part5

5K 140 4
                                    

Imama ki aankh gyarah baje cell phone par aane wali ek call se khuli thi, woh Doctor Sibt e Ali the. Unki awaaz sunte hi uska dil bhar aya tha.
"Maine aap ko neend se jaga diya?" Woh maazrat khwah andaaz mein bole. Unhone us ki rundhi hui awaaz par ghor nahi kiya tha. Nahi, main uth gayi thi." Usne bistar se uthte hue jhoot bola. Woh uska haal-e-waal poochte rahe. Woh bade bojhal dil ke saath takreeban khali us zehni ke aalam mein ho, haan main jawab deti rahi. Chand minute aur baat karne ke baad unhone phone band kar diya. Call khatam karte hue uski nazar apne cellphone mein chamakte uske naam par padi thi. Woh chonk uthi, use fori tor par yaad nahi aya ke usne Salar ka naam aur phone number kab mahfooz kiya tha. Yaqeenan yeh bhi usi ka kar-nama hoga. Usne uska SMS padhna shuru kiya. "Please jagne ke baad mujhe message karna. Mujhe zaroori baat karna hai." Use na jaane kyun us ka message padh kar gussa aaya. Badi jaldi yaad aagayi main." Woh message ka time check karte hue bad badayi. Woh shayad 10:50 par aaya tha. Agar office jaate hue use main yaad nahi aayi to office mein beth kar kaise aasakti hoon. Woh is waqt us se ji bhar kar badgumaan ho rahi thi aur shayad theek hi ho rahi thi. Woh pichli raat uske liye Chief Guest thi aur agli subah woh uske saath bin bulaye mehmaan jaisa sulook kar raha tha. Kam az kam Imama is waqt yahi mehsoos kar rahi thi. Woh is waqt woh baatein soch rahi thi jo Salar ke wahem o gumaan mein bhi nahi thi. Woh kuch ajeeb andaaz mein khud tarsi ka shikaar ho rahi thi. Usne kambal tay karte hue bistar theek kiya aur bed room se bahar nikal aayi. Appartment ki khamoshi ne uski udasi mein izafah kiya tha. Khidkiyon se suraj ki roshni andar aa rahi thi. Kitchen ke sink mein woh bartan waise hi maujood the jis tarah woh chhod kar gayi thi. Woh be had be-dili se apne kapde nikaal kar nahane ke liye chali gayi. Washroom se bahar nikalte hi usne sabse pehle cellphone check kiya tha. Wahan koi message tha aur na koi missed call. Chand lamhe cellphone pakde bethi rahi, phir usne apni sari anaa aur sare gusse ko balaye taq rakh kar use message kiya. Uska khayal tha, woh use foran call karega lekin uska yeh khayal galat sabit hua tha. Paanch minute... das minute pandrah minute usne apni anaa ko kuch aur mitti karte hue use message kiya. Baaz dafa message pahunchte bhi to nahi hain, usne apni izzat e nafas ki malamat se bachne ke liye be had kamzor tawil talash ki. Aaj kal waise bhi network aur signals ka itna zyada masla hai."
Izzat e Nafs ne use jawaban use doob marne ke liye kaha tha...

"Arre beta! Main to kab se tumhare phone ke intezaar mein bethi hoon. Tumhein ab yaad aayi Saeeda Amma ki. Saeeda Amma ne uski awaaz sunte hi gila kiya. Usne jawaban behad kamzor bahane pesh kiye. Saeeda Amma ne uski wazahaton par ghor nahi kiya. Salar, theek to hai na tumhare saath?"

Unhone is sawaal ke muzammirat ka is soorat e haal mein soche bagair poocha, aur Imama ke sabr ka jaise paimana labrez hogaya tha. Woh yak dum phoot phoot kar rone lagi thi. Saeeda Amma buri tarah ghabra gayi thi.

"Kya hua beta?... Are, is tarah kyun ro rahi ho? Mera to dil ghabrane laga hai. Kya hogaya Aamna?" Saeeda Amma ko jaise thande paseene aane lage thay.

