part39

4.1K 102 16
                                    

Chee saal baad bairuni gate hamesha ki tarah ghar mein kaam karne wali maid ne khola tha. Drive-way par gaadi khadi karte hue Salar ne abhi driving seat ka darwaza hi khola tha jab har roz ki tarah lawn mein khelte uske dono bachay bhaagte hue uske paas aa gaye the. Char saal ka Jibreel pehle pahuncha tha. Driving seat par baithe baithe usne apne bete ka chehra chuma tha. Woh paseene se sharaboor tha.

"Assalamu Alaikum!" Gaadi mein pade tissue box se tissue nikal kar usne Jibreel ka mattha aur chehra saaf kiya jo usne badi farmaanbardari se karwaya tha. Do saala Inaya tab tak hanpti kanpti, shor machati girti padti uske paas aagayi thi. Door se phalay uske baazuon ko dekh kar woh kuch aur khilkilayi thi. Usne hamesha ki tarah use god mein liya tha. Bohat zor se use bheenchne ke baad usne baari baari beti ke dono gaal chume the. Jibreel tab tak driving seat ka darwaza band kar chuka tha.

Usne Inaya ko neeche utaar diya. Woh dono baap se milne ke baad dobara lawn mein bhaag gaye the jahan woh maid ki do betiyon ke saath khelne mein masroof the. Woh chand lamhe drive way par khada apne bachon ko dekhta raha. Phir gaadi ke pichle hisse se apna briefcase aur jacket nikalte hue woh ghar ke androni darwaze ki taraf bhad gaya.

Imama tab tak uske istiqbal ke liye darwaze tak aa chuki thi. Dono ki nazrein mili thi. Woh hairani se uske paas aate hue muskurayi. "Tum jaldi aagaye aaj?" Usne hamesha ki tarah use gale lagate hue uske baalon ko haule se sahlate hue kaha. "Haan aaj zyada kaam nahi tha." ...."Toh dhund lete"..Usne jawaban uske haath se jacket lete hue hansi..wo jawab dene ke bajaye muskura diya..

Apne bedroom mein baithe usne jab tak apna briefcase rakha aur joote utaare, woh uske liye paani le aayi thi.

"Tumhari tabiyat theek hai?" Woh uske haath mein pakdi tray se glass utha raha tha jab Imama ne achanak poocha tha. Usne chonk kar uski shakal dekhi. "Haan bilkul. Kyun?"

"Nahi, mujhe thake hue lage ho, is liye pooch rahi hoon." Salar ne jawab dene ke bajaye glass munh se laga liya. Woh tray le kar chali gayi.

Kapde tabdeel kar ke woh sitting area mein aagaya tha. Un mein uske dono bachay abhi bhi football ke peeche bhaagte phir rahe the. Woh sitting area ki khidki ke samne ja kar khada ho gaya. Congo ka mosam usay kabhi pasand nahi raha tha aur iski wajah wo barish thi jo kisi waqt bhi shuru ho sakti thi aur jo shayad abhi kuch der mein phir shuru hone wali thi. Kinshasa mein pichle kai dino se har roz isi waqt barish hoti thi. Supeher ke aakhri chand ghante. Ek dedh ghante ki barish aur uske baad matala saf. "Chai." Woh Imama ki awaz par bahar lawn mein dekhte be ikhtiyar palta. Woh ek tray mein chai ke do mug aur ek plate mein chand biscuits liye khadi thi. "Thanks." Woh mug aur ek biscuit uthate hue muskuraya.

Bahar chalte hain bachon ke paas. Woh bahar jaate hue boli, "Main thodi der mein aata hoon, kisi call ka intezar kar raha hoon." Woh sar hilaate hue bahar chali gayi, chand minuton ke baad usne Imama ko lawn mein namoodar hote hue dekha tha. Lawn ke ek kone mein padi kursi par baithe woh khidki mein use dekh kar muskurayi thi. Woh bhi jawaban muskura diya..

Chai ka mug aur biscuito ki plate ab lawn mein uske saamne padi table par rakhi thi. Usne baari baari Jibreel aur inaya ko uske paas aakar biscuit lete dekha. Jibreel ne biscuit le kar ja kar Nono aur Luiya ko diye the..chaaro bacche ek baar phir se football khelne lage the..Imama ab mukammal taur par bachon ki taraf mutawajjah thi. Chai ke ghont lete hue daayein kandhay par padi shawl se apne jism ka woh hissa chhupaye jahan ek nayi zindagi parwarish paa rahi thi..unke yahan teesre bacche ki aamad mutawaqqu thi..wo football ke peeche bhaagte baccho ko dekhte hue waqtan fa waqtan hans rahi thi aur phir unhein hidayat dene lagti.

Sitting area ki khidki ke samne khade bahar dekhte hue woh jaise ek film dekh raha tha, ek mukammal film. Us ke haath mein pakdi chai thandi ho chuki thi, ek gehra saans le kar usne mug paas padi table par rakh diya.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now