Waseem agle din do baje aaya tha, aur do baje tak Imama ko ghar mein kisi mard ki mojoodgi ka ehsaas tak nahi hua tha. Woh mulaazima ke saath khana tayyar karte hue usse apni family ki baaton mein masroof thi, is taza tareen update ke saath jo use raat ko Waseem se mili thi. Usne pehli baar use mulaazima ke saath itne josh aur jazbe se baat karte hue suna tha, aur woh hairan tha. Hairangi is kehfiyat ko itne mohsar tareeke se bayan nahi kar paayi.
Waseem ka istaqbaal usne Salar se bhi pehle darwazay par kiya tha. Behan aur bhai ke darmiyan ek jazbati scene hua tha, jismein Salar ne dono se tasalli ke chand alfaz keh kar kuch kirdar ada kiya tha.
Iske baad saadhe chhe baje Waseem ki mojoodgi tak woh ek khamosh tamashaayi ka role ada karta raha tha. Woh khane ki table par mojood zaroor tha, magar use mehsoos ho raha tha ke uska wahan hona ya naa hona barabar tha. Imama ko bhai ke alawa koi aur nazar aa raha tha, na kisi aur ka hosh tha. Uska bas nahi chal raha tha ke woh table par mojood har dish apne haathon se Waseem ko khilaye. Itne mahinon mein yeh pehla mauka tha ke Imama ne khane ki table par use kuch serve nahi kiya tha. Woh uska bachpan ka dost tha lekin yeh bhi pehla mauka tha ke wahan uske hote hue bhi Waseem aur uske darmiyan sirf chand rasmi jumlon ka tabadla hua tha, phir woh aur Imama aapas mein guftagu karte rahe the.
☆☆☆"Imama! Yeh Waseem namah band ho sakta hai ab. "Woh teesra din tha jab dinner par bilaakhir Salar ki quwat bardaasht ne jawab de diya tha. Woh teen dino se musalsal nashte, dinner aur raat sone se pehle sirf Waseem ki baatein, baar baar sun raha tha. Imama buri tarah Waseem par fida thi. Yeh Salar ko andaaza tha ke woh Waseem se milne ke baad khush hogi, lekin use yeh andaaza nahi tha ke uski khushi is inteha ko pahunchegi ke khud use musla hona shuru ho jayega..
"Kya matlab?"..Woh hairaan hui thi. "Matlab yeh ke duniya mein Waseem ke alawa bhi bohot se log hain jin ki tumhein parwah karni chahiye." Salar ne use in direct andaaz mein kaha.
"tumhein mera Waseem ke baare mein baatein karna achha nahi lagta?" Usne yakdam jaise koi andaaza lagaya aur uske lehje mein aisi be yaqeeni thi ke woh "haan" nahi keh saka.
"Maine kab kaha ke mujhe bura lagta hai. Waise hi keh raha hoon tumhein." Woh be sakhta baat badal gaya. "Haan, main bhi soch rahi thi, tum yeh kaise keh sakte ho, woh tumhara best friend hai." Woh yakdam mutmaeen hui. Salar use yeh nahi keh saka ke woh uska best friend hai nahi, kabhi tha. "Tumhare baare mein bohot kuch batata tha woh, Salar khaate khaate ruka. "Mere baare mein kya?".." Sab kuch" woh isi rawani se boli.
Salar ke pet mein girhen padi. "Sab kuch kya?" "Matlab jo kuch bhi tum karte the." Salar ki bhook udi thi.
"Maslan? Woh pata nahi apne kin khadshat ko khatam karna chahta tha. Woh soch mein padi
"Jaise tum jis se drugs lete the, unke baare mein aur jab tum Lahore mein apne kuchh doosre dosto ke saath Red Light area gaye the to tab bhi...." Woh baat mukammal nahi kar saki. Paani peete hue Salar ko chhoo gaya tha.
"Tumhein usne yeh bhi bataya hai ke main.." Salar khud bhi apna sawaal poora nahi dohra saka..."jab bhi jaate the to batata tha."
Salar ke munh se bay ikhtiyar Waseem ke liye zair e lab gali nikli thi aur Imama ne uske honton ki harkat ko parha tha. Woh buri tarah upset hui.
"Tumne use gali di hai? Usne jaise shocked ho kar Salar se kaha.
"Haan! Woh samne hota to main uski do chaar haddiyan bhi tod deta. Woh apni behan se yeh baatein ja kar karta tha aur meri baatein... I can't imagine main tasawwur bhi nahi kar sakta." Woh isi tarah buri tarah khafa hua tha." Sab kuch ki do jhalkiyon ne uske haathon ke tote udha diye the. "Tum mere bhai ko dobara gali mat dena."
Imama ka mood bhi off ho gaya tha. Woh khane ke bartan sametne lagi thi. Salar jawaban kuch kehne ke bajaaye be had khufgi se khane ki mez se uth gaya tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...