Salar ne is file mein lage kaghazat ko bari bari dekha, aakhri kaghaz file mein rakhne ke baad usne samne baithe Hameen ko dekha. File band ki aur use wapas thama di.
"Toh is sare tajurbe se tumne kya seekha?" "Bohot saari baatein" Hameen ne gehra saans le kar kaha. Salar ne apni hansi be ikhtiyar chhupai.
"Sirf do batein bata do."
"Bachey achhe clients nahi hote." Usne be sakhta kaha.
"Aur?" Salar ne poocha.
"Business aasaan nahi hai." Usne chand lamhe khamosh reh kar Salar se kaha.
"Durust." Salar ne taeed ki phir usse kaha. "Har woh cheez jo achi lage aur doosre ki malkiyat ho, hamari zindagi ka maqsad nahi ho sakte, na hi hamari most favorite cheez ho sakti hai."
Salar ne uske business slogan ko jaan boojh kar dohraaya jo usne uske contract mein parha tha.
"Apni pasandeeda cheez haasil karen! Ek lamha ke liye us slogan ne use chakra kar hi rakh diya tha." Woh uski aulaad ka business slogan kaise ho sakta tha aur woh bhi nau saal ki umr mein.
"Hamari most favorite cheez wahi hoti hai aur honi chahiye jo hamare paas hai, kisi doosre ki most favorite cheez chinne ka hamein haq nahi hai." Woh apne nau saalay bete ko business ke gur batane mein aakhlaqiyyat ka dars dene ki koshish kar raha tha. Pata nahi sahi kar raha tha ya galat magar Salar Sikandar baap tha woh apne nau saalay bete ko yeh nahi sikha sakta tha ke business mein koi ikhlaqiyyat nahi hoti. Sirf paisa hota hai ya nahi hota. Baqi har cheez secondary thi.
"Tumhein pata hai, insaan ke paas sab se taqatwar cheez kya hai?" Usne Hameen se poocha.
"Kya?" Hameen ne kaha. "Aqal..agar iska sahi istemal karna aata ho to..woh kuch nahi keh raha tha. "Aur tumhein pata hai insaan ke paas sab se khatarnak cheez kya hai?" Usne phir poocha.
"Kya?" Hameen ne phir usi andaz mein kaha. "Aqal! Agar uska sahi istemal nahin aata ho to yeh sirf doosron ko nahin khud apko bhi tabah kar sakti hai." Hameen janta tha Salar kiski aqal ki baat kar raha tha..wo uski hi baat kar raha tha..wo duniya ke do zaheen tareen dimag the sirf baap beta nahi the. Paintalis saal ki umr mein wo ek sood se paak islami maaliya nizam ka dhancha khada kar chuka tha. Ab is dhaanchay ki bunyadiyan mazboot karne ke baad uski imarat khara kar raha tha. Woh risk leta tha, challenge qabool karta tha. Naye raaste dhoondna aur banana jaanta tha.
Brain tumor se ladte hue bhi wo apni zindagi ke ek ek din ko ba maqsad guzar raha tha..Ek duniya us naam se waqif thi. Ek duniya usay maanti thi. Woh jis forum par baat karne khara hota... finance ki duniya ke guru usko khamoshi aur tawajjuh se sunte the. Woh zindagi mein koi aur bade maarke nahin marta to bhi Salar Sikandar finance ki duniya mein legendary hesiyat ikhtiyar kar chuka tha.
Hameen Sikandar ek nau saal ka bacha tha jiska pehla business kisi investment ke baghair sirf inter personal skills se shuru hua tha aur kamiyabi se farattey bharne ke baad teen mahine ke andar buri tarah naa sirf dooba tha balkay saath hi school mein uski shaak ko bhi le dooba tha. Usne apne paas baqiyah rah jaane wale 175 dollars ki ek ek payment wapas kar di thi. Har ek se na sirf zubani tor par maazrat ki thi balkay har ek ko ek maazrat ka khat bhi likha tha jo usne khud draft kiya tha.
Yeh Hameen Sikandar ki zindagi ke sab se sharmindah karne wale lamhaat the. Woh kuch dino pehle ke qoumi satah par milne wale stardom ko ghanton mein kho chuka tha lekin is sarey tajurbe ne Hameen Sikandar ko pehli baar kuch sanjeeda kiya tha. Kuch sochne par majboor kiya tha. Usne is raat ek baat apne baap ko nahi batayi thi aur woh yeh thi ke usay zindagi mein business hi karna tha. Apne baap se zyada bada aur kamiyab naam banta tha. Usay duniya ka ameer tareen aadmi banna tha. Hameen Sikandar ne yeh khwab jagti ankhon se apne class fellows ko un ki raqam wapas karte hue dekha tha jis ki taabeer usay kaise haasil karni thi yeh usay abhi sochna tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...