Talyon ki goonj ne Hameen Sikandar ki taqreer ke tasalsul ko ek baar phir tora tha, Rostroom ke paas khade chand lamhon ke liye ruk kar usne talyon ke us shor ke thamne ka intezar kiya. Woh MIT ke graduating student ka ijtema tha aur woh wahan aghaz karne wale muqarrar ke tour par bulaya gaya tha. Pichle saal woh MIT ke graduating students mein shamil tha.
Silion School of Management se imteyazi kaamyaabi ke saath nikalne walon ke mein se ek aur is saal woh yahan graduating students se khitaab kar raha tha. MIT woh waahid university nahi thi jisne use is saal mein is aizaz ke qaabil samjha tha. League Ivy 5 ki chand aur namwar universities ne bhi use madoo kiya tha. Chobees saal ki umar mein Hameen Sikandar pichle teen saalon ke doraan duniya ke behtar munazimoon mein se ek maana ja raha tha, is ek idea ki wajah se jo pichle kuch saalon mein ek beej se ek tanaavur darakht ki shakal ikhtiyar kar chuka tha.
Trade and idea ke naam se uski digital finance company ne pichle teen saalo mein global markets mein dhoom macha rakhi thi..duniya ke 125 behtareen maliyati aur karobari idare is company ke baqaida clients the aur 1500 chote idare bil wasta uske khidmat se faida utha rahe the aur yeh sab 3 saal ki mukhtasar muddat mein hua tha jab wo taleem haasil karne ke sath sath is company ke bunyad rakhne mein bhi masroof tha..Trade and idea ka tasawwur be-had dilchasp aur munfarid tha aur ek aam saarif ko woh ibtidaai tor par kisi hindson ke khel jaisa lagta. Iski ibteda bhi Hameen Sikandar ne be-had chhote paimane par ki thi. Ek website par usne duniya ki behtareen universities ke students ko ek online challenge diya tha. Aisa koi idea farokht karne ke liye jis ke liye unhen ya to sarmaya chaahiye tha ya kisi company ki support aur ya phir woh apna idea kisi khaas keemat par farokht karne ke liye tayar the, lekin kaarobar aur karobari dono be-had mukhtalif the. Is website par teen quiz the, A category, B aur C Category ...
Har quiz mein bees sawaalat the aur website par registration ke liye ek password zaroori tha jo is quiz mein kaamyaab hone ke baad bheja jaata aur wahi number uska karobar karne wale ki ID thi. Category A ka koi mushkil tareen tha aur knockout ke andaaz mein muayyan muddat ke liye tha. Category B aur C is se aasan the aur na kisi khaas muddat tak mehdood the aur na hi in mein knockout hota tha. Ye in teen categories ki darja bandi thi jo wahan aane wale traders ki performance par khud-kar andaz mein unhen mukhtalif categories mein rakhti thi. Jo A category mein aage na ja paata wo B ke quiz mein hissa leta aur jo B mein bhi aage na ja paata to wo C mein aur jo C mein bhi aage na ja paata to use trade and idea ki taraf se out kar diya jaata tha is paigham ke saath ke abhi use aur seekhne ki zaroorat hai. Trading is ka kaam nahi. A category ke quiz mein kaamyab ho jaane wale ghair mamooli zehni salahiyaton ke hamil afrad ek password hasil karne mein kaamyab hote aur phir agle marhale tak rasai karte. Ek aise trade center mein jahan behtareen universities ke behtareen dimaag apne apne ideas ko register karwane ke baad online maujood traders ke saath apne ideas ke hawale se baat cheet karte... woh group discussion bhi ho sakti thi aur woh traders ki aapas mein guft-o-shaneed bhi...
Pehle marhale mein Hameen paanch badi companies ko is baat par amada kar paaya tha ke woh is trade room mein ideas lekar aane wale ideas sunne aur us par un se baat cheet karen, agar unhein kisi ka idea pasand aa jaaye to. Is ke evaz unhe TAI ko ek makhsoos fees ada karni thi, agar wahan koi idea unhein pasand aa jaata aur woh usay khareedne, us mein sarmaya kaari karne ya is mein partner ship karne par tayar hote to. Category B mein pesh hone wale ideas ki khareed o farokht bhi isi formula ke tehat hoti thi, lekin wahan ek ezafi cheez ye thi ke wahan apne ideas ke saath aane wale mukhtalif no jawan afraad ek doosre ke saath rabte ke zariye apni pasand ke kisi ek jaisay ideas par sharakat dari kar sakte the aur agar aisa koi ishtiraak kisi idea ko amli shakal mein daal deta to trade and idea is ishtiraak ke liye bhi unhein ek fees charge karta.
Category C is se bhi aasan thi, wahan karobaar ke liye aane wale traders apne ideas ko barter bhi kar sakte the inhi kisi bhi traders ko agar dusre ka idea pasand aata aur woh usay naqad se khareedne ki ehliyat naa rakhta ho, toh phir wo is idea ke badle kuch aur khimat maharat ya project usay pesh kar sakta tha. Woh ek buniyadi sa formula tha jo Hameen ne sirf zahaanat ko cash karne ki buniyad par nikala tha aur apply kiya tha. Pehli baar us ki clients banne wale paanch mein se teen companies ko wahan pehle mahine mein teen aise ideas pasand aa gaye the jinke farokht karne wale ko unhone hire kar liya tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...