part 78

2K 66 32
                                    

Reisah Salar ki zindagi par agar koi kitaab likhne baithta to yeh likhe baghair nahi reh sakta tha ki woh khush qismat thi. Jis ki zindagi mein aati thi, uski zindagi badalna shuru kar deti thi. Woh jaise paras patthar thi jo usse chho jaata... sona bannay lagta tha.

Salar Sikandar ke khandan ka hissa banne ke baad woh unki zindagi mein bhi bohot saari tabdiliyan le aayi thi aur ab Hasham se munsalik hone ke baad uski zindagi ke is khush qismati ke daire ne Hasham ko bhi apne ghere mein lena shuru kar diya tha.

Bahrain mein hone wale is tayyare ke hadse mein ameer samet shahi khandan ke jo afraad halak hote thay woh darasal Bahrain ki badshahat ke haq daaroon ki halakat thi. Peechay reh jane wala wali ahd no jawan, na tajurba kar aur awwam se bohot door tha aur us halqay mein be-hadd na pasandeeda tha jo ameer ka halqa tha.

Hasham ke baap Sabah bin Jirah ke weham o gumaan mein bhi yeh nahi tha ke woh ameer aur shahi khandan ke afraad ki tadfeen ki taqreebat mein shirkat ke liye jab Bahrain pahunchega to badshahat ka huma as us ke sar par aan baithega Bahrain ki council ke ek hungaami Ijlaas mein Wali Ahd ko bartaraf karte hue badshahat ke haq daaroon ki fehrist mein bohot neeche ke number par virajman Sabah ko aksariyat ta'eed se Bahrain ka naya ameer namzad kar diya gaya tha. Is ohde par use waqti tor par faiz kiya gaya tha magar agle chand hafton mein council ne is hawale se hatmi faisla bhi kar diya tha. Wali Ahd ki namzadgi council ke agle Ijlaas tak ke liye multawi kar di gayi thi.

Yehi woh khabar thi jo Reisah ko Hameen ne sunayi thi. Khabar itni ghair mutawaqqo aur naqabil yaqeen thi ke Reisah ko bhi yaqeen nahi aaya tha, lekin jab use yaqeen aaya to woh pur-josh ho gayi.

"Aur ab buri khabar kya hai?" Woh bhi suna do" usne Hameen se poocha tha.

"Hasham aur tumhari shadi mein ab bohot sari rukawatein aayengi. Sirf uske khandan ki taraf se nahi poore shahi khandan ki taraf se" Hameen ne bina kisi tamheed ke kaha tha. Woh fikrmand hone ke bawajood khamosh ho gayi thi.

Hasham se uski mulaqat America wapsi ke doosre din hi ho gayi thi. Woh waisa hi tha be fikr la parwah apne baap ke badle jane wale status ke bare mein ziada dilchasp nahi dikhaata hua. Uska khayal tha ke uske baap ko milne wala woh ohda waqti tha. Chand hafton ke baad council uske baap ki jagah shahi khandan ke un afraad mein se kisi ko us ohde par faiz karegi jo janashin ki daur mein uske baap se oopar ke number par the.

"Tumne apni family se baat ki?" usne chhute hi Reisah se wahi sawal kiya tha jis ke hawale se woh fikrmand thi.

"Hameen se baat hui, aur Hameen ne Papa se bhi baat ki hai lekin Papa ko hamare hawale se pehle hi kuch andaaza tha. Unhone kaha hai woh mujh se is issue par amne samne baat karenge lekin Hameen tumse milna chahta hai."

Reisah ne use bataya. Hasham se chand baar sarsari andaz mein pehle bhi mil chuka tha lekin yeh pehli baar tha ke Hameen ne khaas tor par us se milne ki farmayish ki thi.

"Mil leta hoon main to itna mashroof nahi rehta, woh rehta hai, tum us se poochh lo ke kab milna chahe ga." Hasham ne halki muskurahat ke saath us se kaha tha.

"Tumhari family ko meri adoption ka pata hai?" Is baar Reisah ne bilakhir us se woh sawal kiya tha jo baar baar uske zehan mein aa raha tha.

"Nahi meri kabhi un se is hawale se baat nahi hui lekin tum yeh kyun poochh rahi ho?"

Hasham uski baat par chonka tha.

"Unhein aitraaz to nahi hoga ke mein adopted hoon" "Kyun aitraaz hoga? Mera nahi khayal ke mere parents itne tang-nazar hain ke is tarah ki baaton par aitraaz karenge" Hasham ne dotok andaaz mein kaha. "Mein apne walidain ko bohot achhi tarah jaanta hoon."

Hameen se uski mulaqat do haftay baad taye hui thi, magar is se pehle hi Hasham ko ek bar phir emergency mein Bahrain bula liya gaya tha. Uske baap ki council ne mutfiqa faislay se ameer ke tor par tausi kar di thi aur Hasham bin Subah ko Bahrain ka naya Wali Ahd namzad kar diya gaya tha. Ek khasusu tayyari ke zariye Hasham ko Bahrain bulaya gaya tha aur wahan pahunchne par ye khabar milne par usne sab se pehle phone par Reisah ko ye ittela diya tha. Woh behad khush tha. Reisah chahte hue bhi khush naa ho saki. Woh ek aam aadmi se ek dum ek khaas aadmi ho gaya tha. Hameen ki baatein uske kaano mein gunj rahi thi..

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now