Lakhon logon ke hujoom ke saath, Salar Sikandar ne airport par Ibaka ki maiyat ko wasool kiya tha. In lakhon logon ke hujoom mein Salar Sikandar ke alawa ek bhi safaid faam nahin tha, yahan tak ke us din Congo mein is event ko cover karne walay news channels ka sara amla bhi maqami tha. Koi hathiyaron se musallah is qabaili hujoom mein jane ka risk nahin lena chahta tha, jin ko jaan lene aur jaan dene ke alawa aur kuch nahin ata tha. Jo woh wahshi aur ujad the aur apni baqa ke liye har us cheez ko khas o khaasak bana dene par tayar, jo unke raste mein deewar banti.
Aur lakhon siyah faam logon ke hujoom mein, ek saaf rangat wala safaid faam tha jo nasli tor par safaid faam naa hone ke bawajood apni saaf rangat aur in logon ki siyah tareen rangat ke muqable mein, safaid faam lag raha tha aur wahan neta tha. Congo ki hukumat ne use kuch security di thi magar is security ko un qabailiyon ne rad kar diya tha.
Jo is sare event ke intizamat sambhale hue the aur Salar Sikandar tan tanha, isi daleri se apne saath ek bhi guard liye baghair andar chala gaya tha.
Duniya mein croro TV screens par live nashar hone wala woh event, lakhon ke is hujoom mein sirf ek shakhs ko focus kiye hue tha aur baar baar teekhe naqoosh wala woh daraaz qamat shakhs, Ibaka ki aakhri rasumat ke mauqe par stage par us ke khandan ke saath, is majma ke samne betha tha jis mein se koi bhi us par goli chalata to yeh bhi pehchana nahin jasakta tha ke woh kahan tha aur kaun tha?
Aur agar woh majmoa us par chad dourta to Allah ke siwa koi nahin tha jo is majmoa ke haathon us ki botiyon ke bhi tukde hone se rok sakta aur yeh ehsas Salar Sikandar ko us stage par un lakhon logon ke samne bethnay par ho raha tha jo Ibaka ko kharaaj e taseen pesh karne ke liye ki jaane wali qabaili sardaron ki joshilo takreeron mein is samraj ki tabahi ke liye nare buland kar rahe the, jin ka saathi ban kar woh wahan betha, unhein dekh rahe tha. Us ke dil par lakhon logon ki haibat tari ho rahi thi aur us ki zubaan par qurani ayat ka wird tha. Yeh ehsas hone ke bawajood ke Allah us se khafa tha, woh Allah hi ko pukar raha tha.
America mein CIA headquarters aur World Bank ke headquarters mein screen par nazar aane wala woh shakhs, un sab ko apni haibat mein le raha tha jin ka danka poori duniya mein bajta tha. Daleri ho to aisi ho, jurrat ho to yeh.
Woh gung the, dam bakhud the aur maroob.
Woh shakhs ab Petrus Ibaka ko khiraaj e taseen pesh karne ke liye apni nishist se apna naam pukare jaane par uth raha tha. Lakhon ka majmoa us ke liye jawaban taaliyan baja kar daad e taseen de raha tha.
Chhe feet se nikalta hua qad, teekhe naqoosh aur sanjeeda chehra siyah two piece suit mein woh wajahat aur waqar ki ek khoobsurat misaal tha jo is waqt poori duniya ke camero ka markaz bana hua tha. Is stage ke bilkul oopar, kaafi bulandi par ek black hawk helicopter mein CIA ke kuch commandos is majmoay koi TV scopes se monitor kar rahe the. Chand aur black box aas paas ki imaraton ko. Woh Salar ki hifazat aur zindagi ke liye is waqt us se zyada kuch nahin kar sakte the.
Salar Sikandar Rostrum ke peeche pahunch gaya tha. Majmoa ko saanp soongh gaya tha. Woh ab Bismillah ir-Rahman al-Rahim parhne ke baad qurani ayat ki tilawat kar raha tha.
Salar Sikandar ne zindagi mein bohot saari taqreerain ki thi lekin un mein se koi taqreer bhi lakhon ke ek aise majmoay ke samne nahin thi jis se woh insani humdardi ke ilawa aur koi talluq nahin rakhta tha.
Woh muqami zubaan Lingala mein un se baat kar raha tha aur jo kuch woh keh raha tha, woh tarjuma ho kar TV ki screen par nazar aa raha tha. Poori duniya mein ki jaane wali TV coverage mein Swahili aur Lingala mein ki jaane wali, wahan ke muqami leaders ki har taqreer ko English aur doosri bein ul aqwami zubanoun mein tarjuma kar ke pesh kiya ja raha tha. Na Imama ko andaza tha aur na hi Salar Sikandar ko ke woh aaj Africa ke is siyah faam majmoay ke samne aakhri Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ke aakhri khutbah ko dohraayega. Woh alfaz jin ki baaz gash se woh hamesha chhupta raha tha woh us ke lashaur se tasawwur ka safar tay kar ke zubaan par aa kar nahin ruke the, woh lakhon ke is majmoay ke samne ada ho kar
croro logon tak pohonche the.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...