Sajan ji ghar aaye

1.2K 56 11
                                        

Anokhi-Woh decorations dekh lia aapne.

Shaurya-Hmmm.

Anokhi-Varmala rakh diya?

Shaurya-Hmmm.Mujh par bhi toh dhyaan do naa.

Anokhi-Nhi kaam hai aur tumhe toh kisi bhi din dhyaan de sakti hoon. Not that kuch alag hoga.

She leaves.

One year back:-

Shaurya-Arre dekh toh tu. Koi naa koi sahi banda zaroor dikhega.

Anokhi-Haan naa.

Bebo-Tujhe toh nhi karna pada tha swipe right.

Anokhi-Haan toh sabki story same thodi hoti hai.

Kitty-Waise Anokhi never thought you are the dating app person.

Anokhi-Dating app person? Waise thi toh nhi. Kuch paane aayi thi Chandigarh. Uske sath koi mil gya. Mera career set hota, sab theekh hota toh shayd mein bhi dhoonti, pata nhi. I think shadi ko lekar mere mind mein ek image saa ban gya tha. Aur dating ko lekar bhi. Isliye maine kabhi seek nhi kia usse. I mean kuch batane ko nhi hai really. Shadiyan kaise operate hoti hai apne ghar mein jo dekha woh kafi tha uss concept ko pasand naa karne ke liye. But ab aisa nhi sochti mein.

Kitty-Obviously kyunki ho gyi shadi. Bhaiya se.

Shaurya-Achaa ek baat bolo mujhe mann mein chal rha hai isliye puchoonga mein. Maine sahi nhi kia tumse waise shadi karke. Magar yeh bolo ki agar uss din woh shadi nhi hoti toh kabhi mujhse shadi nhi karti?

Anokhi-Karti mein bas kuch din baad. Thoda career ko settle karne ke baad. And aur baatein bhi thi but ab toh woh sab nhi rha naa. Toh uss par baatein karke kya fayda. Magar humari shadi kyu discuss ho rhi hai. Hum toh yahan Bebo ke boyfriend ke baare mein baat karne aaye hai.

Shaurya-Humari shadi ko toh mein wifey sari life discuss karte rehna chahta hoon magar durbhagyavash Bebo ke liye ladka dhoodna padh rha hai. Dekha Bebo tumhari wajah se doosri important cheezon pe dhyaan nhi de paa rha hoon. Isliye jaldi kar.

Bebo-Bhaiya aapke romance  continue reh sake isliye mein apna romance ka chapter shuru karu? Kyu? And you know what how do I know ki yeh Anmol jaisa nhi hoga. Ho bhi sakta hai waisa hi ho. Dost hi samjhta mujhe aur two time nhi karta. Magar dost bhi nhi samjha isliye cheat kiya. Aur yeh log yeh toh dost bhi nhi hai. Shayd yeh two time tak seemit naa rhe. Three time karte honge. Yaa four times who knows. Waise Anmol ka bhi mujhe pata nhi tha bas. Shayd uske life mein bhi aur ladkiyan hogi. I gave up for him. And woh aise. Kitty ne mujhe bacha liya. I am so happy ki tumhari jaisi behen hai mere paas.

Kitty-Awwww Bebo! I love you so much. And aisa looser ladka kabhi bhi meri behen ko deserve nhi karta.

Anokhi-Such sis vibes. I miss di too. Di bhi meri life mein bohot important hai.

Shaurya-Waise tum usse kissi ke sath kyu setup nhi karti?

Anokhi-Di ko kaise karu?

Kitty-Try toh kar.

Anokhi-Impossible.

Shaurya-Mein karun try?

Anokhi-Di meri nhi sunti tumhari kahan se. And di khush hai naa. So?

Shaurya-Dekho I don't mean to say ki usse apne life ko complete karne ke liye ek ladke ki zaroorat hai. But ek experience ke basis pe I know traumatic tha magar shutting yourself from other things in life? Itne din maine isliye nhi kahan kyunki unko time chahiye tha. Sab sambhalne. Apni life sawarne ke liye. But she is incredibly well settled now. I am so proud of my sali. But usko bhi thoda life ko enjoy karna chahiye naa.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now