World Bank ki naib sadarat chhorne se sirf do haftay pehle jab Salar Congo mein alwida mulaqatain aur fair well dinners lene mein masroof tha, Wall Street Journal ne World Bank ki sadarat se inkar ki wajah dhond nikalte hue Salar Sikandar ko hone wale brain tumor ki news break ki thi aur phir yeh khabar sirf us akhbar hi ne nahi, dheron doosre akhbarat ne bhi lagayi thi. Salar Sikandar ke brain tumor ki breaking news mein maghrib ko dilchaspi nahi thi, na hi media ko dilchaspi agar thi to CIA ko iss stage par Salar ki mohlik bimari ki khabar break karne ka matlab is project ke shuru hone se pehle hi uski kamar todne ka mutaradif tha jis par Salar kaam kar raha tha.
Woh jaante thay Salar World Bank se alag hone ke baad kya karne ja raha tha aur unhein yaqeen tha, jo woh karne ke khwab dekh raha tha, woh namumkinat mein se tha. Iss ke bawajood hifazati iqdaam zaroori thay aur sab se behtareen difa'i hikmat amli wohi thi jo unhone ikhtiyar ki thi. Woh Salar Sikandar ki bimari ko mushtahir karne ke baad ab iss project ke mumkinah investors ke peechay hat jaane ka intezar kar rahe thay. Woh shatranj thay. Salar apne mohray sajaa kar pehli chaal chalne ki tayyari kar raha tha. Woh pehle se tayyar baithe thay. Unhone pehli chaal chal di thi aur pehli chaal mein hi badshah ko shehe maat hone wali thi. Yeh kam az kam unko yaqeen tha.
☆☆☆
Usne internet par "glioma" ka lafz Google par search kiya. Phir "oligodendroglioma" ko.....
Saarhay nau saal ki umr mein Muhammad Jabreel Sikandar ne un do lafzon ko Spelling Bee ke muqable mein hissa lene ke liye in alfaaz ki fehrist mein shamil kiya tha jis ki spelling usay yaad karna thi. Usay in do alfaazon ki spelling yaad karte hue yeh andaza nahi tha. Woh apne baap ko lahaq duniya ke mohlik tareen brain tumor se waqfiyat hasil kar raha tha.
Spelling Bee ke muqable ke liye Jabreel ne sirf in alfaazon ki spelling yaad ki thi. Woh do alfaaz kya thay, woh khojne ki koshish usne tab ki thi jab usne Internet par apne baap ke naam ke saath uski bimari ke hawale se ek khabar dekhi thi. Woh World Bank ki website thi jo unke desktop ka Home page tha aur kayi baar Salar ke zair e istemaal aata tha aur is home page par taaza tareen scroll hone wali khabron mein se ek Salar Sikandar ki bimari ke hawale se Wall Street Journal ki news thi jo sirf aadha ghanta pehle break hui thi.
Saarhay nau saal ke is bachay ne is bimari ko khojna shuru kiya tha. Salar abhi ghar nahi louta tha. Imama doosray kamray mein bachon ko parha rahi thi aur Jabreel internet par sakhit baitha yeh parh raha tha ke uska baap grade two ke oligodendroglioma ka shikar tha.Is tumor ka ilaaj nahi ho sakta tha. Mukammal tor par kaamyaab ilaaj.... aur agar ilaaj ho bhi jata to mareez saat se das saal tak zinda reh sakta tha. Is brain tumor ke mareez sehat mand reh kar bhi is se zyada nahi jee sakte the.
Saarhay nau saal ka woh bacha us din chand lamhaon mein bara ho gaya tha. Is ghar mein Salar ke baad woh pehla shakhs tha jise Salar ki bimari aur uski noaiyat aur asraat ka ilm hua tha. Jabreel ki samajh mein nahi aya tha, woh is haulnak inkishaaf ka kya kare. Maa ko bata de ya na bataaye... yeh uska Dilemma nahi tha. Uska makmasa aur tha.
"Hameen! Jao, bhai ko bula ke lao, woh sone se pehle tum logon ko dua parhade. Pata nahi itni der kyun laga di usne."
Bachon ko parhane se farigh hone ke baad unhein sone ke liye letne ka kehte hue Imama ko Jabreel yaad aya.Use kamre se gaye kaafi der ho gayi thi.
"Aaj main padhata hu" Hameen ne elaan karte hi apne dono haath kisi namazi ki tarah seene par bandhte hue bade jazb ke aalam mein dua padhne ke kiye apna muh khola aur Imama ne tahkumana andaz mein fori tor par usay toka.
"Hameen! Bhai padhay ga."
Hameen ne band ankhain khol li aur seene par bandhe haath bhi is se pehle ke woh kamray se nikal jata, Imama ne nightsuit ke is pajaame par lagi gira ko dekha jo wo abhi abhi bathroom se pehen kar bahar nikla tha.Pajami ke upri hisse ko aazar band ki bajaye ek badi si gira lagakar kasa gaya tha aur is gira ke dono sire kisi khargosh ke kaano ki tarah uske pet ke upar khade the. "Idhar aao" Imama ne use bulaya, "yeh kya hai" usne jhukkar neeche bethe hue is girah ko kholne ki koshish ki taake pajaame ko theek kar sake.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...