part9

4.2K 145 0
                                    

Wo takreeban addhai baje doctor sahab ke driver ke saath uske appartment par pahunchi thi aur usne aate hi sab se pehle dono bed rooms check kiye gaye thay. Bed rooms ya bath rooms mein kuch rakhne ki zarurat pesh nahi aayi.

Salar office jaane se pehle yaqeenan har kaam khud hi kar ke gaya tha. Usne ek baar phir apne wujood ko be ma'sar mehsoos kiya.

Ek bed room shayad pehle hi guest room ke tor par istemaal ho raha tha, jabke doosra bed room woh study ke tor par bhi istemaal kar raha tha. Wahan ek rack par kitaabon ke dher ke alaawa usi tarah ke racks par CDs aur DVDs ke anbaar bhi nazar aaye, sitting room mein maujood racks par bhi CDs aur DVDs thi lekin un ki tadad us kamre ke nisbat bohat kam thi. Kamre mein kuch musical instruments bhi pade hue thay aur ek study table jis par ek desktop tha. Woh studio table us kamre ki woh waahid cheez thi jis par pade kaghaz, files aur desk organizer use be tarteeb nazar aaye. Wo uthne se pehle usay theek karna bhool gaya tha ya shayad uske paas waqt nahi tha.

Ek lamhe ke liye use khayal aaya ke woh in papers ko theek kar de, agle hi lamhe usne is khayal ko apne zehan se jhatak diya. Use khadsha tha woh yeh kaam Salar jaisi perfection ke saath nahi kar sakti thi aur agar koi paper idhar udhar ho gaya toh...?

Woh darwaza band kar ke bahar nikal aayi. Fridge aur freezer mein waqai khaane ka bohat sa samaan tha aur usko yakeen tha ke in mein se nawe percent ashya Furqan aur Nausheen ki marhoon-e-minnat thi. Jo cheezein Salar ki apni khareedari ka natija thi, un mein ke falo ke ilawa drinks aur tin-packed food items ki ek madood tadad thi. Usne chand tint nikal kar dekhe wo takreeban sab ke sab sea foods the..

Imama ko khane mein sirf ek cheez na pasand thi - Seafood. Roza ke wajah se uska maida khali naa hota, toh in dabbo mein bande huye crabs aur prawns dekh kar use vomitting shuru ho jaati. Usne bade mayoosi ke aalam mein in tins ko bas phir fridge mein rakh diya. Yakeenan, wo decoration ke maqsad se nahi khareede gaye thay. Woh khareed kar laata tha toh yaqeenan khata bhi hoga. Uska kharab mood kuch aur abtar hua. Abhi aur kya kya pata chalna tha uske baare mein...

Usne kitchen ke cabinets khol kar dekhe aur band kar diye. Use andaza ho gaya tha ki is kitchen mein fridge ke alawa sirf coffee cabinets aur bartano ke racks ke alawa kahi kuch nahi..Wo kitchen sirf nashte aur sandwich wale meals ke alawa sirf chai ya coffee ke liye istemaal hota tha. Wahan use chand frying pans ke alawa kisi qisam ke pakane ke bartan nazar nahi aaye. Kitchen mein mojood crockery bhi, ek dinner set aur chand water aur tea sets par mushtamil thi,ya iske alawa kuch mugs the ya phir break fast set. Yakeenan uske ghar aane wale afraad ki tadad bhi zyada nahi thi. Woh kitchen se nikal aayi.

Appartment ka wahid gair daryaft hissa woh balcony tha. Wo darwaza khol kar bahar nikal aayi aur woh pehli jagah thi jahan aate hi uska dil khush hua tha. Che foot chaudi aur baarah foot lambi woh terrace numay balcony ko terrace garden kehna zyada munasib tha. Mukhtalif shaklon aur sizes ke gamlon mein mukhtalif qisam ke poday aur beliyan lagi hui thi aur shadeed sard mausam mein bhi unki halat bata rahi thi ki un par khaasi mehnat aur waqt lagaya gaya tha. Wahan aas paas ki balconio se bhi use hari bhari poday aur belein jhankti nazar aa rahi thi, lekin yakeenan Salar ki balcony ki halat sab se behtar thi.

Lounge ki lambi khidkiyan bhi isi balcony mein thi aur balcony mein un khidkiyon ke paas deewar ke saath zameen par ek mat mojood tha. Woh shayad yahan aakar baithta hoga ya dhoop mein letta hoga. Shayad weekend par... warna sardi ke mausam mein is mat ki wahan mojoodgi ka maqsad use samajh mein nahi aaya. Balcony ki munder ke qareeb ek stool pada hua tha. Woh yakeenan yahan aakar baithta tha. Neeche dekhne ke liye munder par mug ke chand nishan thay. Chai ya coffee pita hai yahan baith kar magar kis waqt..yakeenan raat ko.. usne socha aur aage badh kar neeche jhanka. Woh teesri manzil thi aur neeche building ka lawn aur parking the. Kuch faasle par compound se bahar sadak bhi nazar aa rahi thi..Wo ek posh area tha aur sadak par traffic zyada nahi thi. Woh wapas andar aagayi..Wo tabdeel karke apne baal bana hi rahi thi jab use door bell ki aawaz sunaye di..Fori taur par use Naushin hi ka khayal aaya tha.

Lekin darwaze par ek restaurant ka delivery boy chand packets liye khada tha.

Maine order nahi kiya. Use laga shayad woh kisi galat appartment mein aa gaya hai.

Usne jawaaban, "Salar Sikandar ka naam address ke saath dohraya." Chand lamhon ke liye woh chup si ho gayi. Woh kam az kam itna be parwa nahi tha iske baare mein ki uske iftar ke liye kuch intezaam karna bhool jaata. Woh soch rahi thi ki woh apne parents ko lene ke liye office se nikal chuka hoga aur airport pahunchne ki bhag daud mein use shayad wo yaad bhi nahi hogi.

Kitchen mein un packets ko rakhte hue uska gussa aur ranjeedgi kuch kam hui aur yeh shayad iska hi asar tha ki usne call karke Salar ko ittela karna aur uska shukriya ada karna zaroori samjha. Woh is waqt airport ki taraf ja raha tha. Usne fauran call receive ki thi.

Imama ne use khane ke baare mein bataya. "Main raat ka khana aksar is restaurant se mangwata hoon. Khana achha hota hai inka," usne jawaban bade mamool ke andaz mein. "Maine socha, main jab tak un logon ko lekar ghar aaoonga tum tab tak bhooki bethi raho gi."

Woh uska shukriya ada karna chahti thi magar yakdum use ehsas hua ki yeh bahut mushkil kaam hai. Salar se yeh do lafz kehna, ek ajeeb si jhijak thi jo use mehsoos ho rahi thi.   
                      ☆☆☆

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now