Two-In-One

692 123 100
                                    

Nanu coming back to his room sits on his bed relaxely smiling looking at the frames hanging in front wall, "ab toh khush ho na tum donon... bilkul ziddi aur adiyal ladki aayi hai hamare ghar mein bilkul tum donon ki tarah... jhat se mujhe manakar maafi dilwa di tumhare laadle ko... aur mujhse bhi maafi mangwa li... itane saalon baad kisi ki daant padi hai mujhe... bohot kadak hai bilkul tumhari tarah..." he said making cute pout in a complaining tone to Nani...

Soon his expression changed into a contented smile plaster on his face, "lekin phir bhi mein khush hoon ki jo mein na kar paaya voh tumhare aashirwaad ne kar diya... apne laadle ki zindagi phir se khushiyon se bharne ke liye ek pyaari si Gudiya bhej kar... mein jaanta hoon jitna mein chintit tha uska dukh dekhkar utna tum donon bhi thi... lekin ab lagta hai sab theek ho raha hai... jis ghar ka sapna tum donon ne dekha tha ab lagta hai shayad hamare bete ko voh ghar, voh khushiyaan mil hi jayengi..." he keep talking to the love of his life and his beloved daughter, who left Sameer's responsibility on his shoulder... it was his daily routine talking to them informing what all going on in his life...

Completing all preparations of mid night celebration, they all decided to send Naina to call Nanu as all three were afraid of Nanu's wrath... they never forced Nanu to celebrate his birthday against his wish but this time they did all arrangements as per Naina's wish... but have no idea if Nanu will join them or not...

Sameer knowing Nanu's anger tried to comfort her, "Naina, dekho agar Nanu gussa karein toh vaapas aa jaana... please unki baat ka bura man manana... voh kabhi nahin manate apna birthday toh it's okay... agar hum jayenge toh bohot naraaz honge lekin I am sure ki tumhein  daatenge toh nahin kam se kam..." he was worried as doesn't want her to feel bad for anything...

Naina smiled assuring him, "don't worry... ab mujhe pata hai ki Maheshwari's ko kaise manaate hai so aap log wait karo... mein abhi aayi Nanu ko lekar..." giving a wink making him surprised she went upstairs to call Nanu...

Naina knocked softly on his door expecting him to be asleep but surprised hearing his voice from inside...

She knocked and entered getting his permission, "sorry Nanu, mujhe laga aap so gaye honge... lekin aisa kyun laga jaise aap kisi se baat kar rahe the" she asked curiously looking around as no one was there in the room except them...

Nanu laughed caressing her head, "mein toh apni jaan se baat kar raha tha... jaise tera voh majnu har waqt tere se chipka rehta hai vaise hi mein bhi jab tak poore din ka hisaab na de doon teri yeh Nani mujhse rooth jaati hai... saath mein meri beti bhi..."

Naina asked looking at frames, feeling her eyes wet, "aap donon ko bohot miss karte ho na..."

Nanu smiled wiping his own eyes, "shayad ek baar saans lena bhool sakta hoon lekin inn donon ke bina jeena padge kabhi socha nahin tha... lekin ab tu aa gayi hai na inn donon ki kami poori karne... meri two in one..." he laughed teasing her again...

Naina hugged him suddenly, "Nanu aap mujhse kabhi dur toh nahin jaaoge na... kabhi mujhse naraaz toh nahin honge na..."

Nanu seeing her getting emotional caressed her back to calm her, "mein apne bachchon se kabhi naraaz nahin ho sakta aur dur jaane ki toh baat hi nahin hai... bas tu waada kar kabhi apne Nanu aur mere bete ka saath nahin chhodegi... sach kahun toh jo sapne maine aur jaanki ne dekhe the voh ab poore hone ka waqt aaya hai... Vivek ke dhokhe ke baad laga hi nahin tha ki phir se ek baar yeh khushiyaan aayengi hamare ghar mein..."

Naina parted away wiped his eye, "hamare ghar mein aaj jo khushiyaan aayi hai unki wajah mein nahin balki aap aur aapka aashirwaad hai.... aapka bharosa hai hum par jo aaj hum sab saath hai... aur inn khushiyon ki shuruaat hum sab milkar celebrate karenge... aaj ke din..."

Never Let You GoWhere stories live. Discover now