Khawateen aur Hazraat, tawajju farmaye, hum Islamabad International Airport par land kar chuke hain. Is waqt yahan shaam ke saat baj rahe hain aur yahan ka darja hararat... Jahaaz ke cabin amla mein se koi English ke baad ab Urdu mein rasmi alwidaai kalimat dohra raha tha. Jahaaz taxi karte hue terminal ke samne ja raha tha. Business class ki ek seat par baithe Salar ne apna cell phone on karte hue apni safety belt kholi. Imama khidki se bahar dekhte hue gumsum thi.
"Kahan gum ho?" Usne Imama ka kandha thapka.
Usne chonk kar use dekha aur phir apni safety belt kholne lagi. Salar ab luggage compartment se apne bags nikal raha tha. Ek flight steward ne uski madad ki. Dono ke darmiyan chand khushgawar jumlon ka tabadla hua. Woh is flight par ane wale regular passengers mein se ek tha aur flight amla use pehchanata tha.
Jahaaz ki seedhiyon ki taraf jaane se pehle Salar ne mud kar use kaha. "Tumhe koi coat waghera le kar aana chahiye tha, sweater mein sardi lagegi tumhe."
"Yeh tumhara hi nahi, mera bhi sheher hai. Main paida hui hoon yahan, yahan bees saal guzare hain maine yahan. Mujhe pata hai kitni sardi hoti hai, yeh sweater kafi hai." Imama ne bade jatane wale andaaz mein usse kaha. Woh istehzaai andaaz mein muskuraya..
Jahaaz ki seedhiyon se bahar aate hi sard hawa ke pehle jhoke ne hi use ehsas dila diya tha ke woh theek keh raha tha. Use apne daant bajte huye mehsoos hue. Salar ne kuch kahe bagair apne bazu par padi jacket uski taraf badhai. Usne badi farmaanbardari se kuch nadam hokar jacket pehan li. Islamabad badal gaya tha. Usne khadjil hokar socha. Arrival lounge ki exit ki taraf badhte hue Salar chand lamhon ke liye thatka..
"Ek baat mein tumhe bataana bhool gaya Imama," usne badi masoomiyat se kaha.
"Kya baat hai?" Woh muskurayi. "Papa ko yeh pata nahi hai ke hum aaj Islamabad aa rahe hain." Imama ke chehre ki muskurahat ghayab ho gayi.
Salar ne use rukte dekha toh woh bhi ruk gaya. Woh be yakeeni se use dekh rahi thi. Salar ne apne kandhe par uske bag ki belt theek ki. Shayad timing galat ho gayi taxi mein batana zyada behtar tha aur ab agar woh yahan se jane se inkar kar diya toh... woh dil hi dil mein fikarmand ho gaya. Woh palkein jhapkaye bagair uski aankhon mein aankhein daal kar dekhti rahi. Woh bhi usi tarah dekhta raha. Yeh dhitayi thi lekin ab woh iske alawa kar bhi kya sakta tha. Usne bilaakhir Imama ki aankhon ki be yaqeeni ko ghusse mein badalte dekha, phir uska chehra surkh hone laga tha. Woh masalsal do hafton se use Sikandar Usman ke Islamabad bulane ka keh raha tha. Yeh Sikandar Usman ka bulawa na hota toh woh sirf Salar ke kehne par toh kabhi wahan nahi jati aur ab woh keh raha tha ke woh jhoot bol raha tha. Sikandar Usman ke na bulane ke bawajood wahan jane ka kya matlab tha, iska andaza woh kar sakti thi aur us waqt woh buri tarah pareshan hui thi. Ek lamhe ke liye toh uska dil chaha tha ke woh lounge se bahar nikalne se inkar kar de. Use Salar par shadeed gussa araha tha.
"Sorry!" Salar ne itminan se kaha.
Woh chand lamhe mazeed use dekhti rahi phir usne ird gard dekha, phir Salar ne use jacket utarte hue dekha. Woh wahan khadi be basi ke alam mein is se zyada kuch nahi kar sakti thi. Salar ko andaza tha ke woh yahi kar sakti hai. Usne jacket utar kar taqreeban phenkne wale andaz mein Salar ko di.
"Thank you." Salar ne jacket sambhalte hue kaha.
Taxi mein baithne tak dono ke darmiyan koi baat nahi hui. Woh poora rasta khidki se bahar dekhti rahi, Salar ne bhi use mukhatib karne ki koshish nahi ki. Is waqt gusse ko thanda karne ke liye use mukhatib na karna munasib tha. Woh ab ghar par Sikandar Usman aur Tayyaba ke radde amal ke bare mein soch raha tha. Agli bijli un par girne wali thi.
Gadi unke ghar ki bayi road ka mor mord rahi thi. Imama ko apna poora jism sard hota hua mehsoos hua. Yeh sardi nahi thi, yeh khauf bhi nahi tha. Woh nau saal ke baad apne ghar ko, us sadak ko aur us mor ko dekh rahi thi. Uske honth kapkapane lage the, aankhein bheegne lagi thi. Salar se sari narazi, sara gussa jaise dhuan ban kar hawa mein tahlil ho raha tha. Khushi thi, kya tha jo woh gadi ko apne ghar ki taraf badhte dekh kar mehsoos kar rahi thi.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...