Ek Tarfa Pyaar

440 76 67
                                    

Present Day in Goa...

Naina was all lost sitting at backyard of their house seeing the vast ocean ahead... she jerked with a slight touch on her shoulder... she smiled dabbing her eyes to control shedding more tears while missing her love as doesn't want to show her weakness... without looking at back she said, "tum donon itni jaldi aa gaye... mujhe toh laga saari raat masti karne ke mood mein ho..."

Swati smiled coming in front sits, "plan toh kuchh aisa hi tha lekin Nehu itni thak gayi thi dance kar ke ki mein jabardasti usey vaapas le aayi... uska bilkul man nahin tha vaapas aane ka... tujhe yakeen nahin hoga lekin sabke beech lagta hi nahin ki yeh chaar saal ki bachchi hai... hamare poore friend circle ki toh jaise jaan basti hai Nehu mein... aakhir itni pyaari jo hai..." she keeps praising the little one who easily make her place in anyone's heart

Naina laughed slowly, "aur teri laadli bhi..." holding her hand she said with utmost sincerity, "sach kahun toh Nehu ka mujhse bhi jyaada tu dhyaan rakhti hai... kabhi kabhi lagta hai apni masti mein kho kar tum donon bhool hi jaate ho ki mein bhi hoon tumhare saath..." she said making grumpy face...

Swati hit slightly on her head, "abbey bewkoof, hum donon tujhe kaise bhool sakte hai... after all jab hum donon party se thak kar ghar aate hai tab tu hi toh kabhi hamara sar dabati hai aur kabhi hum donon ko aadhi raat mein jabardasti khaana khilati hai... ab itni caring friend aur mummy ko hum donon kaise bhool sakte hai..." she laughed teasing her back...

Naina hit slightly on her arm, "how mean of you two... vaise chalo isi bahane tum donon mujhe yaad toh karoge varna party aur masti karte waqt toh meri yaad bilkul nahin aati... mujhe samajh nahin aata ki tere saare friends Nehu ke saath kaise itne connected ho gaye hai... look at your age difference..."

Swati looking at her keenly suddenly asked, "Naina tera kabhi man nahin hota yun masti karne ka... I mean jab dekho tu yahaan akele jhule par baith kar ghanto iss samudra ko dekhti rehti hai... akele bore nahin ho jaati..."

Naina smiled looking ahead at the waves crashing onto the shore "bilkul nahin... balki yeh lehron ki awaaze, yun har baar kinare se takra kar vaapas samundra mein mil jaana toh mujhe bohot sukoon deta hai... bilkul vaise hi jaise tu apne dil mein uth rahe toofan ko party ke shor mein daba deti hai... tujhe yun sabke beech apne aap ko kho kar sukoon milta hai ya Nehu ke saath jabardasti ut patang harkatein karke aur mujhe akele mein apni yaadon ke saath sukoon milta hai..."

Naina pointing on her empty lone eyes said, "aur tujhe kya lagta hai ki mujhe nahin pata tu kaise apne akelepan se ladti hai aur mujhe dikhati hai ki tu khush hai, bindaas hai... jaise koi fiqr hi nahin"

Swati smirks faintly, "of course tu nahin samjhegi toh kaun samjhega... aakhir hum donon ek hi kashti par toh sawaar hai... na mujhe mere hisse ka pyaar mila aur na tujhe tere hisse ki khushiyaan... hum donon ki love life bhi kitni ek jaisi rahi hai na... ek tarfa pyaar..."

Naina holding her hand softly asked, "Swati, lekin mere paas Nehu hai... voh Nehu jiske liye maine apne pyaar ki qurbaani di... mein maanti hoon mere hisse khushiyaan thode waqt hi rahi lekin mujhe afsos nahin kyunki jo khushi maine Nehu ke roop mein paayi hai uske badle mein kuchh bhi balidaan kar sakti thi... aur mere paas apne pyaar ke saath bitaye voh pyaar bhare lamhe bhi hai jinko yaad karke mujhe aaj bhi sachchi khushi milti hai..."

"haan yeh nahin kahungi ki mujhe dukh nahin ya dard nahin hota lekin Nehu ki muskaan mere saare dard bhula deti hai... aur vaise bhi mein khush hoon ki jise maine shiddat se pyaar kiya voh aaj apni zindagi mein aage badh chuka hai, khush hai... ab mere dil pe koi bojh nahin... Nehu aur apne pyaar ki khushiyon mein hi meri bhi khushi hai... meri zindagi mein ek pal aisa aaya tha jab mujhe apne pyaar aur Nehu ke beech mein se kisi ek ko chunana tha aur maine Nehu ko chuna, toh regret kyun..."

Never Let You GoWhere stories live. Discover now