Salar agar uske bante bigadte mood ko nahi samajh pa raha tha, toh woh khud bhi apne aap ko nahi samajh pa rahi thi.
Woh saara din uske baare mein soch soch kar udas hoti rehti, aur usse baat karte huye woh bila wajah usse jhagadti... Use us par shadeed gussa aata tha, aur kyun aata tha, yeh uski samajh se bahar tha. Woh kayi saalon baad itne lambe depression ka shikar hui thi aur zindagi mein pehli baar teen hafton mein woh ek novel bhi mukammal nahi kar paayi thi, painting to khair door ki baat thi.
Woh sara din TV on kiye uski call ke intezaar mein bethti rehti ya phir computer on kiye purani emails padhte hue, kisi nayi email ke liye bethti rehti. Chand lines ki woh e-mails jin mein woh uska haal poochta tha, aur apni activity batate huye usse poochta tha ki woh kya kar rahi hai, woh in e-mails ko darjanon baar padhti. Ek lamba chaudha jawab likh kar, uski e-mail ke intezaar mein saari raat uski cheezein nikaal kar saaf karke re arrange karti rehti ya phir uski collection mein maujood Charlize Theron ki movies dekhti rehti. Yeh waqai be basi ki hadh thi ke use actress bhi ab buri lagna band ho gayi thi, jise woh pehle Salar ke samne dekhna pasand nahi karti thi.
Har roz khane ki table par woh uske bartan bhi laga deti, yeh jaise khane ki table par apni tanhai door karne ki koshish thi. Raat ko sone ke liye apne bistar mein lete, woh light off karne ke baad bhi karwat liye, kitni kitni der uske bistar aur sirhaane ko dekhti rehti. Woh sone se pehle light off karne ke baad bhi, usse kuch der baatein kiya karta tha aur ab yeh khamoshi uske aasab ko buri tarah muzmail kar rahi thi. Eid ke liye Islamabad jaane tak, ghar ki is khamoshi aur tanhai ne use mukamma taur par hawaas bakhta kar diya tha.
Islamabad se aane ke baad bhi, usne khud ko behtar mehsoos nahi kiya tha. Salar ki poori family mein se sirf Amaar aur Yusra Eid manane ke liye wahaan mojood the, baqi afraad behrune mulk the. Pichli Eid jaisi ronak is bar wahaan nahi thi. Salar ne Tayyaba ko uski Eid ki shopping karwane ke liye kaha tha. Woh bade bujhe dil ke saath unke saath chali gayi thi lekin pichli Eid jaisa ishteyaq is baar use kapron ke liye nahi tha. Islamabad aakar yeh bhi pehli baar hua tha ke usne guest room ki khidki se lag kar apne ghar walon mein se kisi ke nazar aane ka intezaar bhi nahi kiya tha. Eid ki subah pehle ki tarah is baar bhi woh Salar ki call par hi uthi thi. Woh Montreal mein apna session khatam kar ke kuch der pehle hotel aaya tha.
"Kon se kapde pehen rahi ho tum aaj?" usne mubarak baad dene ke baad usse poocha..."Tumhe batane ka fayda..?" .. usne bed ke crown ke saath pusht nikaalte huye kaha.
"Main tasawwur karna chahra hu ke tum kaisi lag rahi hogi"..."Mere samne tumne kabhi mere kapdo ko gaur se dekha tak nahi ab waha baithkar kya tasawwur karoge".."Imama kam se kam aaj hum argument nahi karege" Salar ne madaakhlat karte huye jaise pesh ki jang bandi ka elan kiya. "Tumhein kya chahiye aaj? Flowers aur cake to Mummy se maine kaha hai tumhare liye, kuch aur chahiye?"
"Nahi. Woh behad udaas thi. Mujhe miss toh nahi kar rahi tum?" Salar ne mazaak kiya tha lekin jaise hi usne uski dukhti rag par haath rakh diya tha. Uski aankhon mein aansuon ka sailab umad aaya tha. Usne apni aasteen ke saath aankhon ko ragar kar saaf karne ki koshish ki thi. Woh uski khamoshi par ghaur kiye baghair baat kar raha tha. Canada mein Eid pehle hi ho chuki thi aur woh Eid ke din bhi conference attend karta raha. Wo zindagi mein kai Eidain isi tarah guzar chuka tha.. Pichli Eid use kam az kam is Eid wale din apni masroofiyat ki wajah se yaad nahi aa saki thi, lekin pichli Eid Imama ko pichle do din se tang kar rahi thi.
"Kab ki flight hai tumhari?" Usne koshish ki thi ke uski awaaz baat karte huye na bharaye, yeh ahmakana cheez thi, baqi cheezon par rona theek tha. Lekin kam az kam woh uske saamne uske na hone ke liye, nahi ro sakti thi. Woh badi sharmindagi mehsoos karti agar woh ye jaan jata ke...
Woh ab use flight ka bata raha tha. "Tumne mujhe kapron ka color nahi bataaya?" Salar ko baat karte karte yaad aaya. "Tumne Mummy ke saath ja kar kapre liye the?"
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomantizmAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...