part3

7.6K 149 10
                                    

Salar ne hadbada kar aankh kholi. Kamre mein mukammal tareeki thi. Woh fori tor par samajh nahi saka ke woh kahan hai. Uski sun'aton ne door kahin kisi masjid se sehri ke aghaaz ka elaan suna. Us kamre ke ghup andhere ko khuli aankhon se khojte hue use agla khyaal us khwaab aur Imama ka aaya tha. Woh koi khwaab dekh raha tha.Jis se woh bedaar hua tha.

Magar khwaab mein woh Imama ko kya dikhane wala tha, use kuch yaad nahi aaya. Imama uske dil ki dhadkan jaise ek lamhe ke liye ruki. Woh kahan thi? Kya pichli raat ek khwaab thi? Woh yakdum jaise current kha kar utha. Apni ruki saans ke saath usne deewana waar apne bayein janib bed table lamp ka switch on kiya. Kamre ki taareeki jaise yak dum chhat gayi. Usne barq raftaari se palat kar apni daayini janib dekha aur poor sukoon hogaya. Uski ruki saans chalne lagi. Woh wahi thi. Woh ek khwaab se kisi dusre khwaab mein dakhil nahi hua tha.

Yakdum on hone wale bed side table lamp ki tez roshni chehre par padne par Imama ne neend mein be ikhtiyaar apne haath aur bazu ki pusht se apni aankhon aur chehre ko dhak diya. Salar ne palat kar lamp ki roshni ko halka kar diya. Woh use jagana nahi chahta tha. Woh use chand feet ke faslay par thi, gehri poor sukoon neend mein. Uska ek haath takye par uske chehre ke neeche daba hua tha aur dusra us waqt uski aankhon ko dhaanpe huye tha. Uski adh khuli hatheli aur qalai par mehendi ke khoobsurat naqsh o nigaar the. Mitte huye naqsh o nigaar, lekin ab bhi uske haathon aur qalaiyon ko khoobsurat banaye hue the. Salar ko yaad aaya, woh mehendi kisi aur ke liye lagayi gayi thi. Uske honton par ek muskurahat aayi.

Usne be ikhtiyaar chand lamhon ke liye aankhen band ki. Kisi aur ke liye?

Pichli ek shaam ek baar phir kisi film ki tarah uski aankhon ke samne second ke hazaaron hisse mein guzar gayi thi. Usne Saeeda Amma ke sahan mein is chehre ko nau saal ke baad dekha tha aur nau saal kahin gayab hogaye the.

Woh zara sa aage jhuka, usne badi narmi se uske haath ko uske chehre se hata diya. Bed side table lamp ki zard roshni mein usse chand inch door woh us par jhuka, use mabooth dekhta raha. Woh gehre saans leti jaise use zindagi de rahi thi. Use dekhte hue woh jaise kisi talism mein pahuncha hua tha. Be had ghair mehsoos andaaz mein usne Imama ke chehre par aaye kuch balon ko apni ungliyon se badi ehtiyaat se hataaya.

                                       ☆☆☆

Imama ki aankh alarm ki awaaz se khuli thi. Mundhi aankhon ke saath usne lete lete bed side table par pade is alarm ko band karne ki koshish ki lekin alarm clock band hone ke bajaaye neeche carpet par gir gaya. Imama ki neend yakdum gayab hui thi. Alarm ki awaaz jaise uske asaab par sawaar hone lagi thi. Woh kuch chilla kar uthi thi. Beḍ side table lamp on karke woh kambal se nikli aur be ikhtiyar kapkapayi. Sardi bahut thi. Usne kambal hataate huye beḍ ki pa anti ki taraf apni ooni shawl dhundne ki koshish ki... woh wahan nahi thi. Usne jhuk kar carpet par dekha. Use yaad aaya ki shawl raat ko sofe par rakhi thi, lekin us waqt woh beḍ room se nikalne ki himmat nahi kar paayi. Alarm ab bhi baj raha tha, magar nazar ab bhi nahi aa raha tha. Uski jhunjhalahat badh gayi thi. Tab hi usne achanak koi khayal aane par Salar ke bistar ko dekha. Woh khali tha. Use jaise yakdum yaad aaya ki woh kahan thi. Jhunjhalahat ek dum ghayab hui aur saath hi alarm ki awaz bhi... yeh sehri ka waqt tha. Imama, Salar ke ghar par thi aur yeh uski nayi zindagi ka pehla din tha.

