part13

4.6K 140 19
                                    

Woh pehli subah thi jab uski aankh Salar se pehle khuli thi, alarm set time se bhi das minute pehle. Chand minute woh usi tarah bistar mein padi rahi. Use andaza nahi ho raha tha ke raat ka kaun sa pehar hai. Bedside table par pada alarm clock utha kar usne time dekha, phir saath hi alarm off kar diya. Badi ehtiyaat se woh utth kar bistar mein bethi.

Side table ka lamp badi ehtiyaat se on karte hue usne slippers dhoonde, phir usne khade hote hue side table ka lamp off kiya. Tab usne Salar ki side ke lamp ko on hote dekha. Woh kis waqt bedaar hua tha, Imama ko andaza nahi hua tha.

"Main samjhi tum so rahe ho," usne Salar ke salaam ka jawab dete hue kaha.

"Main abhi utha hoon, kamre mein ahat ki wajah se," woh us tarah lete lete ab apna cell phone dekh raha tha.

"Lekin maine to koi awaaz nahi ki. Main to koshish kar rahi thi ke tum disturb na ho," Imama kuch hairaan hui thi.

"Meri neend zyada gehri nahi hai Imama! Kamre mein halki se halki ahat bhi ho to main jag jaata hoon," usne gehra saans lete hue cell side table par rakha.

"Main aindah ehtiyaat karungi," usne kuch maazrat-khwaanah andaaz mein kaha.
"Zaroorat nahi hai, mujhe aadat hai issi tarah ki neend ki. Mujhe ab farq nahi padta," usne bed par pada ek aur takiya utha kar apne sir ke neeche rakha aur aankhein band kar li.

Woh washroom mein jaane se pehle chand lamhe use dekhti rahi. Har insaan ek kitaab ki tarah hota hai, khuli kitaab jise koi bhi padh sakta hai. Salar bhi uske liye ek khuli kitaab tha lekin Chinese zubaan mein likhi hui kitaab.

Us din usne aur Salar ne sehri ekathhe ki aur har roz ki tarah Salar, Furqan ke saath nahi gaya. Woh shayad pichle kuch dino ki shikayaton ka azala karne ki koshish kar raha tha. Imama ka mood raat ko hi bahut acha ho gaya tha aur us mein mazeed behtarii uski tawajjuh ne ki..

Masjid mein jaane se pehle aaj pehli baar usne use mutala kiya.

"Imama! Tum mera intezar mat karna. Namaz parh kar so jana, main kaafi late aaunga," usne jaate hue use taqeed ki lekin woh uski taqeed ko nazar andaz karte hue uske intezar mein bethi rahi.

Woh saade aath baje uske office jaane ke baad soyi thi. Dubara uski aankh gyarah baje door bell ki awaaz par khuli. Neend mein apni aankhein masalte hue, usne bed room se bahar nikal kar appartment ka dakhili darwaza khola. Chalees, paentees saala ek aurat ne usse be-had pur tajassus bhari nazron se dekhte hue salaam kiya.

"Mujhe Noshin Baaji ne bhi bheja hai," usne apna ta'aruf karwaya.
Imama ko yak dam yaad aya ke usne Noshin ko saafai ke liye mulaazma ko kal ke bajaye agle din bhejne ke liye kaha tha. Woh use rasta deti hui darwaze se hat gayi.

Itni khushi hui jab Noshin Baaji ne mujhe bataya ke Salar Sahab ki biwi aagayi hai. Mujhe to pata hi nahi chala ke kab shadi kar li Salar Sahab ne," Imama ke peechhe andar aate huye mulaazma ki baaton ka aghaaz hogaya tha.

"Kahan se safai shuru karni hai tumne?" Imama ko fori tor par samajh mein nahi aaya ke use safai ke bare mein kya hidayat de..

"Baaji! Aap fikar na karein. Main kar loongi, aap chahe araam se so jao," mulaazma ne use fori offer ki ye shayad usne uski neend se bhari hui ankhon ko dekhkar kaha tha..

"Nahi, tum lounge se safai shuru karo, main abhi aati hoon," offer buri nahi thi, use waqai bohot neend aa rahi thi lekin woh... is tarah use ghar mein kaam karta chhod kar so nahi sakti tha.

Washroom mein akar usne munh par paani ke cheente maare, kapde tabdeel karke baal sametay aur lounge mein nikal aayi. Mulaazma dusting mein masroof thi. Lounge ki khidkiyon ke blinds ab hate huye thay.

Suraj abhi poori tarah nahi nikla tha lekin ab dhund na hone ke barabar thi. Lounge ki khidkiyon se bahar poday dekh kar use unhein paani dene ka khayal aaya.
Mulaazma ek baar phir guftagu ka aghaaz karna chahti thi lekin woh use balcony ki taraf jaate dekh kar chup ho gayi.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now