Char saala Jibreel ne apne khandan ko dar peesh aane wale is dohran mein jo role ada kiya tha, woh usne zindagi mein kayi baar ada karna tha. Yeh is nanhe se bachay ko tab ilm nahi tha. Imama ke jaane ke baad Hadi ko achanak khayal aya tha ke Imama usse ghar se kuch cheezein lane ka keh kar gayi thi jo no zaeeda bachay aur uske liye ek bag mein ghar pehle hi pack karke rakhi hui thi aur woh Hadi se in dono bachon ke liye khane peene aur unke kapron ke liye bhi keh kar gayi thi kyun ke use bachon ko ghar waapas nahi bhejna tha jab tak Salar na aajata. Usne Hadi se kaha tha woh in bachon ko hospital mein kisi female attendant ke paas chhod kar ghar se yeh cheezein le aaye ya phir ghar mein mojood kisi aur mulaazim ki madad le lekin woh bachon ko kahin nahi le jayegi. Hadi ko Imama ki yeh hidayat yaad nahi rahi thi. Unka ghar wahan se sirf das minute ki drive par tha aur Hadi ne socha tha. Woh yahan in bachon ko akela chhodne ke bajaay unko apne saath hi le jayegi aur waapas le aayegi. Jibreel ne saath le jaane ki is koshish ke jawab mein saaf inkaar karte hue use yaad dilaya tha ke Mummy ne usse kaha tha woh wahi rahenge. Woh unhe saath nahi le jayegi. Hadi ko yaad aagaya tha aur usne dobara israar nahi kiya tha. Woh Jibreel ko bohot achhi tarah jaanti thi. Char saal ki umar mein bhi woh baccha kisi totay ki tarah maa baap ki baatein rat kar phir wahi karta tha aur majaal thi ke woh kisi doosre ki baaton mein aakar Imama ya Salar ki taraf se milne wali hidayat faramosh kar deta. Hadi unhein Imama ki doctor ki ek assistant ke paas chhod kar fori tor par ghar chali gayi thi.
Uski adam mojoodgi mein Inaya ko neend aane lagi thi. Doctor ki assistant ne neend mein jhulti hui do saal ki is bachi ko utha kar ek bench par litaane ki koshish ki aur Jibreel ne usse rok diya. Woh wahan se Inaya samet hatna nahi chahata tha jahan Hadi use bitha kar gayi thi aur jahan assistant Inaya ko le ja kar laitaana chahti thi, woh ek bughli kamra tha...
Char saal ka woh baccha apni do saala behen ke saath wahin public mein bethay rehna chahta tha kyun ke use pata tha kisi ajnabi ke saath kahin nahi jaana chahiye. Kisi aisi jagah jo door hoti... Assistant kuch heran hokar waapas apni table par gayi thi. Woh ek interesting baccha tha. Usne apne kursi par bethay use dekhte hue socha. Do
Saala Inaya ab Jibreel ki god mein sar rakhe so rahi thi aur woh be had chonkanna betha behen ke sar ko apne nanhe nanhe baazo ke halkay mein liye mulaqati kamre mein aane jaane wale ko dekh raha tha. Aur tab woh aurat un dono ke barabar mein aakar bethi aur usne Jibreel ko ek muskurahat dete hue uska sar thapthapaaya aur jawaaban us bachay ke ta'asuraat ne use samjha diya tha ke use yeh be takallufi achi nahi lagi thi. Us aurat ne doosri baar soyi hui Inaya ke baalon mein ungliyan pherney ki koshish ki to is baar Jibreel ne uska haath badi narmi se pare karte hue sargoshi mein usse kaha."Yeh so rahi hai. (She is sleeping.)"
"Oh,Sorry! American aurat bazahir sharmindgi zahir karte hue use dekh kar muskurayi, Jibreel ne ek baar phir sapat chehre aur uski taraf dekhe baghair uski muskurahat nazar andaaz ki. Us aurat ne apna purse khol kar uske ander se chocolate ki ek bar nikal kar Jibreel ki taraf bhadhayi.
"No thanks" jawab chocolate aage bhadhayi jaane se bhi pehle aa gaya tha.
"Mere paas kuch khilone hain." Is baar us aurat ne zameen par rakhe ek bag se ek stuffed khilona nikal kar Jibreel ki taraf bhadhaya, uski sardi mehri ki deewar tornay ki yeh agli koshish thi. Jibreel ne is
khilone par ek nazar daale baghair bohot shaistagi se usse kaha."Would you please stop bothering me?"
("Aap hamein tang karna band karegi, please")
Ek lamha ke liye woh aurat chup hi rahi gayi thi yeh jaise shut up call thi us ke liye magar woh wahan munh band karne ke liye nahi aayi thi. Unhein in dono bachon ko wahan se le jaana tha aur unka khayal tha, aate jaate mulaqaton mein do kamsin bachon ko behla phusla kar wahan se le jaana kya mushkil tha. Zor zabardasti woh itne logon ke samne Inaya ke saath kar sakte thay Jibreel ke saath nahi.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...