Imama, woh gaadi ke darwaze ko band karti, current kha kar palti thi. Woh Jalal tha, parking mein uske barabar wali gaadi se use nikalte hue dekh kar thhatka tha.
"Oh My God,main soch bhi nahi sakta tha ke aaj tumse yahan mulaqat hogi," "How are you?" Woh behad excited andaaz mein uski taraf aaya tha. Woh but bani use dekh rahi thi. Baaz cheezein balaon ki tarah insaan ke ta'aqub mein rehti hain. Jahan bhi milti hain, insaan ka khoon khushk kar deti hain. Gaadi ki chabi muthi mein dabaye, woh bhi zard chehre ke saath use dekh rahi thi. Use andaza nahi tha, woh ab bhi uska khoon nichorne ki salahiyat rakhta tha. Agar nahi mile to saalon nahi mile, aur ab ek hi saal mein dobara mulaqat ho rahi hai. "Woh uski udri hui rangat par ghor kiye baghair, be takalluf doston ki tarah keh raha tha.
Imama ne bilaakhir muskurane ki koshish ki. Yeh zaroori tha, be had zaroori tha... Jalal Ansar se zyada khud uske liye usse na woh purana dost samajh sakti thi, na be takalluf ho sakti thi. Uske chehre par nazar padte hi use sirf ek hi rishte aur ta'alluq ka khayal aya. Ek hi khayal aasakta tha use. "Main theek hoon... Aap kaise hain?"
Usne muskurane ki koshish ki, nazrein to woh ab bhi usse nahi mila sakti thi. Woh waisa tha, jaisa usne uske clinic par aakhri mulaqat mein dekha tha. Wazan pehle se kuch badh gaya tha aur hair line kuch aur peeche chali gayi thi lekin apni zindagi mein woh uska jo image liye bethi thi, usko in dono cheezon se farq nahi pad sakta tha.
"Main to bilkul theek hoon. Main ne chand maah pehle shaadi kar li hai." Uski samajh mein nahi aya, usne use yeh khabar dena kyun zaroori samjha, kya uska isse koi ta'alluq tha? Ya woh use is informal chit chat se pehle hi bata dena chahta tha ke woh "available" nahi hai. Us aakhri mulaqat mein jo kuch woh usse keh chuka tha uske baad woh dast yab hota bhi to kam az kam itni izzat e nafs to woh rakhti thi ya woh use zaroorat mand samajh raha tha aur samajh bhi raha tha to kya ghalat kar raha tha. "Meri hi ghalati thi agar yun bhiq lene uske paas nahi gayi hoti to kam az kam uske saamne sar to uncha rakh sakti thi." Woh khud ko malamat karne lagi thi aur uski khamoshi ne Jalal ko kuch aur mohtat kiya.
"Bahut achi hai meri biwi, woh bhi doctor hai. British national hai, specialization bhi usne wahi se ki hai. Amazing women." Usne chaar jumlon mein us par apni biwi ki hesiyat wazeh kar di thi. Ek lamhe ke liye woh bhool gayi thi ke woh bhi kisi ki biwi hai. Apne pairon ke neeche zameen liye khadi thi. Uske munh se kisi dosri aurat ke liye meri biwi ke alfaaz ne chand lamhon ke liye use is tarah udhera tha.
"Mubarak ho! "
Usne bilakhir wo lafz kahe the jo use kehne chahiye the..
"Thanks, main tumko zaroor bulata agar mere paas tumhara contact number hota," pehli baar tumhe nahi bula saka tha lekin dusri baar toh bula sakta tha.."Jalal ne baat karte karte jaise mazaak kiya tha.. wo muskura nahi saki. Wo kabhi uske iss mazaak par muskura nahi sakti thi.
"Tumne to uske baad koi raabta hi nahi kiya. Koi phone, koi visit, kuch nahi. Main to intezaar hi karta raha," wo ab uska jaiza le raha tha..aur use usme hone wali tabdeelion ka bhi ehsas hua tha..ye Imama saath aath mahine pehle wali Imama se be had mukhtalif thi. Woh ab bhi pehle ki tarah ek chadar mein malbus thi lekin uski chadar aur libas be had nafis aur mehenge the, bawajood uske ke woh casual dress mein thi.
Uske haathon aur kaanon mein pehni hui jewellery ne Jalal ko ek lamha ke liye chonkaya tha. Uski wedding finger mein ek ring thi, lekin yeh woh wahem tha jiski woh tasdeeq nahi karna chahta tha. "Kyun?" Pata nahi kyun, yeh woh chehra nahi tha jise usne apne clinic par dekha tha. Makeup se aari chereh ke saath wo Imama usse dari, sahi, confused aur bahut bujhi hui lagi thi. Samne khadi Imama ke chehre par bhi makeup nahi tha aur uske baal bhi be had aam andaz mein dheele jude me lipte hue uski gardan ki pusht par nazar aa rahe the, yun jaise woh ittefaqan kisi kaam se ghar se nikli ho, lekin iske bawajood uske chehre aur aankhon mein ek chamak thi. Uski body language das barah saal pehle ki Imama ki tarah thi.
woh Imama jisse pehli baar mil kar woh attract hua tha. Careless, be niaz lekin be had pur etemad aur sukoon. Ek nazar mein hi Jalal ko ehsas ho gaya tha ke Imama Hashim bahut badal chuki hai, kaise aur kyun? Use thodi si bay chaini hui. Uske akab mein khadi is qeemti gaadi ko bah zahir sar-sari dekhte huye, Jalal ne usse poocha,
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...