Never, ever....

1.4K 80 74
                                    

Sameer sits next to her seeing her all lost in her thoughts extended a mug towards her, "have this coffee. I know aaj ka din bohot stressful raha hai tumhare liye..." he had seen her so lost throughout their lunch time even if all their misunderstandings got clearer. He purposely left Angel with Swati for a short nap, wanted to speak to her in alone.

She took the mug in her hand giving a faint smile, "thanks..."

Sameer keeping one hand around her from back asked, "hmm, toh ab bataao kya soch rahi thi... I know yeh sab janane ke baad tum..." though she had already accepted her mistake, but a lot of things still needs to reveal, and he never wanted to repeat their mistakes. Earlier also even if they were in good terms, but they hardly share their thoughts with each other, leads to so many misunderstandings between them.

She lowered her head, making him pause in confusion as he gazed intently at her, "kya aap kabhi mujhe maaf kar paaoge... jo kuchh bhi hua us mein aapki koi galti nahin thi... aapne mere liye voh sab kuchh kiya jiske maine sapne bhi nahin dekhe the, lekin maine aapko itana gehra jakhm de diya..." she felt guilt and doesn't know how to repent for her deeds now.

Sameer feels like to pull her in his tight embrace and let her forget all their bitter past but she stops him saying further, "mein koi safaai nahin de rahi lekin who waqt mere liye bhi bohot mushkil tha... mein aapse milne ke liye ready ho rahi thi jab Mrs Maheshwari mere room mein aayi... mein toh unse baat bhi nahin karna chahti thi lekin unhone jabardasti mujhe force kiya papers padhne ke liye... lekin maine papers padhkar bhi react nahin kiya aur unhein room se jaane ko kaha kyunki mujhe vishwas tha ki aap mere saath aisa kar hi nahin sakte..." she said showing all her trust on him which make her strong in front of that evil women.

Sameer holds her hand tightly in his grip seeing her struggling to reveal her part of story. He wanted to know everything which makes her to take this decision which ruins best moments of their life.

Naina started again, "mein usi waqt aapke paas aayi aur maine aapko voh papers dikhaye... mujhe ummid thi ki aap mana kar denge ki voh aapne nahin banwaye lekin aapne ek dam se accept kiya ki aap mujhe surprise dena chahte the aur aapne hi yeh sab plan kiya tha... mein poori tarah se shocked ho gayi aur aapse puchhna chahti thi ki aapne aisa kyun kiya lekin aapne kaha ki hamare bhavishya ke liye yahi sahi hai... aapne mujhse wada liya tha ki aap jo bhi mujhse maangenge mujhe dena padega..." her voice trembled thinking how much hurt she was at that time knowing his wish.

Sameer got shocked recalled his own words when he asked Naina to not deny for any of his request considering as his return gift... but little did he knew that she was referring to same papers with different clauses... his words rang in his mind realizing the confusion arise between them...

lekin yeh adoption papers maine bohot soch samajh kar banwaye hai... hamare future, hamari khushiyon ke liye yeh jaruri hai... ab purani baatein pichhe chhod kar aage badhne ka waqt hai... right... ek dusre ke saath, hamesha ke liye...

Sameer tried to clarify, "lekin mujhe laga tum asli papers ke baare mein puchh rahi thi... I was even surprised ki voh papers tumhare paas aaye kaise kyunki maine lawyer ko strict instructions diye the ki voh papers sirf mere paas aane chahiye..."

Naina taking a deep sigh kept her head on his shoulder, "lekin Sameer mujhe iske baare mein kuchh nahin pata tha... aapke accept karne ke baad toh maano meri duniya hi badal gayi thi... mein kya karti aur kaise accept karti ki jis bachche se mujhe itna attachment ho gaya hai usey aap kisi aur ko dena chahte the..."

She stops for a moment when a fresh pool of tears appear in her eyes, "aap jaante hai bachpan se har rishtey mein mujhe dhokha mila tha... paida hote hi mere sar se Maa papa ka saaya chhin giya, jinki shakal bhi mujhe yaad nahin... uske baad jinhone mujhe paala Maa baap bankar unhone bhi mujhe paiso ke liye istemaal kiya... phir Sharad ne apne selfish motive ke liye mujhe badnaam kar ke ghar se nikaal diya... aapse meri shaadi bhi ek dhokha tha, jiske badle mein mere fake parents ko ek badi rakam mili aur phir meri dost Kamya... jis par mein itna vishwas karti thi, jiske saath maine apna har sukh dukh share kiya tha usne hum donon ko alag karne ke liye kya kuchh nahin kiya..."

Never Let You GoWhere stories live. Discover now