THE ULTIMATE BASH.

1.2K 119 4
                                    

Manik

To say the party was fun would be an understatement. We played games, a lot of them actually and ate food, drunked ourselves in the alcohol and at night 12, we wished each other a very happy new year.
Mom, Navya and Nandini were the only sober ones at the end of the party and now.......
"Mom...." i screemed. It pains like hell.

"Aa rahi hu. Shaant raho. Mana karu ki itna mat piyo. Mat piyo. Toh nayi laad sahab ko sunni kaha hai. Fir subah subah shuru ho jaate hai, Maaa...maa. Na Na.. maa kaha hu main naukrani toh hu.. jab kaam pade tab bula lo." God... Mogambo. Please ask her to be quiet. My head already hurts.

"Maa... sorry n. Please its hurting." Please god let her have pity on me.

"Haa haa Maa ki baatein toh dukhti hai tumhaare sir me. Baaki itni sharaab jo pi thi kal voh thodi tumhe kuch kar rahi hai. Maa hi buri hai."

"Mogambo sorry n. Please... kuch do its hurting."

"Haa toh dene hi toh aayi hu. Aur kya kar rahi hu. Aankhein kholega to dikhega n. Khol aankhein."

"Nahi Maa bohot dukh rahi hai aankhein. Cant open."

She sighs and i then feel a weight on my bed. She must have sat next to me.

"Muh bhi dukh raha hai kya?? Voh khol sakta hai ki nahi??"

I opened my mouth a little and she told me open it big. I did and she fed me some chicken soup. Aahh... instant relief. This goes on for a while in silence when i remember to ask maa a question.

"Mogambo...??"

"Hm?"

"Was I a difficult child to handle??"

"Why... you dont know??"

"Me bohot chhota tha. Batao n."

"Nahi... tum bohhot smart the.. humesha mera mood theek kar dete the."

"Really?? Sach me??"

"No. Deemag kharab karke rakha tha mera. Itni masti mene apni puri life me kabhi kisi ko karte nahi dekha. Kabhi kabhi to mujhe samajh hi nahi aata tha ki maine insaan ko paida kiya hai ya kisi bandar ko. Kahi bhi kabhi bhi latak jaate the. Pura wardrobe kharab kar dete the. Saare toys bikher dete the. Khaana time pe nahi khaate the. Schhol se aake uniform nahi change karte the. Upar se garden me jaake mitti me khelne lag jaate the. Itna gussa aata tha n mujhe kabhi kabaar ki kya bataoon. Bohot pareshaan kiya tha tumne mujhe bachpan me. Huh??"
I opened my eyes to stare at her while she spoke noticing how her tone changed from sweet to slightly sarcastically angry. My mouth wide open as i heard the last line of her speech. Was i such a naughty child. And that thought made my eyes teary.

"I am sorry." I got up and took my towel and entered the bathroom and shut the door behind me. My face like an upset baby. I heard a loud sigh.

"Manik... why are you upset? Tumne hi toh puchha tha?? Toh mene bata diya."

"But mene aapko bohot pareshaan kiya hai n. I am sorry."

"Aww mela big baby.... sabhi bachhe aise hote hai. Tum bhi bachhe the. But you were way better than other babies."

I opened the door and face her, my face serious.

KAISE BATAAOON TUMHE...जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें