part7

4.5K 145 17
                                    

Bil akhir pandrah minute ke baad Imama aur Saeeda Amma ki wapsi hui. Use Imama ki aankhein pehle se kuch zyada surkh aur mutawarim lagi, yehi haal kuch uski naak ka tha..woh yaqeenan kitchen mein roti rahi thi magar kis liye? Woh ab ulajh raha tha. Kam az kam ab woh aansu us se Saeeda Amma aur uski mohabbat ve yaganat ka natija nahi lag rahe the.

Saeeda Amma ke chehre aur aankhon mein use pehle se bhi zyada sard mehri nazar aayi. Use us waqt chai mein dilchaspi thi, na kisi halwe ki talab... kuch bhi khana uske liye bad hazmi ka bai's hota lekin jo mahaul yakdam wahan ban gaya tha usne use zarurat se zyada muhtat kar diya tha. Kisi inkaar ke bagair usne khamoshi se plate mein thoda sa halwa nikala. Imama ne Doctor Sibt e Ali ke ghar ki tarah yahan bhi usse poochhe bagair is mein do chammach cheeni daal kar uske saamne rakh di, phir apni plate mein leya hua halwa khane lagi.

Chand minto ki khamoshi ke baad bil akhir Saeeda Amma ki quwwat bardaasht jawab de gayi thi. Apne haath mein pakdi plate ek taraf rakhte hue unhone apni ainak ko naak par theek karte hue tez nazron se Salar ko ghoora..

"Biwiyon ke bade huqooq hote hain. Apni plate mein daale halwe ko chammach se hilaate Salar thhatka. Usne pehle Saeeda Amma ko dekha, phir Imama ko woh bhi thatki thi aur kuch gar badayi bhi Salar ki peeth peeche uski buraai aur us se gile shikwa karna aur baat thi magar uske saamne baith kar wahi kuch dohrana, khaas tor par jab un ilzemat ka kuch hissa kisi jhoot par mabni ho. Woh waqai ghabra gayi thi.Salar ko yeh sawal nahi tabsara laga..
"Ji, usne unki ta'aid ki."

Woh mard dozakh mein jaate hain jo apni biwiyon ko tang karte hain. Saeeda Amma ne agla jumla bola.

"Is baar Salar fori tor par ta'aid nahi kar saka. Woh khud mard tha aur shohar bhi, lakh woh Imama par marta ho lekin 'biwi' ki mojoodgi mein is tabseere ki ta'aid apne paon par kulhari marnay ke misdaq tha. Woh shaadi ke doosre hi din itni farmabardari nahi dikha sakta tha jis par woh baad mein saari umar pachtaata.

Is baar kuch kehne ke bajaye usne chai ka cup honton se laga liya. Uski khamoshi ne Saeeda Amma ko kuch aur tapa diya.

"Dosron ke dil ko dukhane wale ko Allah kabhi maaf nahi karta. Salar ne halwa khatay khatay is jumlay par ghor kiya, phir ta'aid mein sar hila diya."

"Ji bilkul," Saeeda Amma ko us ki dhitai par gussa aaya.

"Shareef gharanon ke mardon ka watira nahi hai ke dosron ki betiyon ko pehle biaah kar lein jaye aur phir unhein pehli biwiyon ke qisse sunane baith jaayein."

Imama ki jaise jaan par bani. Yeh kuch zyada hi ho raha tha.

"Aap ki chai thandi ho rahi hai, Amma!," usne soorat e hal sambhalne ki koshish ki.

Salar ne baari baari un dono ko dekha, use is jumlay ka sar pair samajh nahi aaya tha aur pehle jumlon se un ka kya taluq tha, woh bhi samajh nahi paya lekin ta'aid karne mein koi burai nahi thi kyun ke baat munasib thi.

"Theek keh rahi hain aap," usne baal akhir kaha.

Uski saadat mandi ne Saeeda Amma ko mazeed tapa diya. Shakal se kaisa shareef lag raha hai. Isi liye to Sibt bhai bhi dhoka kha gaye. Unhone Doctor Sibt e Ali ko galati karne par chhot di.

"Aamna ke liye bahut rishte thay. Saeeda Amma ne silsila e kalaam joda. Unhein andaza nahi tha ke woh ek galat aadmi ko Imama ki qadr o qeemat ke bare mein galat lecture de rahi thi."

Halwe ki plate haath mein liye Salar ne ek nazar Imama ko dekha phir Saeeda Amma ko, jo be had josh o kharosh se keh rahi thi..

"Yeh samne wale Zahoor Sahib ke bade bete ne Aamna ko kahin dekh liya tha. Maa baap ko saaf saaf keh diya, usne kaha ke shaadi karunga to isi ladki se. Khala ki beti ke saath bachpan ki mangni bhi tod di." Is baar Salar ne halwe ki plate table par rakh di. Woh kam az kam Imama ke kisi aise rishte ki tafseelat maze se halwa khate hue nahi sun sakta tha. Imama ne is baar Saeeda Amma ko rokne ki koshish nahi ki thi.
Badi hi aamiyana baat thi lekin woh bhi jaise chaahti thi ki koi Salar ko bataye ki woh qabil e qadar hai, woh use sirf "biwi samajh kar bartao nahi kar sakta."

Jute ghis gaye ladke ki maa ke yahan ke chakkar laga laga kar, mohalle ke har maujjis aadmi se kehelwaya usne, mere beton tak ko England phone karaya is rishte ke liye. Saeeda Amma bol rahi thi, "Salar ab behad sanjeeda tha aur Imama qadre la-taluki ke andaaz mein sar jhukaye halwe ki plate mein chamacch hilaa rahi thi.

