"Kal bhai sahab ke yahan chalege"..Unhein batayenge yeh sab kuch... wahi baat karenge Salar se.."Saeeda Amma uske paas bethi keh rahi thi. Woh be had pareshan thi. Imama ne unki baat ki taayeed ki, naa tardeed. Ab uska dil kuch bhi kehne ko nahin chah raha tha. Woh bas apne bed par kambal odhe chup chap baithe Saeeda Amma ki baatein sunti rahi.
"Acha, chalo ab so jao beta! Subah sehri ke liye bhi uthna hoga."
Saeeda Amma ko achanak khayal aaya. Bed se uth kar kamre se nikalte huye unhone poocha, "Light off kar doon?"
Pichli raat ek jhamake ke saath use yaad aayi thi.
"Nahi rehne de. Woh bhirrai hui awaaz mein kehte huye let gayi," Saeeda Amma darwaza band karke chali gayi..
Kamre ki khamoshi ne use Salar ke bed room ki yaad dilayi. Haan, acha hai na main nahin hoon, araam se light on kar ke so toh sakta hai. Yahi toh chahta tha woh.
Wo phir se ranjida hone lagi, aur tab hi uska cellphone bajne laga. Imama ke khoon ki gardish pal bhar ke liye tez hui, woh use bilakhir call kar raha tha..usne behad khafgi ke aalam mein phone bed side table par phenk diya..wo use sath lekar nahi gaya aur ab use uski yaad saath le kar nahin gaya, aur ab use uski yaad aarahi thi. Uski ranjidgi, gusse mein badal rahi thi. Woh is tarah kyun kar rahi thi ke Raai ka pahaad bana rahi thi? Usne jaise apna tajziya kiya, aur is tajziye ne bhi use aziyat di. Main zud ranj hogayi hoon ya woh mujhe jaan boojh kar buri tarah ignore kar raha hai. Yeh jatana chahta hai ke main uske liye koi ahmiyat nahin rakhti. Uske dost, uska office, uski family bus yeh aham hai uske liye. Dobara call nahin aayi, chand seconds ke baad uska message aaya tha. Use yakeen tha ke woh zaroor kehenga ke woh usse miss kar raha tha. Text message mein uske liye ek reload card ka number tha aur uske neeche do lafz...
"Good night, sweet heart!" Pehle use shadeed gussa aaya phir buri tarah rona aaya. Use pehle bhi usne zindagi mein Salar Sikandar se bura koi nahin laga tha aur aaj bhi usse bura koi nahin lag raha tha.
☆☆☆☆
"Aamna se baat karwa do main aur Tayyaba bhi usse baat kar lein. Shaadi kar li usse ghar bhi le aao ab kisi kaam mein hamara bhi kuch hissa hai ya nahin," Sikandar ne ibtidai salaam o dua ke saath chutte hi usse kaha.
Woh aaj apne mayke mein hai. Salar ne kuch soch kar kaha "Toh barkhurdar! Tum bhi apne sasural mein hi theherte, tum munh utha kar apne appartment kyun aaye?" Sikandar ne use daanta..wo jawaban hasa.. mummy paas hi hain? Usne mawzu badla. "Haan, kyun, baat karni hai?"
"Nahi, filhal toh aap hi se baat karni hai. Balki kuch zyada serious baat karni hai." Sikandar yak dam seedhe ho kar baith gaye. Yeh Salar Sikandar tha, woh agar serious keh raha tha toh baat yaqeenan bohot serious thi.
"Kya baat hai?"
"Mujhe asal mein Aamna ke baare mein aap ko kuch batana hai."
Sikandar ulajh gaye. Woh Aamna ke baare mein unhein nikaah ke baad bata hi chuka tha. Doctor Sibt e Ali ki beti jis ke saath usne apni kuch zati wajoohat ki bina par emergency mein nikaah kiya tha. Sikandar usman, Doctor Sibt e Ali ko jaante the, aur Salar ke tawassut se do teen baar unse mil bhi chuke the. Woh Doctor Sibt e Ali ki beti ke bajaye kisi bhi ladki se is tarah achanak un logon ko mutala karta nikah karta, tab bhi unhein aitraz naa hota. Woh aur unki family kuch itni hi liberal thi, aur Salar toh berhal "special case" tha. Yeh mumkeen nahi tha ke wo shadi insano ki tarah karta.. yeh tabseera Tayyaba ka tha jo unhone uske nikaah ki khabar milne par qadr e khafgi lekin itminan ke saath kiya tha aur ab woh keh raha tha ke use Aamna ke baare mein kuch batana tha. Kya batana hai Aamna ke baare mein?
Salar ne gala saaf kiya. Baat kaise shuru kare, samajh mein nahi aa raha tha. Aamna asal mein Imama hai,tamheed zindagi mein usne kabhi nahi bandhi thi.. phir ab kaise bandhta. Dusri taraf yak dam khamoshi cha gayi. Sikandar ko laga, unhein sunne mein kuch galat fehmi hui hai.
"Kya kya matlab? Unhone jaise tasdeeq chaahi."
"Imama ko Doctor Sahab ne apne ghar mein panah di thi. Woh itne saalon se unhi ke paas thi. Unhone uska naam change kar diya tha uske tahaffuz ke liye. Mujhe nikaah ke waqt yeh pata nahi tha ke woh Imama hai, lekin woh Imama hai." Akhri jumlay ke ilawa usne baki ki tafseel ahmaqana nahi lagi.
Sikander Usman ne rukti hui saans ke saath barabar ke bed par baithe hue biwi ko dekha jo Star Plus par koi talk show dekhne mein masroof thi aur yeh acha hi tha. Woh usi tarah rukti hui saans ke saath, nange paon apne bistar se utar kar bed room ka darwaza khol kar be had ujlat ke aalam mein bahar nikal gaye. Tayyaba ne kuch hairat se unhein is tarah achanak jaate dekha. Ek toh in baap-bete ka romance hi khatam nahi hota, ab do ghante laga kar aayenge. Tayyaba ne qadr-e-khafgi se socha aur dobara TV ki taraf mutawajjah ho gayi..
Bahar lounge mein Sikandar Usman ke chodah tabqay roshan ho rahe thay. Woh abhi chand ghante pehle hi Tayyaba ke saath apne aakhiri aulaad ke settle ho jaane par khushi aur itminaan ka izhaar karte huye, uska waleema plan kar rahe thay aur unhein waqti tor par yeh bhool gaya tha ke woh aakhiri aulaad Salar Sikandar tha. Do ghante tak lounge mein uske saath taweel guft o shaneed ke baad woh jab bil-aakhir wapas bed room mein aaye toh Tayyaba so chuki thi..lekin Sikandar Usman ki neend aur itmenan dono rukhsat ho chuke the..
☆☆☆☆☆☆
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...