part37

3.7K 135 6
                                    

Hasil o mahsul

Kisi apne ki maut insaan ko pal bhar mein kis tarah khak kar deti hai, yeh koi Imama se poochhta. Waseem aur Saad ki maut ne use bataya tha ke marti to maut hi hai aur jaisi maar, woh insaan ko deti hai, koi aur takleef nahi deti. Aab-e-Hayat pee kar bhi insaan apni maut hi rok sakta hai, par unko jaane se kaise rok sakta hai jo jaan se bhi pyaare hote hain.

Woh is waqt New York mein thi. Uske yahan pehla bacha hone wala tha. Woh saatwen aasman par thi kyun ke Jannat paon ke neeche aane wali thi. Naimatein thi ke gine hi nahi jaa rahi thi. Teesra mahina tha uski pregnancy ka, jab ek raat Salar ne use neend se jagaya tha. Woh samajh nahi paayi thi ke woh use neend se jaga kar kya batane ki koshish kar raha tha, aur shayad aisi hi kefiyat Salar ki thi, kyun ke uski bhi samajh mein nahi aa raha tha ke woh use kin alfaaz mein itne bade nuksan ki ittela de. Is se pehle Sikandar Usman aur woh yahi discuss kar rahe the ke Imama ko ittela deni chahiye ya is haalat mein usse yeh khabar chhupa leni chahiye Sikandar Usman ka khayal tha ke Imama ko yeh khabar nahi pahunchani chahiye, lekin Salar ka faisla tha ke woh usse itni badi khabar chhupa kar sari umar ke liye use kisi ranj mein mubtila nahi kar sakta. Woh Waseem se phone aur message ke zariye waise bhi raabta mein thi, yeh mumkin hi nahi tha ke use ek adh din mein uske bare mein ittela na mil jaati.. Woh dono Qadianiyon ki ek ibadatgah par hone wali firing mein darjanon doosre logon ki tarah mare gaye the, aur Imama chand ghante pehle ek Pakistani channel par yeh news dekh chuki thi. Woh is jaani nuksan par ranjida bhi hui thi ek insaan ke taur par, magar uske wahm o guman mein bhi nahi tha ke un logon ne uske do itne qareebi log bhi shamil the. Use shuba hota bhi kaise? Woh Islamabad ki ibadatgah nahi thi, doosre shehr ki thi. Saad aur Waseem wahan kaise pahunch sakte the aur Waseem to bahut kam apni ibadatgah mein jaata tha.

Woh agle kai ghante gum sum aansu bahaaye baghair Salar ke kisi sawaal aur baat ka jawab diye baghair ek bhutt ki tarah waha aise hi bistar par baithi rahi thi, jaise insaan nahi, baraf ki sil bani thi. Aur baraf ki sil nahi, jaise reet ki deewar thi jo dahh gayi thi. Use lagta tha woh ab kabhi zindagi mein apni ungli tak nahi hila sakegi. Paon par khadi nahi ho sakegi. Saans nahi le sakegi.. Jee nahi sakegi. Koi aise to nahi jaata aise uski haalat dekh kar Salar ko shadeed pachtaava hua tha, usne Sikandar Usman ki baat naa maan kar kitni badi ghalati ki thi, use ab samajh mein aaya tha. Salar ne apne ek doctor cousin ko bulaya tha ghar par hi use dekhne ke liye. Iske baad kya hua tha Imama ko theek se yaad nahi tha. Salar ko lamha lamha yaad tha. Woh kai hafte usne use pagal pan ki sar had par jaate dekha tha aur wahan se palat te dekha tha. Woh chup hoti to kai kai din chup hi rehti, yun jaise woh ghar mein maujood hi nahi thi. Roti to ghanton roti. Soti to poora din aur raat aankhein nahi kholti aur jagti to do do din bistar par chand lamhon ke liye baghair lounge se bed room aur bed room se lounge ki chakkar kaat te kaat te apne paon suja leti. Yeh sirf ek mojiza tha ke is zehni halat aur kehfiyat mein bhi Jibreel ko kuch nahi hua tha. Woh jaise yeh faramoshi kar bethi thi ke uske andar ek aur zindagi parwarish pa rahi thi. Zehan yaadon se nikal pata to jism ko mehsoos karta.

Aur jab kuch kami hui to usne Salar se Pakistan jaane ka kaha tha. Use apne ghar jaana tha. Salar ne usse yeh sawaal nahi kiya tha ke woh kis ghar ko apna keh rahi thi. Usne khaamoshi se do seetein book ki karwa li thi.

"Mujhe Islamabad jaana hai," usne Salar ke puchne par kaha. Salar ne behes nahi ki thi agar uske ghar waalo ne mulaqat usko normal kar deti toh woh is mulaqat ke liye kisi bhi hadd tak jaa sakta tha..

Hashim Mubeen unke humsaay the unke ghar mein aane wali qayamat se Salar Sikandar ka khandan bekhabar nahi tha..unhone Hashim Mubeen ke ghar ja kar unse doosre bahut logon ke saath taziyat ki thi. Is sadme mein bhi Hashim Mubeen ne be had sard mehrri ke saath unki taziyat qubool ki thi. Sikandar Usman ko ummed nahi thi ke woh Imama se milenge. Unhone Salar se apne khudashat ka zikr zaroor kiya tha, lekin Imama ko jis halat mein unhone dekha tha, woh Salar ko ek koshish kar lene se rok nahi sakte the.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now