Uske maa baap ne kaha ke jo chahiye haq mehr mein likhwa lein, bas apni bacchi ko hamari beti bana dein."

Salar ne be had jatane wale andaaz mein apni wrist watch yun dekhi jaise use der ho rahi thi. Saeeda Amma ko us ki is harkat par buri tarah taao aaya. Is guftagu ke jawab mein kam az kam woh us se is be niazai ki tawakku nahi kar rahi thi.

Abhi aaj bhi uski maa aayi hui thi. Bohat afsos se keh rahi thi ki badi zyadti ki unke bete ke saath maine... ek baar nahi, do baar.. keh rahi thi ki hamein chhod kar kisi aire ghaire ke saath pakad kar biaah diya. Mera beta kyun nazar nahi aaya aap ko... ranion ki tarah rakhta Aamna ko dekh dekh kar jeeta use. Saeeda Amma ab mubalagh amezi ki aakhri hado ko chhoo ne ki koshish kar rahi thi. Samne baithe hue shakhs ke chehre par ab bhi maroobiyat naam ki koi cheez numoodar nahi hui thi. Woh sanjeeda chehre ke saath unhe yek-tuk dekh raha tha. Saeeda Amma ko laga, unhone us ke saath shadi kar ke waqai Aamna ki qismat phodi thi. Be had khufgi ke aalam mein unhone sardi ke mausam mein bhi paani ka glass utha kar ek ghont mein piya tha. Us ki yeh khamoshi Imama ko bhi buri tarah chubi thi. Woh raat ko us se kya kuch keh raha tha aur ab yahan Saeeda Amma ko batane ke liye us ke paas ek lafz bhi nahi tha ki woh us ke liye ahem hai. Ya woh us ka khayal rakhe ga ya koi aur wada koi aur tasalli koi aur baat... kuch to kehna chahiye tha use Saeeda Amma ke saamne usay ajeeb be-qadri aur be-waqeeti ka ehsaas hua tha. Ranj kuch aur hua faasla kuch aur badha tha. Usne kisi doosre ke samne bhi usay tareef ke do lafzon ke qabil bhi nahi samjha tha. Akelay mein tareef na kare lekin yahan hi kuch keh deta... kuch to is ka dil ek bar phir bhar aaya. Woh yeh nahi chahti thi ki Salar us se rewaiyati shoharon wala rawaiya rakhe lekin khud woh us se rewayati biwi wali saari tawaqquat liye bethi thi. Bohat der ho gayi, mera khayal hai, hamein ab chalna chahiye. Mujhe subah office jana hai, aaj kal kaam kuch zyada hai, Salar ka peymana sabr se labrez ho gaya tha.

Usne bade tahammul ke saath Saeeda Amma se kaha aur phir uth kar khada ho gaya. Woh ab Imama ke khade hone ka muntazir tha lekin Imama ne table par rakhe bartan utha kar tray mein rakhte hue use dekhe bagair badi sard mehri ke saath kaha.

"Main aaj yahin rahungi Saeeda Amma ke paas."

Salar chand lamhon ke liye bilkul bhoonchka reh gaya. Usne pichle kai ghanton mein ek baar bhi aisa koi irada zahir nahi kiya tha ke woh Saeeda Amma ke paas raat guzarne ka irada rakhti hai, aur ab yakdam bethe bithaye yeh faisla... Haan, bilkul yahin chhod jao ise. Saeeda Amma ne fori taayeed ki. Imama uske inkaar ki muntazir thi.

"Theek hai, woh rahna chahti hai toh mujhe koi aitraz nahi."

Salar ne badi sahulat se kaha. Bartan sametti Imama ne beyaqeeni se use dekha. Usne ek minute ke liye bhi use saath le jaane par israr nahi kiya tha, woh itna tang aya hua tha usse.

Isse pehle ke Salar kuch aur kehta, woh ek jhapake ke saath kamre se nikal gayi. Saeeda Amma ne be-had qahar alood nazron se use dekha, Salar ne jaise Imama ke har ilzam ki tasdeeq kar di thi. Salar ko Imama ke yun jaane ki wajah samajh mein aayi, na Saeeda Amma ki us malamati nazron ka mafoom samajh saka tha. Woh guftagu jitni upset karne wali thi, utna hi Imama ka yakdam kiya jaane wala yeh ailan tha ke woh aaj wahin rahegi. Use bura laga tha lekin itna bura nahi laga tha ke woh us par aitraz ya khafgi ka izhar karta, aur woh bhi Saeeda Amma ke saamne.

"Okay,main chalta hoon phir." Woh Saeeda Amma ke saath bahar sahan mein nikal aaya. Uska khayal tha, Imama kitchen mein bartan rakh kar use khuda hafiz kehne to zaroor aayegi lekin woh nahi aayi thi..Wo kuch der Saeeda Amma se be maqsad baatein karta sahan mein khada uska intezaar karta raha. Saeeda Amma ke lehje mein itni sard mehri naa hoti to usse Imama ko bulwane ka kehte hue jhijhak mehsoos naa hoti..

Saeeda Amma ghar se nikalte hue usne pehli baar us mohalle mein unke samne wale ghar ko sar utha kar dekha tha. Wahan se akele wapas aana use khal raha tha. Wo itne saal uske bagair hi raha tha...Use kabhi tanhai nahi chhi thi. Usne ek raat uske saath guzari thi aur tanhai ka mafoom uski samajh mein aa gaya tha. Waha se wapasi ki drive uski zindagi ki sab se lambi drive thi.

                       ☆☆☆

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now