"Hello, back in the USA, subah savere apne phone ki screen par ubharne wali is tehreer aur bhejne wale ke naam ne Reisah ko chand lamhon ke liye sakhit kiya tha. Iske baawajood ke woh yeh tawaqqo kar rahi thi ke woh waapas aane ke baad usse rabta zaroor karega. Halaat jo bhi the, un dono ke darmiyan behar haal aisa kuch nahi hua tha ke un dono ko ek doosre se chupna padta. Welcome back ka text bhejte hue Reisah ne ek baar phir khud ko yaad dilaya tha ke zindagi mein hone wale is pehle break-up ko usne dil par nahi lena tha aur baar baar khud ko karayi jane wali yaad dehani zaroori thi. Dar khatm nahi ho raha tha, lekin kam zaroor hota tha kuch der ke liye thamta zaroor tha.
"Tum university ja rahi ho?" Woh naha kar nikli to usne phone par Hasham ka agla text dekha. Usne haan ka jawabi text karte hue usay apne zehan se jhatakne ki koshish ki. "Milen?" Agla text foran aya tha. Woh corn flaxe khate hue mez par pare phone par chamakte is sawal ko dekhti rahi. Kehna chahti thi. Ab kaise? Magar likha tha. Nahi, main masroof hoon. Corn flaxe halq mein atakne laga tha, woh ab uska samna naheen karna chahti thi. Dil sambhalne ki sari koshishon ke bawajood uska samna mushkil tareen tha. Woh rewayati ladki nahi banna chahti thi. Na giley shikwe karna chahti thi, na tans na jhagda aur na hi uske samne rona... woh Bahrain behar haal is liye nahi gaya tha ke bichhad jata.
Phone ki screen par jawaban ek mu chidati tasweer aayi thi, yun jaise uske bahane ka mazaq udha rahi ho. Reisah ne usay ignore kiya aur usay jawaban kuch nahi bheja. Pandrah minute baad usne apne appartment se bahar nikalne par gaadi samet usay wahan paaya tha. Woh shayad wahi baithe hue usay text bhej raha tha, varna itni jaldi woh wahan nahi pahunch sakta tha. Usay surprise dena achha lagta tha aur Reisah ko yeh surprise lena magar yeh kuch din pehle ki baat thi.
Woh uske bulaye baghair uski taraf aayi thi, dono ke chehre par ek doosre ko dekh kar khair muqaddmi muskurahat ubhri, haal-e-ahwal poocha gaya, iske baad Reisah ne usse kaha, "Mujhe aaj university zaroori jana hai. Kuch kaam hai."
Hasham ne jawaban kaha, "Main drop kar deta hoon aur saath kuch gup shup bhi nikalen ge. Baray din ho gaye humein mile hue aur baat kiye."
Reisah ne us se nazrein churayi thi. Mazeed kuch bhi kahe baghair woh gaadi ka darwaza khol kar baith gayi thi. "Kya hua hai?" Driving seat par baithte hue Hasham ne uski taraf mudte hue be had sanjeedgi se kaha tha "Kya?" Reisah ne anjaan banne ki koshish ki. "Yeh kehna ke main nakhush hoon, dil shikasta hoon, kyun ke tum mujhe umeedein dilate dilate kisi aur ladki ko apni zindagi mein le aaye ho." Sab kam az kam Reisah ki zubaan par nahi aa sakta tha.
"Tumhara mood off hai?" Woh ab badi sanjeedgi se pooch raha tha. "Nahi mood kyun off hoga?" Reisah ne jawaban uski ankhon mein ankhein daalte hue kaha.
"Pata nahi, yehi to janna chahta hoon." Woh uljha tha. "Tum kuch dinon se mukammal tor par ghayab ho meri zindagi se Bahrain se rabta karne ki koshish ki, lekin tum call receive nahi karte, na hi messages ka jawab deti ho... Hua kya hai?"
"Tumhein kya lagta hai, kya wajah hosakti hai mere is rawayye ki?" Reisah ne jawaban us se poocha.
"Mujhe nahi pata." Hasham ne ek lamha ki khamoshi ke baad kaha tha. "Main ab yeh sab khatam karna chahti hoon." Reisah ne us se kaha.
Woh chonka, usay dekhta raha phir sar jhatak kar bola.
"Yani mera andaaza theek hai, tumhara mood waqai off hai." Reisah ne us ki baat ke jawab mein kuch kehne ke bajaye apne bag se anguthi ki woh dibbi nikali aur gaadi ke dashboard par rakh di, Hasham kuch bola naa saka.. gadi mein khamoshi rahi, phir Hasham ne kaha, "Tum ne engagement ki khabar parh li hai?" Iss se bhi pehle mujhe yahi khadsha tha, is liye is khabar se mein hairan nahi hui. Reisah ne madham awaz mein us se kaha, bade thande andaz mein jisse woh hamesha pehchani jaati thi. "Main ne tum se ek commitment ki thi Reisah aur main apna wada nahi toru ga. News paper mein anay wali ek khabar hum dono ke darmiyan deewar nahi ban sakti, itna kacha rishta nahi hai yeh," Hasham badi sanjeedgi se kehta gaya tha. "News papers ki baat nahi hai Hasham! Tumhari family ke faislay ki baat hai. Tum ab wali ahd ho. Tumhari zimmedariyan aur tum se rakhi jaane wali tawakuaat aur hain," woh us ki baat par hasa tha. "Wali ahd ..main abhi tak na apne role ko samajh paaya hoon aur na hi yeh andaza laga pa raha hoon ke main is mansab ke liye aehl hoon bhi ya nahi, yeh power politics hai. Aaj jis jagah par hum hain, kal honge bhi ya nahi koi yaqeeni baat nahi hai. Agar mujhe faisla karna hota toh main kabhi yeh ohdah nahi leta, magar yeh mere baap ki khwahish hai" woh ab sanjeedgi se keh raha tha.
![](https://img.wattpad.com/cover/364248900-288-k460051.jpg)
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...