Salar ne is e-mail ko band kar diya tha. Is mein Ibaka ne koi ahem bat share ki hoti to us ke in box se woh e-mail ghaib ho chuki hoti. Lekin is e-mail ne us ke dil ke bojh ko aur barha diya tha. Woh jis tarazu ke do paldon mein jhool raha tha us ka adam tawazun aur barh gaya tha. Woh is sari raat maslay par baitha gidgidata raha tha. Allah ta'ala se aazmaish mein aasani ki bheek ... sidhe raste ki bheek jis par se woh ek bar phir se bhatak gaya tha aur un logon mein shamil na karne ki bheek jin par Allah ka azaab aata tha. Kahin na kahin usay khauf bhi tha ke woh Allah ke azaab ko dawat de raha tha aur agar aulad aur biwi aur maal ki aazmaish jaan lewa thi to jaan lewa yeh ehsaas bhi tha.
Fajr ke waqt usse Doctor Sibt e Ali ka khayal aaya tha aur khayal nahi aaya tha.. Woh jaise deewana war unki taraf lapka tha. Woh emergency mein ticket hasil kar ke agli raat hi Pakistan daura chala aaya tha. Doctor Sibt e Ali usse hamesha ki tarah mile the, garam joshi se lekin hairani se... Woh kayi saalon ke baad isi tarah achanak unke paas bhagta aaya tha. Unhone usse baari baari sab ki khairiyat dariyaft ki. "Imama theek hai?" "Ji " woh hamesha ki tarah is din bhi unki study mein akela, unke paas baitha tha. Sar jhukaye. "Jibreel kaisa hai?" Unhone agla sawal kiya. "Woh bhi theek hai." "Inaya" "Wo bhi theek hai" Aur Hameen?" " woh bhi" woh sar jhukaye ek ek ke baare mein batata gaya. Doctor Sibt e Ali Alhamdulillah kehte rahe, phir ek lambi khamoshi ke baad unhone usse madham awaaz mein poocha. "Aur tum?" "Nahi, main theek nahi hoon." Is baar Salar Sikandar ne sar uthaya tha aur phir bachon ki tarah bilak bilak kar rone laga. Woh dam bakhud usse dekhte rahe. Woh pehli baar aise tut kar roya tha. "Mujhse ek gunah ho gaya hai, Doctor Sahab! Usne rote hue apna chehra dono haathon se ragadte hue kaha. Doctor Sahab ne kuch nahi kaha. Woh sirf use dekhte rahe the. Chand lamhon baad unhone kaha. "Mujhe mat batana Salar." Salar ne hairan hokar unka chehra dekha. "Aapko batane ke liye hi aaya hoon yahan." "Main tumhara gunah jaan kar kya karunga? Ab rok sakta nahi tumhein pachtaava dekh chuka hoon behtar hai apne aur Allah ke darmiyan hi rakhho ise... Jo parda hai, use parda rehne do Allah Ghafoorur Raheem hai. Maaf karne ki qudrat rakhta hai aur maaf karta hai apne bandon ko." Unhone hamesha ki tarah tahammul se usse samjhaaya tha. "Main bataunga nahi toh meri gumraahi khatam nahi hogi. Aapko andaaza nahi hai. Main kitni taareeki mein khada hu andhera hai ki badhta hi jaa raha hai aur mujhe is taareeki se khauf ane laga hai," Doctor Sibt e Ali ne usse is becharagi mein kabhi nahi dekha tha. Unke paas wo jab kabhi ata tha kisi mushkil mein hi hota tha. Unhone aisi halat mein use kabhi nahi dekha tha. "Maine sood wala rizq chun kar Allah ki hadd tori hai aur mujh par ek ke baad ek pareshani arahi hai. Meri samajh mein nahi araha ke main kya karun?" Woh ek baar phir rone laga tha. Woh ehteraf jo zameer karta rehta tha woh aaj pehli baar kisi doosre insan ke samne apni zubaan se kar raha tha. "Taubah kar lo aur wo rizq chhod do," unhone bila tawaqquf badi sahulat se kaha. "Toh bahut asaan hai magar daldal se nikalna asaan nahi hai mere liye," unhone Salar ki baat ke jawab mein kaha. "Asaan toh kuch bhi nahi hota duniya mein. Lekin mumkin bana liya jata hai." "Main 37 saal ka hoon. Apni umr ke das saal mein ne duniya ke behtareen maliyati idaroon mein kaam kiya hai. Sara rizq sood se kamaya hai, woh bhi jo maine apni zaat par kharch kiya, woh