part 80

2.2K 67 47
                                    

Sikandar Usman un sab ki zindagi se be-hadd khamoshi se chale gaye the. Wo Hameen ki wahan aamad ke doosre din neend se nahin jaage the. Us waqt us ghar mein sirf Imama aur Hameen hi the, Tayyaba America mein thi.

Us raat Hameen, Sikandar Usman ke paas bohot der tak baitha raha tha, hamesha ki tarah. Wo jab bhi yahan aata tha, Imama aur un ke liye hi aata tha. Sikandar Usman se wo Salar ke doosre bachon ki nisbat zyada unsiyat rakhta tha aur aisa hi unse Sikandar Usman bhi us se rakhte the. Alzheimer ki is intehai stage par bhi Hameen ke samne aane par un ki aankhein chamakti thi ya kam az kam doosron ko lagti thi. Kuch bhi bol na sakne ke bawajood use dekhte rehte the aur wo dada ka haath pakde un ke paas baitha rehta tha. Un se khud hi baat cheet ki koshish karta rehta tha. Kuch sawaal karta, khud jawab deta, jaise bachpan mein karta tha aur waisi hi baatein jo bachpan mein hui thi aur tab Sikandar Usman un ke jawab diya karte the.

"Dada! Bataiye shutar murgh ki kitni taangen hoti hain?" Wo un ke saath walk karte karte yak dam un se poochta. Sikandar Usman ulajhte, shutar murgh ki tasveer zehan mein lane ki koshish karte, phir haar maante. "Murgh ki do hongi to shutar murgh ki bhi do hongi dada, yeh to soche baghair bata dene wala jawab tha."

Sikandar Usman us ki baat par sar hilaane lagte. Sikandar Usman ki yaaddasht ke diye Hameen Sikandar ne apne samne ek ek kar ke bujhte dekhe the aur ek bachay ke tor par Alzheimer ko na samajhne ke bawajood us ne apne dada ke saath mil kar in diyo ki roshni ko bachane ki be-paana koshish ki thi.

Wo kisi bhi cheez ka naam bhool jaane par unhein tasalli de diya karta tha ke yeh normal baat thi... aur bhoolna to achha hota hai, is liye wo bhi bohot saari cheezein bhoolta hai. Wo bachay ki logic hoti thi aur bade ke saamne langdi thi magar Sikandar Usman ko is umar mein is bimari se ladte hue waisi hi logic chahiye thi jo unhein yeh yaqeen dilati ke wo theek the, sab kuch normal tha.

Hameen un ki bimari ke barhte jaane par aahista aahista kar ke un ke kamre ki har cheez par us cheez ka naam kaghaz ki chitthon par likh kar chasma kar diya karta tha ta ke dada kuch na bhoolen, wo jo cheez ko dekhein, us ka naam yaad karne ke liye unhein taraddud na karna pade. Wo chitain senkdon ki tadad mein thi aur is kamre mein aane wale shakhs ko ek baar, Sikandar Usman ke saath is bimari se ladne wale us doosre shakhs ke bare mein sochne par majboor kar deti aur Hameen ne is bimari ke samne pehli haar is din mani thi jis din Sikandar Usman us ka naam bhool gaye the. Wo be yaqeeni se un ka chehra dekhta raha tha. Wo aakhir us ka naam kaise bhool gaye the? Us wajood ka jo chobiis mein se barah ghante un ke ird gird mandlata rehta tha. Us ke samne khade Sikandar Usman us ka naam yaad karte, atakte, ulajhte, haklate, gir girate rahe aur Hameen un ki jado jehad aur be busi dekhta raha. Phir wo badi khamoshi se centre table ke paas ghutne tek kar betha.

Wahan padi ek stick on chit, us ne uthayi uspar apna naam likha aur apne mathe par use chasma karte hue wo Sikandar Usman ke samne aakar khada ho gaya. Us waqt wo phoot phoot kar rona chahta tha aur shayad zindagi mein pehli baar, lekin wo nahi roya tha, us ne jaise Sikandar Usman ke samne us baat ko mazak mein udane ki koshish ki thi lekin wo baat alzaimer se jang karte us shakhs ke liye mazak nahi thi. Wo us ka naam ke spelling karte hue hans pade the aur phir hanste hanste wo wahan khade khade apni muthiyan bhainchte, rone lage the aur un se qad aur umar mein chhote Hameen ne apni umar se bade us boodhe shakhs ko thapakte hue tasalli di thi jo apni na-ahli aur majboori par nadim tha aur jo apne chahite tareen rishte ka naam yaad rakhne se bhi qasir tha. Un ki bimari ne Hameen Sikandar ko waqt se pehle mature kar diya tha. Jibreel ne Salar Sikandar ki bimari ko jhela tha, Hameen ne Sikandar Usman ki. Wo use apne sath jode rakhne ke liye use apni cheezen dena shuru ho gaye the. "Dada! Aap ko ye karne ki zaroorat nahi hai." Hameen jaise samajh jata tha ke wo barter deal kis shai ke liye thi. "Mere pass duniya mein jitna waqt hai, aap ke liye hai." (I have all the time in the world for you.) Wo jaise unhein yaqeen dilane ki koshish karta.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now