Sikandar ne Eid ke tohfe ke taur par use ek bracelet diya tha, aur sivaye Salar ke takreeban sab ne use kuch na kuch diya tha. Imama ka khayal tha woh is baar zaroor use zevar mein koi cheez tohfe me de ga. Use la-shauoori tor par jaise intezaar tha ke woh use kuch de. Usne is baar bhi use kuch raqam di thi. Woh thoda mayoos hui lekin usne Salar se shikayat nahi ki. Use ajeeb lag raha tha ke woh khud usse koi tohfa maange aur use hairani thi ke Salar ko khud uska khyaal kyun nahi aaya.
Eid ke raat sheher ke nawahi mein waqai, Sikandar Usman ke farm house mein ek family dinner tha. Wahan Salar ki biwi ki hesiyat se pehli baar woh muta'arif hui thi aur Tayyaba ke tayyar karaye huye surkh libaas mein woh waqai ek nayi naweli dulhan lag rahi thi. Dedh do sau ke qareeb woh sab afraad Salar ki extended family the. Imama ko ab ehsaas hua tha ke Salar ka usay Islamabad laane aur uski shanaksh ko chhupane ka faisla theek tha.
Use is izzat aur aehteram ki is zaroort thi, jo use wahan mili thi. Open Air mein barbeque ke doraan apni plate le kar woh kuch der ke liye farm house ke baramde mein lakdi ki seedhiyon mein beth gayi thi. Ek hut ki tarah bana hua farm house ka woh hissa, is waqt nizbatan khaamosh tha. Baqi afraad tolyon ki soorat mein samne khule sabzay mein dinner karte hue, mukhtalif sargarmiyon mein masroof the.
"Tum yahan kyun aa kar beth gayi?" Imama ke qareeb aate huye Salar ne door se kaha.
"Aise hi shawl lene aayi thi phir yahin beth gayi," woh muskurayi. Uske qareeb bethte huye, Salar ne soft drink ka glass apni taangon ke darmiyan nichli seedhi par rakh diya. Imama lakdi ke iston se tek lagaye ek ghutne par khana ki plate tikaye, khana khaate huye door lawn mein ek cannopy ke neeche stage par bethe gulokar ko dekha rahi thi jo nayi ghazal shuru karne se pehle saazindo ko hidaayat de raha tha. Salar ne uska kanta utha kar uski plate se kebab ka ek tukda apne munh mein daala. Wo ab gulokar ki taraf mutawajjeh tha jo apni nayi ghazal shuru kar chuka tha...
" enjoy kar rahi ho?" Salar ne usse poocha.
"Han," usne muskurakar kaha. Woh ghazal sun rahi thi.
"Kisi ki aankh purnam hai, mohabbat ho gayi hogi..
Zuban par qissa ya gham hai, mohabbat ho gayi hogi"Woh bhi soft drink peete hue ghazal sunnne laga tha.
"Kabhi hansna, kabhi rona, kabhi has has kar ro dena."
"Ajab dil ka yeh alam hai, mohabbat ho gayi hogi"
"Accha gaa raha hai," Imama ne sataishi andaz mein kaha.
Salar ne kuch kehne ke bajaye sar hila diya.
"Khushi ka hasd se barh jaana bhi, ab ek beqarari hai
Na gham hona bhi ek gham hai, mohabbat ho gayi hogi"Salar soft drink peete hue has pada. Imama ne uska chehre dekha, woh jaise kahin aur pahuncha hua tha.
"tumhe kuch dena chahra tha main."
Woh jacket ki jeb mein se kuch nikalne ki koshish kar raha tha.
"Bahut dinon se dena chahta tha main lekin.."woh baat karte karte ruk gaya."
Uske haath mein ek dibbiya tha. Imama ke chehre par be ikhtiyar muskurahat aayi, toh bilakhir usay iska khayal aa hi gaya tha. Usne dibbiya lete hue socha aur usay khola. Woh sakhit reh gayi, andar ear rings thi. Un ear rings se takreeban milte julte jo woh aksar apne kaanon mein pehne rakhti thi. Usne nazrein utha kar Salar ko dekha.
"Main jaanta hoon, yeh itne valuable toh nahi honge jitne tumhare father ke hain. Lekin mujhe achha lagega agar kabhi-kabhar tum inhe bhi pehno."
Un ear rings ko dekhte hue uski aankhon mein aansu aa gaye.
"tum nahi pehanna chahti toh bhi theek hai. Main replace karne ke liye nahi de raha hoon."
Salar ne uski aankhon mein numoodaar hoti numi dekh kar be sakhta kaha.
![](https://img.wattpad.com/cover/364248900-288-k460051.jpg)
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomantizmAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...