Return Gift

910 152 116
                                    

A weekend update for my readers... Enjoy Reading

Naina realized since yesterday she was so busy in her own issues that didn't get time to talk with her... she even forget to inform her what all happened with her at clinic... to her utter surprise Kamya was back in town and waiting for her in same café where they met last time... she walked till there to meet her...

Kamya hugged her tightly with damp eyes, "sorry Naina, mujhe nahin pata tha ki voh Doctor tere saath jabardasti karegi... meri wajah se teri zindagi khatare mein pad gayi... please mujhe maaf kar de... mera aisa koi iraada nahin tha.. mein bas teri madad karna chahti thi... mujhe jaise hi sab pata chala mein nahin ruk paayi aur turant vaapas aa gayi..." she apologized as it was all planned by her but has no bad intentions to hurt Naina...

Naina rubbed her back to calm her, "shh... tu chup ho ja... mujhe pata hai tu jaan kar mujhe kabhi takleef nahin de sakti... mein khud itni confused thi ki kuchh samajh nahin pa rahi thi ki mere saath kya ho raha hai... tu ne mere liye itna socha vahi kaafi hai mere liye..." she truly believe her and never feel like to blame her for anything... at present she is the only one in Naina's life who trust her completely and support her unconditionally...

Kamya hold her hand, "pehle bata ab tu kaisi hai... mujhe nahin pata tha ki abortion se tujhe khatra hai... mujhe laga tu nervous hai aur mein jaanti hun tu kitni emotional hai, hamesha dil se sochti hai... bas isiliye maine Doctor ko permission de di tere behalf par... mujhe usane kisi complication ke baare mein nahin bataya tha... varna mein khud usey mana kar deti... darasal tera abortion secret rahe iske liye maine usey extra amount offer kiya tha... shayad jyaada paiso ke lalach mein usne tere baare mein nahin socha... mere haathon aa jaati toh uss Doctor ko mein maar hi daalti..." she said getting furious on Doctor who was ready to risk patients life for some handful of money..

Naina hold her hand to calm her, "mein theek hun ab... tu chinta mat kar... vaise bhi ab isase bura toh mere saath vaise bhi kuchh nahin ho sakta... aur ab jyaada kuchh bacha bhi nahin hai mere paas khone ke liye toh ab dard bhi nahin hota... mujhe toh yeh bhi nahin samajh aa raha ki kal meri jaan bachi iske liye mujhe khush hona chahiye bhi ki nahin... shayad iss duniya ki mein akeli insaan hongi jise yeh bhi nahin pata ki uski zindagi kisi ke liye maayane bhi rakhti hai ki nahin..." she mocked on her miseries that how life is welcoming her with shocking surprises daily...

Kamya tried to console her, "Naina tu aisa kyun sochti hai... aur koi maane ya na maane mein jaanti hoon ki tu dil ki kitni saaf aur masoom hai.. bachpan se hum saath rahe hai aur aaj mein jo bhi hoon sirf tere support ki wajah se hoon... mere parents ne mujhe kabhi paise aur pyaar ki kami nahin hone di par jis tarah tu mujhe ek behen, ek sachche dost ki tarah sambhalti hai, tere bina jeene ka toh mein soch bhi nahin sakti..." she hugged her tightly showering all her love and concern...

To divert her mind Kamya asked suddenly, "vaise mujhe pata laga kal tere husband ne tujhe bachaya tha.... aur toh aur uss doctor ko bhi arrest karwa diya... tu ne bataya nahin voh itna influential hai..."

Before Naina replied and told her about Sameer, waiter came to take order halting their discussion... Kamya ordered their favorite coffee and snacks for them...

Kamya asked, "vaise achchha hua tere husband ne tujhe bacha liya... iska matlab voh iss baby ko bhi accept kar lega ab... thank god usey thodi akal toh aayi..." she said smilingly taking a realaxed breathe...

Naina smiled faintly, "meri kismat itni aasaan nahin Kamya... unhone mujhe bacha kar do zindagiyaan tohfe mein di aur saath hi as a return gift mujhse 6 months ke divorce agreement pas sign bhi karwa liya hai... ab se 6 mahine baad hum donon on mutual consent alag ho jayenge... hamesha ke liye... ek aur divorce ka label hoga mere saath... what a destiny na... har baar sirf 6 mahine ki shaadi... meri kismat mein na shaadi ka rishta bhi expiry date ke saath aata hai... kiski hogi itni ajeeb kismat jaisi meri hai..." she said with a sardonic smile, wiping a lone tear rolled on her cheek...

Never Let You GoWhere stories live. Discover now