaha
"Kya bataya hai tum ne business ke bare mein?" Usne mukhtasran kaha.
Aur iss waqt Salar ko kayi mahinay pehlay apni aur Hameen Sikandar ki woh guftagu yaad aayi thi jab us ne ek raat badi sanjeedgi se aakar usse business ke hawale se baatcheet ki thi..wo us waqt apne kaam mein masroof tha aur usne Hameen ke in sawalon ko sirf tajassus ka hissa samjha tha jo usay har cheez ke baare me hota tha..
"Baba! Agar hamein koi cheez hasil karni ho to kaise karein?" Woh sawal itna saada tha ke Salar hairaan huye baghair nahi reh saka tha. Woh itne seedhay sawal nahi karta tha. "Maslan, kya hasil karna ho?" Us ne jawaban pocha tha.
"Kuch bhi koi bhi aisi cheez jo kisi doosre ke paas ho aur hamein achi lage to kaise lein?"
"Lena zaroori hai kya?" Salar ne apne laptop par kaam karte hue poocha.
"Bohot zaroori." Usne be had mukhtasar jawab diya.
"Mehnat karo aur woh cheez kharid lo." Yeh jawab dete hue Salar ko andaza nahi tha, woh usay raasta dikhha raha tha.
"Hummm.." woh soch mein pad gaye tha. "Yani business karna pare ga?" Usne Salar se poocha tha.
"Zahir hai." Salar ne jawab diya.
"Aur business kaise karte hain?" Hameen ne jawaban pocha. "Business plan bana kar" woh apne kaam mein masroof us ke sawalon ka jawab deta gaya, un ki noayat:
Ya maqsad ke bare mein ghaur kiye baghair. "Woh kaise banate hain?""Sab se pehle yeh tay karte hain ke kya business karna hai is ke baad us ke liye investment chahiye." "Agar woh nah ho to?" Hameen ne poocha. "To phir koi aisi strategy honi chahiye jis se kisi partner ko onboard la kar investment ki kami poori ki ja sake." "Okay." Toh business strategy honi chahiye aur is ke baad partners.. phir?" Woh be had mutajassas ho raha tha. "Phir effective implementation jo plan kiya ho us par achi tarah se amal daramad kiya jaye aur waqt par.."woh ek business plan ko jitni asani se usay samajh sakta tha, usay samjha raha tha. "Aur sab se aakhir mein client ko mutmain karna taake aap ko aur clients milte rahein."
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...