part 72

2K 72 32
                                    

"Mujhe umeed hai ke tum mujh se khafa nahi ho ge?"

Jibreel study table par betha parh raha tha jab usne kamre ka darwaza khulte aur Hameen ko andar ate dekha. Dono ke darmiyan khamosh nazron ka tabadla hua phir Jibreel dobara apni kitaab ki taraf mutwajjah ho gaya. Hameen bistar par
ja kar lait gaya aur usay dekhta raha. Phir usne bilakhir usay mukhatib kiya tha. "Khafa? Jibreel ne palat kar usay kuch hairani se dekha tha. "Kyun?"

Hameen uth kar beth gaya. Baray muhtaat andaz mein usne guftagu ka aghaz kiya.

"Tum ne hamari baatein suni thi?" Voh kuch bhi kehne se pehle jaise tasdeeq chahta tha.

"Ek lamha ke liye Jibreel usay dekhta raha, phir usne sar hilate hue kaha, "Haan!" Hameen ke tasurat badle. Thodi sharmindagi ne usay jaise kuch aur difai position par khada kiya tha. "Isi liye pooch raha tha, Tum mujh se khafa toh nahi ho na?" Hameen ne ab apne jumle ko zara sa badla. "Nahi"Jibreel ne isi andaz mein kaha. Hameem apne bistar se uth kar uske qareeb aa kar khada ho gaya. "Lekin mujhe mayoosi zaroor hui." Jibreel ne uske qareeb aane par jaise apne jumle ko muqammal kiya. Hameen ab study table se pusht tikaye khada tha.

"Mera woh matlab nahi tha. Tum mere bhai ho aur main tum se bohot pyar karta hoon, yakeen karo, main tumhare khilaf nahi hoon." Hameen ne jaise usay saafai dene ki koshish ki. "Mujhe pata hai"Jibreel ne narmi se usay toka aur uska baazu halkay se thapthapaya. "Lekin tumhe baba se aisi baat nahi karni chahiye thi unhein bohot dhachka laga hai"

Jibreel ab usay samjha raha tha. "Tum wakai samajhte ho ke woh mujhe tum se zyada ahmiyat dete hain farq karte hain?" Jabke mujhe lagta tha woh tumhein zyada ahmiyat dete hain Jibreel ne jawaaban usse tha. "Kafi saal aise hi lagta raha.." Jibreel ne jaise baat adhoori chhod di.

Hameen ne kuch tajassus se kureda, phir?

"Phir main bada ho gaya." Woh muskuraya tha aur mein ne samjha ke aisa nahi hai. Woh keh raha tha. Kuch qualities ko woh mujh mein zyada pasand karte hain, kuch tum mein, lekin unhone hum dono mein kabhi farq nahi kiya, agar kiya bhi hoga toh iski koi wajah hogi." Woh uska bada bhai tha aur bade bhai ki tarah hi usay samjha raha tha. Hameen khamoshi se baat sun raha tha. Jab usne baat khatm ki toh Hameen ne us se kaha. "Main yeh nahi chahta ke tum apni university chhod kar Pakistan jao, mein itna khud gharz nahi hoon." Woh jaise usay saafai dene ki koshish kar raha tha. "Bas mein yahan rehna chahta hoon." Usne Jibreel se kaha tha.

"Tum dono ko koi khud gharz samajh bhi nahi raha Hameen tumhari choice ki baat hain aur baba is liye tumhe samajhaane ki koshish kar rahe hain kyun ke tum chhote ho aur yahan tum akelay nahi reh sakte baba bohot busy hain, kai baar kai kai din ghar nahi aate. Tum akelay kaise raho ge un ke saath sirf is liye tumhein Pakistan bhejna chahte the wo..

usne Jibreel ki baat kaat di aur behad halki, lekin mustehkam awaz mein us se kaha, "Main nahi chahta ke tum Pakistan jao, tumhari studies mutasir hon. Main chala jaonga. Halankeh Main khush nahi hoon, lekin mujhe lagta hai main sab ko naraz kar ke yahan reh nahi sakta." Woh kehte hue apne bistar ki taraf chala gaya. Jibreel ko laga woh kuch uljha hua hai. Jibreel usay lette hue dekhta raha phir usne Hameen se kaha.

"Chand saalon ki baat hai Hameen... Phir baba tumhein bhi waapas America bula lenge... Phir tum apne khwabon ki takmeel kar sakte ho." Jibreel ne jaise usay tasalli dene ki koshish ki. "Mai khwab nahi dekhta" usne jawaaban chadar apne upar kheenchte hue kaha tha. Jibreel usay dekh kar reh gaya. Hameen ke dimaag mein kya tha usay boojhna bada mushkil tha, sirf doosron ke liye hi nahi, shayad uske apne liye bhi.

Jibreel ek baar phir apni study table par padhne baith gaya tha. Woh is week end par ghar aaya hua tha. Ab use kal phir waapas jaana tha, uska agla semester shuru hone waala tha. "Baba ke saath kaun rahega?" Kagaz par kuch likhte hue uska haath ruk gaya. Jibreel ne palat kar ek baar phir bistar par lete hue Hameen ko dekha, usne taqreeban das minute baad usay mukhaatib kiya tha, jab woh yeh samajh raha tha ke woh so chuka hai.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now