part14

4.7K 151 27
                                    

Shaam ko Salar use khushgawar mood mein dekh kar hairaan hua tha. Yeh khilaaf-e-tawaqu tha, khaas tor par dopeher waale waqie ke baad lekin us raat woh use dinner ke liye bahar le gaya. Woh be-had nervous thi lekin be-had excited bhi.. Woh kitne saalon ke baad yun kisi restaurant ke open air hisse mein bethi barbeque kha rahi thi.

Khaane ke baad woh dono window shopping ki niyat se market chale aaye... Salar ne badi narmi aur tawajju se use khud ko sambhalane ka mauka diya tha. Woh usse halki phulki baatein karta raha, khana khatam karne tak woh normal ho chuki thi.

Eid ki khareedari ki wajah se market mein is waqt bhi badi gehma gehmi thi. Woh bahut arse ke baad wahan aayi thi, market ki shakal hi badal chuki thi. Woh be-had hairat se in new brands aur dukaanon ko dekhte hue guzar rahi thi jo aath nau saal pehle wahan nahi thi. Doctor Sibt e Ali ki betiyaan ya Saeeda Amma ke bete apni families ke saath jab bhi outing ke liye bahar nikalte, woh use bhi saath le jane ki koshish karte, lekin unke saath bahar na jaane ka faisla uska khud ka hota tha. Woh unme se kisi ke liye aur kisi museebat ka bais nahi banna chahti thi.

Shaadi ko woh sirf rehne ki jagah ki tabdili samajh rahi thi, haalaat ki tabdili ke baare mein usne kabhi nahi socha tha lekin mujzat hote hain... Shazoo Nadeer sahi lekin hote zaroor hain.

Kuch logi?" Salar ki awaaz par woh beikhtiyar chonki.

"Haan, coffee" usne jhijhak kar kaha.

"Main shopping ki baat kar raha tha," usne kaha.

"Nahi, mere paas sab kuch hai," Imama ne muskurakar kaha.

"Woh toh ab mere paas bhi hai," uske chehre par beikhtiyar surkhi dodhi thi.

" Tumhein meri tareef achi lagi?"

"Salar! Baaz aao, maine tumhein yahan tareef karne ko kaha tha?" Woh be-sakhta jhepi.

"Tumne jagah nahi batayi thi, sirf yeh kaha tha ki mujhe tumhari tareef karni chahiye." Woh use chhedte hue mahzooz ho raha tha.

Imama ne is baar gardan mod kar use nazar andaaz kiya. Uske saath chalte chalte ek show case mein display par lagi ek saari dekh kar woh besakhta ruki. Kuch der sataishi nazron se wo use ka hi rang ki saari ko dekhti rahi. Wahan showcase mein lagi yahi woh shai thi, jiske samne woh yun thitak kar ruk gayi thi. Zar us saari ko dekha phir uske chehre ko aur badi sahulat ke sath kaha, "Mujhe lagta hai, yeh saari tum par bahut achhi lagegi, aao lete hain." Woh glass door kholte hue bola.

"Nahi, mere paas bahut se fancy kapde hain," Imama ne uske bazu par haath rakh kar use roka.

"Lekin maine toh kuch nahi diya tumhein shaadi par, is liye kuch dena chahta hoon." Woh is baar bola nahi sakta. Woh saari use waqai bahut achhi lagi thi.

Is boutique se unhone sirf woh saari hi nahi khareedi balki chand aur suits bhi liye the.

Dusri boutique se ghar mein pehene ke liye kuch ready-made malbusat, kuch sweaters aur jootay.

"Mujhe pata hai, tumhare paas kapde hain lekin tum mere kharide hue pehnogi toh mujhe zyada achha lage ga. Yeh sab main apni khushi ke liye kar raha hoon, tumhein khush karne ki koshish nahi kar raha." Uske pehle ehteraz par Salar ne be had rasaniyat se kaha tha.

Imama ne uske baad ehteraz nahi kiya. Use kuch jhijhak thi lekin thodi der mein yeh jhijhak bhi khatam ho gayi. Phir usne saari cheezein apni pasand se li thi.

"Mujhe tum par har cheez achi lagti hai. Toh tum mujh se mat poocho," usne Salar ki pasand poochi toh woh muskuratay hue bola.

"Lounge ki khidkiyon par curtains laga lein," Imama ko yaad aya.

"Blinds se kya issue hai tumhein?" Woh chonka.

"Koi nahi lekin mujhe curtains achhe lagte hain. Khubsoorat se."

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now