bhi jo maine doosron par kharch kiya. Jis rizq se main apni aulad aur biwi ki kafalat kar raha hoon, woh bhi sood hai. Lekin meri samajh mein nahi araha, main ab kya karun?" Doctor Sibt e Ali ne uski baat kaat di. Itne saalon baad aapko ab yeh ehsas kyun hua ke aapka rizq halal nahi haram hai?" Unka lehja usse pehli baar ajeeb mehsoos hua tha. "Kyun ke mujhe sukoon nahi hai. Zindagi mein kuch na kuch ghalat hota ja raha hai. Mujhe lagta hai shayad mera rizq meri azmaishon ki wajah hai," woh be bas andaz mein keh raha tha. "Aapko yaad hai jab aap mere paas Imama ki bimari ke dino mein aaye the aur kehte the ke aap ke ghar mein be sukooni kyun hai. Imama aap se mohabbat kyun nahi karti. Aapne us ke liye duniya ki har nemat ka anba"ar laga diya hai. Us par ehsano ki hud kar di hai. Phir bhi woh aap se iltefaq kyun nahi rakhti. Berukhi kyun baradti hai? Naa shukri kyun hai?" Woh Doctor Sibt e Ali ka chehra dekhne laga. "Maine aap se kaha tha. Yeh sab us ki wajah se nahi ho raha, aap ki wajah se ho raha hai. Us be sukooni ki jard aapke rizq mein hai. Woh rizq wahan se aata rahega, aapki zindagi aisi hi rahegi. Tab aap yeh keh kar chale gaye the ke main ab toh bank mein kaam nahi karta. Ab toh kisi aur idare mein kisi aur hesiyat se kaam karta hoon aur aap ne yeh bhi kaha tha ke main hamesha ki tarah Imama ki himayat kar raha hoon, uski kisi ghalati ko tasleem nahi karunga. Har baat ka qasoorwaar aap hi ko qarar doonga. Woh isi tarah dheemay andaz mein keh rahe the. Aap ne tab bhi sawaal kiya tha aur jawab ko tasleem nahi kiya tha. Main ne aap se behas nahi ki thi kyunki aap bohot pareshani mein the is waqt main aapko mazeed pareshani nahi karna chahta tha lekin jo jawab main ne tab aapko diya tha, aaj bhi wahi de raha hoon aur mujhe khushi hai aaj aap sawaal karne mere paas nahi aaye, hal dhoondhne aate hain." Woh muskuraye aur chand lamhon ke liye khamosh hue, phir unhone dobara baat shuru ki. Aap jis ka roobar se munsalikh rahe woh crores logon ke gharoon aur zindagiyo mein be sukooni aur tabahi lata hai, phir yeh kaise hota ke woh be sukooni aur be barkati aapke darwaze par dastak dene naa aati. Allah apni hado ko todne walo ko pasand nahi karta, woh musalman ho ya kafir, apni hudood ko torne walon ko Salar ne na chahate hue bhi unhein tok diya. "Doctor Sahab! Mujhe ab Imama se koi shikayat nahi hai, woh meri zindagi mein pareshani aur be sukooni ka baais nahi rahi... Mujhe ghar ki taraf se sukoon hai." Is baar Doctor Sahab ne uski baat kaat di. Kyunki Imama ke liye aapke iltefaaq ka woh alam nahi raha jo us waqt tha jab Imama aapki zindagi mein shamil hui thi. Tab Allah ne aapko us ki be iltefaqi aur be rukhi ke zariye be sukooni di kyunki isse zyada takleef aapko koi aur cheez nahi pohancha sakti thi. Aaj Allah aapko us cheez se sab se zyada takleef pohancha raha hai jo aaj aapke liye sab se ahem hai." Woh gung reh gaya tha. Baat durust thi. Doctor Sahab hamesha ki tarah us ke aibon par pardah daalne ki koshish mein us ke dil mein chhupay chor ko ayaan karte ja rahe the. Aap ne waqti taur par bank ki naukri chhodi, bila wasta sood ke karobar se munsalikh hone ke bajaye kuch arse ke baad bil wasta sood ke karobar se mansookh ho gaye. Salar Sikandar mujh se zyada achhi tarah aap ko pata hai ke hal kya hai magar mushkil yeh hai ke is hal ki taraf jane par aapka dil amadah nahi hai aur kabhi hoga bhi nahi.
![](https://img.wattpad.com/cover/364248900-288-k460051.jpg)
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...