Woh dobara apne bed par baith gayi. Kambal ke ek kone se usne apne kandhe dhanpne ki koshish ki. Uske jism ki kapkapaahat kuch kam hui. Usne pehli baar apne bed side table par padi cheezon ko ghor se dekha. Wahan raat ko Salar ne ghadi rakhi thi. Lekin ab wahan nahi thi. Ek chhota writing pad aur pen bhi tha. Paas hi card less phone tha. Pani ki ek chhoti bottle bhi wahi thi aur uske paas uska cell pada tha. Use ek baar phir alarm clock ka khayal aaya. Use yaad tha ki usne alarm nahi lagaya tha. Yeh kaam Salar ka tha. Shayad usne apne liye alarm lagaya tha.

Phir jaise uske zehan mein ek jhamaka sa hua. Bed ki woh side jo raat ko usne sone ke liye muntakhib ki thi, woh Salar ka bistar tha. Woh adatan daayein taraf gayi thi aur Salar use rok nahi saka. Woh kuch der chup chap baithe rahi, phir usne be had dheele andaaz mein apna cell phone utha kar time dekha aur jaise current kha kar usne kambal utaar phenka. Sehri khatam hone mein sirf das minute baqi thay aur Salar woh alarm yaqeenan use bedar karne ke liye laga kar gaya tha. Use be sakhta gussa aaya, woh use khud bhi jaga sakta tha.

Jab tak woh kapde tabdeel kar ke lounge mein gayi, uska gussa ghayab ho chuka tha. Kam az kam aaj woh us se khushgawar mood mein hi samna chahti thi. Sitting area ke dining table par sehri ke liye khana rakha tha. Woh bahut tezi se kitchen mein khane ke bartan lene ke liye gayi lekin sink mein do afraad ke istemaal shuda bartan dekh kar usse jaise dhachka laga tha. Woh khana yaqeenan Furqan ke ghar se aaya tha aur woh Furqan ke saath hi kha chuki thi. Use khama kha khush fahmi hui thi ki aaj uske ghar mein pehli sehri..toh wo zarur usi ke sath karega...ojhal dil ke sath ek plate lekar wo dining table par aa gayi..lekin wo chand lukme se zyada nahi le saki..use kam az kam aaj uska intezar karna chahiye tha...Uske saath khana khana chahiye tha. Imama ko waqai bohat ranj hua tha.

Chand luqmon ke baad hi woh badi be dili se table se bartan uthane lagi.
Bartan dhote dhote azaan hone lagi thi, jab use pehli baar khayal aaya ki Salar ghar mein nazar nahi aa raha. Apne haath mein maujood plate dhote dhote, woh use usi tarah sink mein chhod kar bahar aa gayi. Usne saare ghar mein dekha. Woh ghar mein nahi tha. Phir kuch khayal aane par woh behruni darwaze ki taraf ayi. Darwaza muqaffal tha lekin door chain hati hui thi.

Woh yaqeenan ghar par nahi tha. Kahan tha? Usne nahi socha tha. Uski ranjidgi mein izafah hua. Woh uski shadi ke dusre din use ghar par akela chhod kar kitni befikri se gayab ho gaya tha. Use pichli raat ki saari batein jhoot ka plan lagi thi. Wapas kitchen mein aakar woh kuch der be had dil shikastgi ki kefiyat mein sink mein pade bartanon ko dekhti rahi. Woh mehbooba se biwi ban chuki thi.

Magar itni jaldi to nahi. Naaz bardaari na sahi, khayal to karna chahiye. Uski azurdgi mein kuch aur izafah hua tha. Chand ghanton ke andar koi itna badal sakta hai, magar raat ko to woh uski ranjidgi badhti ja rahi thi. Yaqeenan sab kuch jhoot hi keh raha hoga warna mera kuch to khayal karta. Woh ranjidgi ab sadme mein badal rahi thi. Woh namaz parh chuki thi aur Salar ka abhi bhi kahin naam o nishan nahi tha. Use thodi si tashweesh hui. Agar woh Fajr ki namaz ke liye bhi gaya tha to ab tak to use aa jana chahiye tha. Phir usne is tashweesh ko sar se jhatak diya.               

                            ☆☆☆

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now