part30

4.4K 140 21
                                    

Jalal ke saath hone wali woh mulaqat uske liye ek ittefaq thi, wo ek aisa ittefaq jise woh dobara nahi chahti thi. Use ye andaza nahi tha ke woh ittefaqi mulaqat ke liye bohat khatarnak asrat le kar aane wali thi, mahinon ya salon mein nahi balki dino mein.

Do din baad ek dinner mein mad'oo the Woh is waqt Salar ke saath khadi chand logon se mil rahi thi jab usne hello ki ek shanaasai awaaz suni. Imama ne gardan mod kar dekha aur phir hil nahi saki. Woh Farooq tha jo be had garam joshi ke saath Salar se mil raha tha. "Meri biwi..."..Salar ab uska ta'aruf karwa raha tha.

"Ta'aruf ki zarurat nahi hai, main pehle hi inse mil chuka hoon." Farooq ne be had garam joshi se kaha. Salar ne kuch hairaan sa hokar Farooq ko dekha.

"Aap pehle mile chuke hain Imama se?"

"Bilkul, abhi parso hi to mulaqat hui hai. Doctor Jalal Ansar ke saath lunch kar rahi thi. Darasal Jalal hamare family doctor hain, unho ne bataya ke yeh un ki purani class fellow hain aur jab unhone aap ka visiting card inhe diya to mujhe pata chala ke yeh aap ki wife hain. Farooq bade khushgawar andaz mein keh raha tha. Main ne aur meri Mrs. ne to khane par invite kiya tha, lekin inhone kaha aap aaj kal mashroof hain." Farooq ne na Imama ki fak hoti rungat ko dekha, na Salar ke liye ta'assur chehre ko. Jo kuch woh keh raha tha, Salar ko is par yaqeen nahi araha tha, lekin yaqeen naa karne ke liye us ke paas koi wajah nahi thi. Us ke kaan jaise sunn ho rahe thay. Us ne gardan mod kar apne baayein taraf khadi Imama ko dekhne ki zahmat bhi nahi ki thi. Woh filhal usko dekhna nahi chahta tha. Woh Jalal Ansar ke saath mil rahi thi. Aur kab se?

Farooq ki baat sunte hue Imama ne khushk hoti hui halaq ke saath Salar ke chehre par nazar dali. Woh be ghor Farooq ki baat sun raha tha aur uska chehra be ta'assur tha. Us ne uske be ta'assur chehre ko dekhkar galat andaza lagaya tha..
"Main use sab kuch batadugi wo meri baat samajh lega"..uske be ta'asur chehre ne Imama ko ajeeb si khush fehmi ka shikar kiya tha..wo ittedai shauk se nikalne lagi thi..."Mujhe parso hi Salar ko bata dena chahiye tha" tab use yeh sharmindagi naa hoti..use zara pachtawa hua.. Wahan khade Farooq ki baat sunte aur Salar ke chehre par nazar dalte hue usne in haalaat mein Salar ke radde amal ko bilkul galat samjha tha aur kyun na samajhti, itne mahinon se woh jis shakhs ke saath reh rahi thi, woh uske naaz-nakhre uthane ke ilawa aur kuch nahi kar raha tha. Usne use kabhi ye ta'asur nahi diya tha ke woh usse naraz hosakta hai ya uski kisi ghalati par use maaf nahi kar sakta..

"Aap Zahir Sahab se mile hain?" Usne yak dam Salar ko Farooq ki baat kaatte dekha. "Aaye huye hain kya?"

"Haan, abhi hum log aap hi ki baat kar rahe thay. Aaiye main aapko milwata hoon." Salar, Farooq ko liye ek taraf chala gaya. Imama ki samajh mein nahi aya ke usne mawzu badla tha ya woh Farooq ko waqai Zahir Sahab se milwana chahta tha. Woh dobara palat kar uski taraf nahi aya. Woh dinner ke doran bhi mardon ke ek group ke paas khada raha. Woh khud bhi apni kuch doosri shanaasa khawateen ke saath khadi rahi. Aisa pehli baar ho raha tha ke kisi party mein woh uske paas hi naa aya ho. Use kuch pareshani hone lagi lekin use abhi bhi yakeen tha ke Salar is cheez ko bohot bada issue nahi banayega.

Party ke khatam hone par mizbanon se rukhsat ho kar woh hotel ki lobby ke darwazay par apni car ke intezar mein khade ho gaye. Imama ne ek bar phir uska chehra parhne ki koshish ki. Uska chehra itna hi be ta'asur tha, jitna pehle tha, lekin uski khamoshi aur sanjeedgi be had ma'ani khaiz thi. Imama ne baat ka aghaz karne ka socha aur tab hi hotel ka ek mulazim unki gaadi drive way mein le aya tha. Salar use mukhatib kiye bagair bahar nikal gaya. Use ab shuba nahi raha tha ke uski achanak khamoshi aur be itnaai ki wajah kya thi. Gaadi mein bethte hue bhi uski khamoshi isi tarah thi. Gaadi ke main road par aane ke chand minto ke baad Imama ne is taweel khamoshi ko tod ne ki koshish ki. "Tum naraz ho mujh se?"..."Will you please shut up?"..wo freeze ho gayi thi.. "Main is waqt gaadi drive karna chahta hoon, tumhari bakwas sunna nahi chahta." Woh is par chillaya nahi tha, lekin jo kuch uski nazron aur uske thande lahje mein tha, woh Imama ko marnay ke liye kafi tha. Use pehli bar ehsaas hua ke baat itni mamooli nahi, jitni woh samajh rahi thi. Woh use dobara mukhatib karne ki himmat nahi kar saki. Itne mahinon mein usne pehli bar use andha dhund gaadi drive karte dekha tha. Appartment mein dakhil hone ke baad woh apni jacket lounge mein sofe par phenkte hue seedha kitchen mein chala gaya. Imama ki samajh mein nahi aya ke woh kitchen mein jaye ya uske bed room mein anay ka intezar kare. Apni chaadar utarte hue aur kuch der appartment ke behruni darwazay ke paas hi khadi rahi. Uska zehan ab maof hone laga tha... Woh itne mahinon se ek aashiq aur dost ke saath reh rahi thi, aur aaj pehli baar ek shohar ka saamna kar rahi thi.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now