"Salar ne kuch keh diya hai kya?" Saeeda Amma ko sab se pehla khyaal yahi aya tha.

"Mujhe us se shadi nahi karni chahiye thi." Imama ne unke sawaal ka jawab diye bagair kaha.

Saeeda Amma ki hawaas bakhudgi mein izafah hua.

"Maine kaha bhi tha aap se. Woh roti ja rahi thi."

"Kya woh apni pehli biwi ki baatein karta raha hai tumse?" Saeeda Amma ne Salar ke hawale se lahaq wahid khadshe ka beikhteyar zikr kiya.

Pehli biwi..Imama ne rote rote kuch hairani se socha. Lekin Salar ke liye is waqt uske dil mein itna gussa bhara hua tha ke usne bina soche samjhe Saeeda Amma ke khadshay ki tasdeeq kar di.

"Ji," usne rote hue jawab diya.

Saeeda Amma ke seenay par jaise ghoonsa laga. Yeh khadsha to unhein tha lekin unka khayal tha ke apne ghar le jaate hi pehle din to woh kam az kam apni is saal purani makooh biwi ka zikr nahi karega. Imama ko Salar par kya gussa aata tha jo Saeeda Amma ko aaya tha, unhein yak dum pachtaawa hua tha. Waqai kya zarurat thi yun raah chalte kisi bhi do take aadmi ko pakad kar yun uski shaadi kar dene ki. Unhone pachtaate hue socha.

"Tum fikar naa karo, main khud Sibt e Ali bhai se baat karungi," Saeeda Amma ne be-had gusse mein kaha.

Saeeda Amma se baat karte hue woh itni der mein pehli baar bohot achha mehsoos kar rahi thi, yun jaise kisi ne uske dil ka bojh halka kar diya ho. Use is waqt jis mutassib janibdari ki zarurat thi, unhone use wohi di thi. Unse baat karte hue, rawani aur pharawani se behne wale aansu ab yak dum khushk ho gaye the.. Wahan se das mil ke faslay par apne bank ke board room mein bethi evaluation team ko di jane wali presentation ke ikhtitamiya sawaal-o-jawab ke session mein credibility and trust factor se mutalliq kisi sawaal ke jawab mein bolte hue Salar ko andaza bhi nahi tha ke us ke ghar par mojood us ki ek din ki biwi aur nau saala mehbooba ghar par bethi us ki "saakh" aur "naam ka tiya pancha" karne mein masroof thi. Jis ko is waqt us wazahat ki is evolution team se zyada zarurat thi.

Sona hogaya, rona bhi hogaya, ab aur kya reh gaya tha. Imama ne tissue paper se aankhein aur naak ragarte hue bil akhir receiver rakhte hue socha. Use kitchen ke sink mein pade bartano ka khayal aya, badi neem deeli se woh kitchen mein gayi aur un bartano ko dhone lagi.

Woh shaam ke liye apne kapde nikalne ke liye ek bar phir bed room mein aagayi aur tab hi usne apna cell phone bajte suna. Jab tak woh phone ke paas pahunchi, phone band ho chuka tha. Woh Salar tha aur uske cell par ye us ki chauthi missed call thi. Woh cell haath mein liye us ki agli call ka intezaar karne lagi. Call ke bajaye uska message aaya. Woh use apne program mein tabdili ke bare mein bata raha tha ke Doctor Sibt e Ali ka driver ek ghante tak use wahan se Doctor Sahab ke ghar le jaye ga aur woh iftaar ke baad office se seedha Doctor Sahab ke ghar ane wala tha.
Chand lamhon ke liye uska dil chaha, woh phone ko deewar par de maare lekin woh uska apna phone tha. Salar ko kya farq padta.

Woh usse raat ko itna lamba chhoda izhaar e mohabbat nahi karta toh woh aaj usse tawaqquat ka yeh anbaar laga kar nah bethi hoti lekin Salar ke har jumle par usne laashawoori tor par pichli raat apne daman ke saath ek gireh bandh li thi aur girahon se bhara woh daman ab use buri tarah tang karne laga tha.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now