Dil Se Puchho

672 84 77
                                    

Sameer POV

"I Love You"... three magical words, jo na aaj tak maine kisi se kahe aur na kabhi kisi aur ne mujhse, kyunki maine kisi ko itna haq hi nahin diya sivaay mere apno ke, mere Nanu aur meri Maa... lekin aaj finally itane intzaar ke baad maine apne dil ki baat apne pyaar, apni Naina se kahi... jab hum saath the toh mein hamesha intzaar karta raha sahi mauke ka jab mein apni Naina se apne dil ki baat kahunga, lekin mein kitna galat tha... sahi waqt ke intzaar mein maine apni zindagi ke anmol palon ko kho diya... kyunki kehte hai na ki sahi baat kehne ke liye har waqt sahi hota hai... agar hamari feelings sachchi hai toh waqt aur kismat jaroor hamara saath deti hai.

Lekin aaj maine na waqt, na mauka, na ek proper proposal, kisi cheej ka intzaar kiye bina apne dil ki baat apne pyaar se kah di... kitna intzaar tha iss pal ka ki jab mein yeh kahunga toh voh meri baahon mein simat kar meri zindagi ki har kami ko poora kar degi...

Bachpan se maine pyaar ko dekha hai, samjha hai kyunki mere guru, mere aadarsh, mere Nanu jo mere saath the, mujhe sahi galat samjhane ke liye... lekin pyaar ko mehsoos kiya jab pehli baar apni Naina ko jungle mein dekha... voh lamha, jisne meri zindagi badal di... mujhe ek pal mein bata diya ki pyaar ka ehsaas kya hota hai... kaisa hota hai jab aap dil se, poori shiddat se kisi se pyaar karte ho... voh pyaar jiske liye aap kisi bhi hadd tak jaane se nahin darrte... marne se bhi nahin...

Aaj itane saalon ka mera pyaar muqammal hua jab mein apne dil ki baat bina kuchh soche samjhe kah di... aur sahi bhi hai, kyunki jo soch samajh kar kiya jaaye voh pyaar nahin hota... bas ab intzaar hai us lamhe ka, jab hamare beech ki saari galatfahmiyaan dur ho jaayengi aur meri Naina poore dil se mujhe qubool karke mujhe "I Love You" kahegi... jo pyaar dil mein chhupa hai voh uske hothon par aayega... lekin shayad meri manzil abhi thodi dur hai... aur voh pyaar hi kiya jo duriyon se darr jaaye...

तुम मुझे भूल जाओ ये, आदत बदल सकती है

पर तुम मेरी ही रहोगी , ये किस्मत नहीं बदल सकती है

POV end

Sameer remains stood dumb, unable to believe how much he was waited to say these words to her and expected her beautiful smile in return. But what hurts him more is that his love, his lifeline, Naina, she is no longer believing on him.

But at one side he was relaxed knowing her reason for him to leave years back. Even if he was not at all on fault but he cannot deny that just to give her surprise, to prove his unconditional love to her, he was the one who initiate to prepare the legal adoption papers without her consent but on contrary, things turned worst against him.

Seeing Sameer quiet and not replying to her anymore, Naina feels more disheartened. She was expecting him to deny saying he never wanted to give her precious child to anyone, and everything is a misunderstanding created by someone else, but he chose to remain silent.

She pushed him back with the little strength left in her body to get away from his grip. But he refuses to let her go away and remain holding her tightly in his arms. Her closeness, her fragrance soothing his chaotic mind to get strength to handle his messy relation now.

Naina was instantly enveloped in the fragrance emanating from him, hearing his voice, clear and tinged with determination, "tumhein sach mein lagta hai ki mein apni Angel ko khud se dur karne ke baare mein soch bhi sakta hoon... jiske aane se meri zindagi mein khushiyaan aayi, mujhe tum mili, mujhe mera voh pyaar mila jiski ummid bhi maine chhod di thi, jisne mujhe meri zindagi vaapas di tumhein coma se baahar laakar... jisne mujhe ek complete family ke hone ka ehsaas dilaya... jisko baahon mein lene ke liye mein itne saalon se tadap raha hoon... usey mein khud se dur karne ke baare mein soch bhi nahin sakta tha... kya tumhein mujh par itna bhi bharosa nahin tha..."

Never Let You GoWhere stories live. Discover now