part 20

4.3K 118 6
                                    

Baitul Ankaboot

Woh is haftay phir usay apne saath Karachi le kar gaya lekin is baar woh raat ki flight se wapas aagaye thay. Pehle ki tarah, is baar bhi woh usi hotel mein rahe. Salar apne office mein masroof raha, jabke woh Anita ke saath ghoomti phirti rahi.

Salar se uski dobara mulaqat isi tarah raat flight se pehle hui thi, woh kuch chup thi. Salar ne notice kiya tha magar us ke saath is flight mein us ke bank ke kuch ghair mulki ohde daraan bhi safar kar rahe thay. Woh lounge mein un ke saath masroof raha. Flight mein bhi woh seat badal kar un ke paas chala gaya. Imama se usko baat karne ka mauka airport se wapasi par mila tha. Car parking mein apni gadi mein baithe hi usne Imama se pehla sawaal yeh hi tha. "Tum itni khamosh kyun hai??"

"Kis se baatein karoon... apne aap se? Tum to masroof thay." Imama ne jawaban kaha.

"Chalo,ab baat karo"..Salar ne mauzu badalte hue kaha..

"Kaisa raha aaj ka din?

"Bass theek tha."

"Bass theek tha. Kahan gayi thi aaj tum?"

Usne Salar ko un do teen jagahon ke naam bataye, jahan woh Anita ke saath gayi thi, magar Salar ko uske andaaz mein excitement ka woh andaaz nahi dikh raha tha jo peechli baar tha.

"Tumhari pay kitni hai, Salar?" Woh chand lamhon ke liye thatka.

Woh bayhad sanjeeda thi. Woh bay ikhtiyar hans diya. Fori tor par is sawaal ki wajah uski samajh mein nahi aayi thi.

"No comments. Main serious hoon."

"Main bhi serious hoon. Main shohar hoon tumhara lekin bewakoof nahi hoon."

"Jis appartment mein hum reh rahe hain, woh tumhara zaati hai?"

Agle sawaal ne Salar ko aur hairan kiya tha. Woh ab bhi bayhad sanjeeda thi.

"Nahi, yeh rented hai lekin tum kyun poochh rahi ho yeh sabkuch?"

Apne jawab par usse Imama ke chehre par mayoosi itni saaf nazar aayi ke woh bhi yak dum sanjeeda ho gaya. Aise hi poochh rahi thi. "Main samajh rahi thi, tumhara apna hoga." woh ab usse kuch sochti hui lagi. Salar bahut ghor se uska chehra dekhta raha.

"Main soch rahi thi ke tum ne mujhe jo paise diye hain, usse koi plot le lein." "Imama..kya problem hai?"Salar ne is baar uske kandhon ke gird apna bazu phailate huye kaha. "Koi problem nahi hai, apna ghar to banana chahiye na humein." Woh ab bhi sanjeeda thi.

"Tum Anitia ka ghar dekh kar aayi ho?" Ek jhamakay ki tarah Salar ko ek khayal aaya tha. Anita kuch arse tak apne naye ghar mein shift hone wali thi aur in dino uske ghar ka interior ho raha tha.

"Haan." Imama ne sar hilaaya, Salar ne gehra saans liya. Uska andaza theek nikla tha. "Bohot achha ghar hai na uska?" Woh ab Salar se keh rahi thi. Uske lehje mein bay had ishtiyaq tha.

"Haan, achha hai." Salar ne haath hataate huye kaha. Chaar canal par muhit Anita ke ghar ko Karachi ke ek mahroof architecture ne design kiya tha. Uske bure hone ka sawaal hi paida nahi hota tha.

"Tumne swimming pool ki boat dekhi hai?"

"Nahi, maine kafi mahinon pehle uska ghar dekha tha, tab interior shuru nahi hua tha."

"Waise swimming pool mein boat ka kya kaam?"

"Asli wali nahi hai, chhoti si hai, lakdi ki lagti hai lekin kisi aur material ki hai. Uspar ek chhoti si windmill hai, aur woh hawa se us saare swimming pool mein harkat karti rehti hai. Woh muskurata hua uska chehra dekhta, uski baat sunta raha. Woh use us kishti ki ek ek cheez bata rahi thi."

"Anita ne bada zulm kiya hai mujh par." Uske khamosh hone par Salar ne kaha.

"Kyun?" Woh chonk gayi.

"Meri shaadi ke teesre hi haftay meri biwi ko apna ghar dikhaya diya. Woh barbadaaya."

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now