Us banquet hall ke upar wale floor ke ek kamre ki ek khidki ke sheeshon se ek aur telescope rifle bilkul usi tarah us target color ko nishana banaye ulte ginti ginne mein masroof thi.. Woh chautha floor tha aur woh kamra is floor ke store rooms mein se ek tha jahan par safai suthrai aur isi tarah ka saman trolleys mein bhara pada tha. Jin logon ne is banquet hall mein is mehmaan ke liye is peshe warana qaatil ka intikhaab kiya tha, unhi logon ne is qaatil ke liye us shakhs ka intikhaab kiya tha aur us jagah ka bhi jahan woh chalees saal ka rifle ke trigger par ungli rakhe, aankhein is target color par lagaye baitha tha. Usne is kamre ko andar se lock kar rakha tha. Woh ek trolley dhakelta hua us kamre mein subah ke waqt aya tha jab is floor ke kamron ki safai ho rahi thi aur phir woh apni trolley ko andar rakh kar bahar jane ke bajaye khud bhi andar hi reh gaya tha.
Waqtan fa waqtan kuch aur bhi trolleys lana wale andar aate aur jaate rahe thay aur is ke sath hello hi ka tabadla bhi karte rahe thay, magar kisi ko us par shuba nahi hua tha. Ek muqarara waqt par usne store room ko andar se lock kar liya tha. Kyunki use pata tha ab is floor ko bhi waqti tor par seal kiya jana tha jab tak woh conference wahan jaari thi. Store room ki khidki ke sheeshay mein us ki telescope rifle ke liye suraakh pehle se mojood tha jise tape laga kar waqti tor par band kiya gaya tha. Usne tape hatane se pehle ek doosri telescope se sadak ke paas us imarat ke flat ki us khidki ko dekh kar waqt ka andaaza lagaya. Abhi bhi bahut waqt tha aur us ki khidki se is peshe war qaatil ki khidki ka manzar be had zabardast tha. Woh pehla fire miss bhi kar jata toh bhi qaatil us ki range mein rehta bhagte hue bhi khidki se hatne ki koshish ke doran bhi...
Unhone jaise us ke liye halwa bana diya tha. Usay yakeen tha ke us khidki mein ghaat lagane ke baad us peshe war qaatil ne is hotel ke oopar neeche ke har floor ki khidkiyon ko apni telescope rifle se ek baar jaise khoja hoga kahin koi ghair mamooli harkat ya shakhs ko trace karne ki koshish ki hogi, woh telescope rifle khidki ke sheeshay se laga kar baithta khud us ki nazar mein na aata tab bhi us ki rifle ki naal us ki nazar mein aa jaati. Is liye aakhri minton tak woh khidki ke paas nahi gaya tha. Usay is pesh war qaatil par ek pehla aur aakhri kargar shoot fire karne ke liye ghantay chahiye bhi nahi thay. Woh be had qareebi range mein tha.
Aur ab bilkul aakhri lamhon mein us ne bilaakhir rifle ko us suraakh mein tikaya tha. Usay is pesh war qaatil ko is waqt marta tha jab woh fire kar chuka hota. Us mehmaan ko sirf marna zaroori nahi tha balkay is sazish ke sare saboot mitaaye jaane bhi zaroori thay. Ghadi ki suiyan jaise bhagti ja rahi thi. Tik tik karte. Do ungliyan do triggers par apna dabaav barha rahi thi.
☆☆☆
Lift ka darwaza khula. Salar ne apni ghadi dekhi. Us ke do security guards us se pehle lift se nikal gaye thay. Us ka baqi amlah us ke left se nikalne ke baad peeche lapka tha. Corridor mein tez qadmon se chalte woh istiqbal karne wale official se mila tha. Us ne ghadi ek baar phir dekhi thi. Hamesha ki tarah woh waqt par pahuncha tha. Chand seconds ke baad woh banquet hall mein dakhil ho jaata. Wahan jo hone wala tha, woh usse bekhbar tha. Be khabri zindagi mein har waqt neimat nahi hoti.
TV par chalti is khabar ko dekhte Salar gung tha. Aakhri cheez jo woh apni zindagi aur career ke is stage par hone ki tawaqqo kar sakta tha, woh yeh thi. Reham kha kar goud li gayi bachi ko us ke gunah ke tor par poori duniya mein dikhaya ja raha tha aur yeh sab kehne wala us bachi ka apna baap tha. Jis ki biwi ki Salar ne kabhi shakl bhi nahi dekhi thi. Affairs aur na jaiz olad door ki baat thi. Woh taqat ka khel tha. Jung thi aur jung mein sab jaiz hota hai.
Yeh kehna sazish ki ja rahi thi Nairobi mein hone wale TAI aur SIF ke is ishterak ko hone se pehle torne ki koshish ki ja rahi thi, bekaar tha. Woh is waqt New York airport par ek flight lene ke liye mojood tha jab pehli baar woh khabar break hui thi aur us ne business class ke departure lounge mein dekhi thi. Us ke saath mojood us ke staff ne ek ke baad ek news channels ki update ko us ke saath share karna shuru kar diya tha. Salar Sikandar ne wahan baithay sab se pehli call Imama ko ki thi. Aur Imama ne uske kuch kehne se pehle hi usse kaha tha, "Mujhe koi wazahat dene ki zaroorat nahi, nah mujhe, nah apne bachon ko... Reisah se baat karo. Mujhe apne se zyada takleef us baat ki hai, wo uski tasveeren chala rahe hain." Usne Imama se kaha tha. Woh upset tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...