Ya Mujeeb ul-Sa'ileen,
Woh Pakistan mein Imama ke qayam ka teesra hafta tha. Woh shuru ke do haftay Lahore mein Doctor Sibt e Ali aur Saeeda Amma ke paas guzar kar ab baqi do haftay Islamabad rehne aayi thi. Zindagi ab yun bhagam daudh mein guzar rahi thi ke usey use is barabar waale ghar ko dekh kar baar baar udaas hona bhi yaad nahi raha tha. Woh ghar bik chuka tha. Imama jaanti thi aur uske khule kushadah lawn par ab mazeed tameerat ho chuki thi. Ghar ka naqsha bhi kuch ka kuch kar diya tha uske naye makeeno ne...
Sikandar Usman aur Tayyaba ab wahan akele rehte the. Tayyaba waqtan fawaqtan apne sab beton ke paas doosre mulkon mein aati jaati rehti thi, lekin unka zyada tar waqt Islamabad mein hi guzarta tha. Imama aur uske bachon ne Sikandar Usman aur unki routine ki zindagi ko isi tarah tora tha jaise unke baqi bachon ka apni families ke saath aana todta tha.
Salar Pakistan Imama ke saath aaya tha. Unki flight Islamabad hi ki thi. Do teen din Imama us ke sath wahan rehti phir us ke sath Lahore chali jati aur phir wahan Saeeda Amma aur Doctor Sibt e Ali ke paas kuch din guzar kar wapas Islamabad aa jati aur phir wahi se wapas Congo chala jana tha use...
Wo wahan un ki aamad ka doosra din tha jab Salar ne use America mein apne kisi purane dost ke bare mein bataya tha jo ab apni family ke saath Pakistan mein muqeem tha aur Salar Sikandar se milna chahta tha, use mubarakbad dene ke liye... Salar apne personal visit par tha lekin is ek haftay mein bhi use musalsal bohot se sarkari ohde daaran aur ahbab se milna tha jo usko World Bank ki naib sadarat sambhalne par abhi tak zati tor par mil kar mubarakbad nahi de sake the. Kayi saalon baad Saad apni family ke saath Salar se milne us ke ghar aaya tha aur Salar fori tor par use pehchan hi nahi saka tha. Wo mukammal tor par barish tha aur us ki daadhi assi fisad safed ho chuki thi jise rangne ki koshish nahi ki gayi thi. Wo behad mehenge brand ke shalwar qameez mein malbus tha lekin shalwar us ke takhnon se oopar thi. Wo farbehi maail tha aur use dekh kar yeh andaaza lagana mushkil nahi tha ke wo khane peene ka shoqeen tha aur exercise se use dilchaspi nahi thi. Us ke sath naqab liye hue us ki biwi, ek aath saala bacha aur do chhoti bachiyan thi.
Wo aur us ki biwi Salar aur Imama se badi garam joshi se mile the. Imama jaanti thi Saad, Salar ke shanaasayon mein se tha, qareebi doston mein se nahi lekin is ke bawajood Saad apni gapshap aur buland o bang qahqahon ke doran Salar ke us ke sath America mein guzre hue waqt ke bare mein aise aise qisse nikaal kar sunata raha jaise wo aur Salar behtreen aur behad gehre dost rahe the yaar gaar kisam ke dost. Mujhe to hamesha se yeh andaza tha ke Salar badi taraqqi karne wala tha bas zara qibla kharab tha is ka... wo main kheench kheench kar theek karta raha. Chai peene ke doran us ne Imama par jaise ek inkishaaf kiya. Salar aur Imama ne be ikhtiyar ek dosre ko dekha aur muskura kar reh gaye.
"Woh ab dekhein bhabhi! Kaisa badla hai Meri koshishen kaise rang nahi laa saki.Iska mujhe bada afsos hai." Saad ne jatane wale andaz mein kaha.Saad ne be ikhteyar qehkaha lagaya. "Arey hum par kahan kisi ka rang chadhna tha. Hum par to apna hi rang bada pakka tha." "Bhabhi yeh aap ka shohar night clubs aur discos ka bada shaukeen tha. Mujhe bhi khench khench kar le jaane ki koshish karta rehta tha. Net nayi ladkiyon se dosti thi iski badi rangeen zindagi guzari hai isne." Salar ne Saad ke baare mein theek kaha tha, woh nahi badla tha... Pehle log khud ko behtareen Musalman sabit karne ke liye doosron ke har aib aur khami ko dikhane aur jatane ki waba mein mubtala hote hain aur unka Islam unhe sirf muqabla aur muazna sikhata hai. Parda poshi nahi. Woh kisi insaan ke haal aur kaamyaabiyon par use mubarak baad to de sakte hain us par rashq bhi kar sakte hain. Use apna dost kehne par fakhr bhi kar sakte hain lekin uske maazi ke sahibon aur lahaqon ko bhulaye baghair... dil azari aur dil shikni unke Islami gunahon ki fehrist mein shamil nahi hote. Saad bhi yahi kar raha tha. Woh apni biwi ke samne ye sabit karne ki koshish kar raha tha ki woh kitne nek shakhs ki biwi thi jo duniyawi kamyaabiyon mein Salar Sikandar se peeche ho sakti thi lekin mumin tha aur roohani, deeni aur ikhlaqi itbar se usse be had behtar tha. Ehsaas e kamtari ki ye ek be had bhayanak shakl hoti hai, jisme koi shakhs ye bhi tay nahi kar pata ki use dost ke saath dosti karni hai ya dushmani. Saad ab apne inkishaf se jaise khud hi mahsuz hote hue apni plate mein ek naya kabab lete hue hans raha tha. Imama ka chehra fika pada tha. Bahut se inkishafat kisi ke liye bhi be ta'asur aur be asar nahi ho sakte, woh bhi jab koi inkishaf is tarah khule aam itne tauheen aamez andaz mein kiya gaya ho. "Bhabhi! Bilkul theek keh raha hai Saad... meri kafi rang birangi ladkiyon se dosti thi lekin Saad ko sirf ek hi range ki ladki pasand thi aur main zara shaukeen mizaj tha. Discos aur nightclubs aata jata rehta tha in ladkiyon ke saath, lekin Saad zaahir hai mere jaisa shaukeen mizaj nahi tha, is liye woh apni girl friend ke saath ghar par hi rehna pasand karta tha." Kabab to Saad ne plate mein rakh liya tha lekin plate uske haath se chhute chhute bachi ki thi. Salar Sikandar ne kayi saalon ke baad aisi kam zarfi aur be lehazee ka muzahira kiya tha jo uska ek zamane mein shanaakhti nishan tha aur use Saad ke teen kamsin bachon aur biwi ke samne is ghatiya pan ka muzahira karne par khushi nahi hui thi lekin Saad ke kisi aur mumkin tamgha imtiaz ko apne seene par sajane se rokne ke liye iske alawa koi hifazati iqdam karagar nahi ho sakta tha. "Kya naam tha uska? Haan, Stephanie ab to alek salek hi reh gayi hogi ya woh bhi nahi hai?" Uski yaddasht safa ka na had tak tez thi aur is waqt usne Saad ka qatl hi kar diya tha. Saad ka andar ka saans andar aur bahar ka bahar reh gaya tha. Salar yak dam is tarah guftagu karne laga tha jaise woh kisi bar ya park mein akelay baithe hain aur unke aas paas kisi doosre shakhs ka koi wajood nahi tha. Is sab ki ibtida Saad ne ki thi lekin inteha ab Salar kar raha tha. Saad jawaab kya deta, uska to saans lena bhi muhaal ho gaya tha.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...