part44

2.5K 94 1
                                    

Petrus Ibaka ka ek hadsa mein zakhmi hona bhi ab usay ek ittefaq nahi lag raha tha. Koi tha jo Petrus Ibaka ko nuqsaan pohnchane ke baad ab us ke haath paon kaat kar use be-bas kar raha tha. Pehla khayal jo use wahan khade khade aya tha, wo Imama aur apne bachon ke tahafuz ka tha. Ek phone booth se us ne ek bar phir Congo mein apne ghar ke number aur Imama ka number milane ki koshish ki thi. Natija wahi aya tha, us ka zehan mauf ho raha tha. Us ne apne phone par email aur social messaging ke zariye bhi Imama se rabta karne ki koshish ki thi lekin kisi email, kisi message ka jawab nahi aya tha. Salar ne baari baari paglon ki tarah apne office ke har shakhs ko call karni shuru kar di thi jo us ke staff mein shamil tha aur jin ke numbers us waqt us ke paas they. Koi ek number aisa nahi tha jis par rabta ho pata.

Usne bilaakhir Pakistan mein Sikandar Usman ko phone kiya tha aur jab use phone par unki awaaz sunai di to kuch der ke liye to use yaqeen hi nahi aaya tha ke woh bilaakhir kisi se baat karne mein kaamyaab ho pa raha tha. Sikandar Usman ko bhi uski awaaz se pata chal gaya tha ke woh pareshan tha.

Salar ne koi tafseelat bataye baghair mukhtasaran unhein bataya ke woh apne safari dastavizat ganwa baitha hai aur is wajah se woh fori tor par agli flight pakar kar wapas nahi ja sakta tha aur woh Imama se rabta bhi nahi kar pa raha tha. Usne Sikandar se kaha ke woh Pakistan se Imama ko call karein aur agar us se rabta na ho sake to phir foreign office mein apne janne walon ke zariye Kinshasha mein Pakistan Embassy ke zariye usse talash karein aur fori tor par us se kahe ke woh locker mein pade sare documents samet embassy chali jaye. Sikandar Usman buri tarah khatkhte they.

"Aisa kya hua hai ke tumhein yeh sab kuch karna pad raha hai? Salar sab kuch theek hai na?"... "Papa! Is waqt aap sirf woh karein jo mein keh raha hoon. Mein details aapko baad mein batauga."..Woh jhunjhla gaya tha.

"Main thodi der tak aapko khud call kar ke poochhta hoon, aap mere phone par call mat karein, na hi mere number par mere liye koi message chhodein." Usne baap ko mazeed takeed ki. "Salar! Tum mujhe pareshan kar rahe ho." Sikandar Usman ka in hidaayat ke baad khofzadah hona lazmi tha.

Salar ne phone band kar diya tha. Woh baap ko yeh nahi bata sakta tha ke uske apne hawas unse zyada kharab ho rahe they. Phone haathon se kuch faasle par pari ek bench par baithte hue usne be ikhtiyar khud ko malaamat ki thi. Use apni family ko Congo mein chhod kar nahi aana chahiye tha aur in haalaat mein... meeting jaati bhaad mein... woh usse aage peechay karwa diya kya zaroorat thi itni mustaidi dikhane ki... Ab raat ho rahi thi aur subah se le kar is waqt tak uske phone par koi call, koi text message nahi aaya tha. Yeh mumkin nahi tha tab tak jab tak uske phone ko monitor na kiya ja raha ho ya uske signals ko control nahi kiya ja raha hota. Phone signals ko behtareen halat mein dikha raha ja raha tha magar Salar ko yaqeen tha ke uska phone aur phone ke zariye hue uske rabton ko control kiya ja raha tha aur kis liye? Yeh woh samajh nahi pa raha tha.

Woh agar ise nuksan pahunchana chahte they to in sab hathkandon ke baghair nuksan pahunchate, jaise Petrus par waar kiya gaya tha aur unhein agar use bank se nikalna tha to woh yeh kaam to khud hi kar raha tha, phir yeh sab kyun kiya ja raha tha.

Uski reedh ki haddi mein jaise koi sansanahat hui thi. Use achanak ehsaas hua woh log use yeh ehsaas hi dilana chahte they ke use monitor kiya ja raha tha. Use nuksan pahunchaya ja sakta tha aur kis kis qism ka usay yeh bhi bataya ja raha tha aur yeh sab World Bank nahi kar sakta tha, sirf World Bank nahi. Usay CIA check kar rahi thi. Pata nahi jo pasinay chhote they, woh jism ke thanda hone par chhote they ya garam hone par lekin Salar kuch der ke liye pani mein nahaa gaya tha. Uska dimaag us waqt bilkul khali ho gaya tha. Yeh kabhi uske farishton ne bhi nahi socha hoga ke woh kabhi kisi aise muamlay mein involve hosakta tha ke CIA uske peechay pad jaati aur ab usay andaaza ho raha tha ke woh project World Bank ki khwahish nahi, America ki khwahish tha aur woh usay paiyah takmeel tak pahunchane ke liye kisi bhi had tak ja sakta tha.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now