Sikandar Usman ke ghar aane wala woh mehmaan ghair mutawaqqu nahi tha, na qabil yaqeen tha.. Woh unke ghar kayi baar gaye the hamsaaye ke tor par musaalehat ke liye taaziyat ke liye, lekin Hashim Mubeen zindagi mein kabhi unke ghar nahi aaye the. Aaj woh aagaye the to unhein yakeen nahi aa raha tha. Woh ab unke pados mein nahi rehte the. Woh ghar chhod kar jaa chuke the us ghar mein ab koi aur rehta tha aur ghar bikne ki khabar par Salar ne be had koshish ki thi ke samne aaye baghair darpardah kisi aur ko darmiyan mein rakh kar woh ghar khareed pata.. Woh nakam raha tha. Hashim Mubeen ke bete ab bohot taqatwar the aur Hashim Mubeen bohot kamzor ho chuke the. Unke dil mein faislay ki khwahish thi. Haath mein taqat nahi thi, jin property dealers ke zariye Salar Sikandar unse rabta kar raha tha, woh bhi apni koshishon mein kaamyaab nahi hue the. Ghar tukde tukde ho kar bika tha, kyunke woh bohot bada tha. Aath kanal ka woh ghar teen hisson mein bat kar bika tha aur is ke bawajood us par kuch aur cases the jo Imama ki behnon ne apne hissay ke hawale se kiye the.
Sikandar Usman ne Salar ki saari koshishon par paani pher diya tha. Woh is haq mein nahi the ke woh matnaza jaiddad khareedi jati, khaas tor par is liye kyuke woh Imama ke waldain ki thi aur dono families ke darmiyan tanaziaat the, jo Salar ke khud pas pardah reh kar samne kisi aur ko rakh kar us ke zariye aisi kisi khareed o farokht ke shadeed mukhalif the, khaas tor par is liye bhi ke Salar ke paas itna bada ghar khareedne ke wasail nahi the. Woh qarzah aur udhar liye baghair aisi koi khareed o farokht kar nahi sakta tha aur Sikandar Usman zindagi mein kabhi qarz aur udhar par ayaashiyan aur alle tallah karne ke haq mein nahi rahe the.
Aur ab woh ek lambe arse ke baad jis Hashim Mubeen ko apne samne dekh rahe the. Woh is rawaonat, tamkinit ka saya the jo kabhi unke hamsaaye mein rehte the aur jo unse baat tak karne ke rawadar nahi hote the. Chehre par jhiriyon ka jaal liye zard rangat, kamar mein kham ke saath jo zaeef aadmi unke samne baitha tha, woh pehli nazar mein unhein pehchan nahi paye the. Unki samajh mein bhi nahi araha tha ke woh unke saath kya rawiya rakhein. Aakhir ab kya shai thi jo unhein khinch kar yahan laayi thi. Mujhe Imama se baat karni aur milna hai. Chand hi jumlon ke baad Hashim Mubeen ne unse kaha tha.
"Woh yahan nahi hai." Sikandar Usman ne bade muhtaat andaz mein unhein bataya.
"Main jaanta hoon. Woh Congo mein hai. Main wahan ka number lena chahta hoon. Wahan ke haalaat kharab hain. Woh theek hai?" Unhone ruk ruk kar lekin ek hi saans mein saari baatein kahi thi. Sikandar ki samajh mein nahi aya, woh kya kahen.
"Haan.. woh Salar aur bachay theek hain." Agar woh tashweesh mein yahan aaye the to Sikandar Usman ne unki woh tashweesh door kar di thi. Woh phone number ka mutalba gol kar gaye the.
"Main us se baat karna chahta hoon, ek baar us se milna chahta hoon." Hashim Mubeen apna mutalba nahi bhule the.
"Main Imama se poochay baghair us ka number ya address aap ko nahi de sakta." Sikandar Usman ne koi tamheed nahi bandhi thi.
"Main usay koi nuqsaan nahi pahuncha sakta ab." Unhone bohat thake hue lehje mein kaha tha.
"Aap usay bohat zyada nuqsaan pehle hi pahuncha chuke hain." Sikandar Usman ne turki ba turki kaha. "Woh ab apni zindagi mein set hai. Woh apne bachon ke saath bohat khush, be had mutmaeen zindagi guzar rahi hai. Aap kyun ek baar phir usko disturb karna chahte hain. Aap ki beti ne pehle hi aap ki wajah se bohat takleef uthai hai. Aap ab usay chhod dein. Usay baksh dein."
Hashim Mubeen ke chehre ki jhuriyan ek dam barhi thi, phir unhone madham awaz mein kaha. "Main jaanta hoon, mujhe ehsaas hai."
Sikandar bol nahi sake, woh unke munh se yeh jumlay sunne ki tawaqqo nahi kar rahe the. "Bas ek aakhri baar milna chahta hoon us se... Us ki ek amanat hai, woh deni hai mujhe aur us se maafi mangni hai."
"Aap mujhe apna phone number aur address de de main usse baat karunga phir aapse raabta karunga "Aap kaha rehte hai..?" Sikandar ne usse pucha."Ek old home mein" Sikandar chup ke chup reh gaye..Hashim Mubeen uth khade hue the "Imama ko bata de maine Islam qubool kar liya hai phir wo mujhse zarur baat karegi"
Apni nashisht se khade hue Sikandar Usman unke agle jumle par dambakhud reh gaye the.
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...