"Aur yeh flu kab se chal raha hai tumhara?" Furqan ne Salar se poocha tha. Woh takreeban aath mahine ke baad mil rahe thay aur Salar Doctor Sibt-e-Ali se mulaqat ke baad Furqan ki taraf aaya tha. Do din baad uski waapsi ki flight thi aur Furqan ne bilkul doctoron waale andaaz mein uske flu ke baare mein poochna shuru kar diya tha.
"Yeh toh ab ek dedh maah se kuch mustaqil hi ho gaya hai, aata jaata rehta hai. Sar dard ke saath, shayad kisi cheez se allergy hai," Salar ne laparwahi se kaha.
"Tum koi medicine le rahe ho?" Furqan ne poocha.
"Haan wahi antibiotic lekin kabhi asar hojata hai, kabhi nahi," Salar ne bataya.
"Toh tum blood test wagairah karwa lo, kahin koi aur masla na ho," Furqan is waqt mar ke bhi yeh nahi soch sakta tha ke woh masla itna bara ho sakta tha. Woh kisi mamooli bimari ko daryaft karna chahta tha aur yeh uski badqismati thi ke agle do din Lahore mein uske kehne par Salar ke karwaye jane wale tests ne Furqan ke pairon ke neeche se zameen nikaal di thi, use yeh yakeen hi nahi aya tha ke yeh report Salar ki ho sakti hain. "Kyun mazeed tests? Koi aisa serious masla toh nahi hai mujhe flu hai, pehle bhi hota raha hai .Thik ho jayega." Dusre din mazeed test ka kehne par Salar ne ek baar phir laparwahi se uski baat hawa mein udane ki koshish ki thi. Use Lahore mein is din kaamon ka ek dher niptana tha aur is dher mein kisi hospital mein ja kar kuch test karwana uske liye behad mushkil kaam tha. Furqan khud mein itni himmat paida nahi kar saka ke woh use bata pata ke uske ibtedai test kis cheez ki jaanib ishara kar rahe thay. "Yeh zaroori hai Salar! Kaam hotey rahenge, kaam ho jaate hain lekin sehat par compromise nahi kiya ja sakta" Furqan ne uski baat ke jawab mein kaha. "Sehat bilkul theek hai yaar! Sehat ko kya hua hai. Ek mamooli flu hone par tum ne doctoron ki tarah mujhe bhi hospitals ke chakron par laga diya" Salar ne isi andaaz mein kaha."Aur waise bhi agle mahine mujhe America jana hai, wahan medical check-up karwana hai mujhe apna tum fikr naa karo sab theek hai." woh ab use taalne ki koshish kar raha tha aur phone par use keh raha tha ke use kisi se milna tha agle pandrah minute tak. "Sab theek nahi hai Salar!" Furqan ko bilakul use tokna pada. "Kya matlab?" Salar uski baat par thhathka. "Main tumhare paas pahunch raha hoon aadhe ghante mein." Furqan ne phone par mazeed kuch kahe baghair phone rakh diya tha. Salar uske andaaz par uljha tha lekin usne use sirf ek doctor ka professionalism samjha tha jo use apni sehat ke hawale se fikar mand dekh kar apni zimmedari ka saboot de raha tha. "Tum fori tor par kahin nahi ja rahe. Mujhe is hafte mein tumhare tamam tests karwane hain aur uske baad hi tum kahin ja sakte ho" Furqan waqai na sirf aadhe ghante mein uske paas pahunch gaya tha balki usne Salar ko apni seat cancel karwane ke liye bhi keh diya tha. "Kya masla hai Furqan! Tum mujhe saaf saaf kyun nahi bata dete? Kya chhupa rahe ho tum? Kyun zaroorat hai mujhe itne lambe chhode tests ki?" Salar ab pehli bar waqai khatkha tha. Furqan ko ehsaas ho gaya tha ke woh use kuch bataye baghair test par amadah nahi kar sakta tha. "Main sirf yeh confirm karna chahta hoon ke yeh koi tumor nahi hai." Woh duniya ka mushkil tareen jumla tha jise ada karne ke liye Furqan ne woh saare alfaz ikatthe kiye thay, yun Jaise Salar se zyada woh apne aap ko yeh tasalli dena chahta tha ke jo woh reports aur uska tibbi ilm use bata raha tha woh galat sabit ho jaaye. Har qeemat par galat sabit ho jaaye. "Tumor?" Salar ne be yaqeeni se kaha.
"Brain tumor" Furqan ne agle do lafz jis waqt se kahe... Salar us waqt se hil nahi nahin saka, uske kaan jaise saayein saayein karne lage thay, hawas aur dimaagh ek saath ma'auf hue thay.
Kai lamhe woh be yaqeeni se Furqan ko dekhta raha phir usne kaha, "Tests jo tumne karwaye hain yeh indicate kar rahe hain ke... " woh khud bhi woh jumla poora nahin kar paaya.Zindagi ka khofnaak tareen lamha tha woh... aur khofnaak hi lag raha tha Salar ko... woh Pakistan ke behtareen oncologist mein se ek ke saamne baitha hua tha aur Furqan ko agar aisi kuch alamaat nazar aayi thi toh woh andaaze ki ghalati nahin ho sakti thi.
☆☆☆
"Oh my god!" Hameen ne Imama ke saath school corridor mein chalte hue apne makhsoos andaaz mein khilaqari martay hue apni khushi ka izhaar kiya.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...