Part-18

373 59 26
                                        

Shaurya helps Mimi with the assignment and then goes to find Anokhi on the bed.

Shaurya- Anokhi! Tabiyat theekh hai? Tum already?

Anokhi- Haan. Kuch kaam nhi hai aur Mimi ko waise bhi mujhse project nhi karwana. So.....

Shaurya- Anokhi! Are you sure!

Anokhi- Hmm.

Later Shaurya returns to find Anokhi asleep.

Shaurya- Jaan. I mean Anokhi. Dinner ka time ho gya hai utho.

Anokhi- Sone do naa! Tired lag rha hai.

Shaurya- Anokhi! Mein khila doon? Yaa phir maa se kahun khilane ko?

Anokhi- Mein kha lungi.
And she tries to get up but she faces some difficulty.

Shaurya- Anokhi definitely tumhari tabiyat kharab hai. Chale doctor ke paas? Chalo. Mein tumhe leke chalta hoon.

Anokhi- Nhi. Mein theekh hoon.

Shaurya- Tum theekh nhi lag rhi.

Anokhi- Shaurya! Mein theekh hoon. I am ok.

Shaurya- Anokhi! Yaar. Khair chalo dinner lekar aata hoon. Tum yehi khaogi aur Mimi ko mein khila dunga apne hathon se. Tum rest karo.

Anokhi- Hmmm.

Later when Shaurya enters the room he sees Anokhi's phone buzz and he was not going to get it but then he sees it was close to the edge and tries to put it back. He notices a message from a health center. He opens it to find some report.

Shaurya- Anokhi! Yeh kya hai?

Anokhi- Woh.. woh. Bas report. Regular report.

Shaurya- Achaa. Isliye itni nervous ho tum haan.

Anokhi- Shaurya! Woh. Woh....

Shaurya- Bolo Anokhi!

Anokhi- Woh mere chest pe ek lump tha toh usko check karwane gyi thi aaj. Uncomfortable saa lag rha tha isliye. Doctor bole test karne ke liye. Ussike reports honge.

Shaurya- Aur yeh sab bolna zaroori nhi samjha? Anokhi mujhe laga hum dost hai. Fir yeh sab bataya kyu nhi?

Anokhi- Shaurya! Mein manage kar leti.

Shaurya- But mujhe nhi pata tha Anokhi. Chupaya kyu? Haan! Tumhari fikar karna hak hai mera.

Anokhi- Shaurya! But mein used to nhi hoon. Ki koi meri fikar kare.

Shaurya- Toh ab usesld to ho jao. But sab pehle detail mein kaho. Kya hua? Doctor ne kya kahan.

Anokhi- Report toh phone pe hai. Dekh lete hai. And it said that the tissues were non- cancerous. It was just a cyst and from the dimensions might require surgical intervention.

Shaurya- Anokhi! Yaar. Ye kyu nhi kahan. Mimi ko mere kareeb kar dia but khudko nhi.

Anokhi- Kyunki I fear being vulnerable. I have forgotten what that means. What that means to be vulnerable. I am not used to being taken care of. And I know you like me but tum jo Mimi ke liye kar rhe ho utna kafi hai. Mere liye takleef uthane ki zaroorat nhi hai.

Shaurya- Tumhare liye! I like you, you stupid girl! I really, really like you. You are becoming a bestie. And apne bestie ke baare mein mujhe itna bhi nhi pata ki woh theekh nhi hai! Haan?

Anokhi- Shaurya!

Shaurya- Par tumpe gussa baad mein karunga. Pehle baitho. Tumhara dinner lata hoon. Fir sab baki baatein. Aur doctor ke sath appointment kab hai haan? Mein bhi aaunga. Bas! Keh dia maine. Zyada chu chappad ki toh baarat ke sath pohonchunga. Sun lia?

Anokhi- OK!

Shaurya- Good.
And he gets her food and makes her eat. After which he gets Mimi to her.

Anokhi- Mimi! Ho gya project?

Mimi- Yes ladoo ne karwaya. I am sorry mumma aap bhi acchese hi karte ho. Sholly! Pleesh maaf kardo Mimi ko.

Anokhi- Aww mera bacha. Aaj se projects aur craft ladoo dekhnge ok. Mein maths aur evs dekhungi bas. Ok?

Mimi- OK mumma. But next week humare school mein drawing competition hai ladoo. Pleesh mujhe sikha do.

Shaurya- OK Mimi. Mein aap ko sikha dunga. But Mimi aap abhi so jao.

Mimi- Mumma story!

Shaurya- Mimi. Mumma ko aaj rest karne do. Mumma bohot tired hai.

Mimi- Mumma ko blood aa rha hai aaj? Oh mumma. Sorry. Mimi ne aaj aapse maggi banaya aur mat... mater... mateials lene bheja. Mumma! Bhagwan ji mumma ke blood ko rok do. Har baar kehti hoon aur aap sunte hi nhi. Meri bechari mumma ko tang mat karo bhagwan ji. Pleesh.

Anokhi- Achaa. Mein theekh hoon. Aaj blood day nhi hai. Mimi aao so jao. Come!

And Anokhi settles Mimi and makes her sleep.

Shaurya- Anokhi! Tumhare dates ke waqt agar tumhe help chahiye toh maang lena. I know feminism and all. But agar kuch bhi chahiye hoga just ask.

Anokhi- Hmm. I know you so want to know and mark it on calendar. Parson hai.

Shaurya- OK noted ma'am. Waise Anokhi biopsy mein dard hota hai? Theekh ho naa tum. Cyst ke wajah se pain hai?

Anokhi- Nhi. Bohot halka. But prevention ke liye dikha diya.

Shaurya- Good! But ab yeh surgery.

Anokhi- Shaurya. Chota sa procedure hoga. Bas fluid nikal denge taki mujhe discomfort naa ho.

Shaurya- Anokhi! Dard hoga naa. Mein nhi! Kuch.. Anokhi mein hoon naa.

Anokhi- Mujhse zyada daare hue tum lag rhe ho. Itne chote se procedure ke liye darr rhe ho. Jab Mimi hue woh dekhke tumhara kya hota. And she had a sad laugh on her face. I wish tum Mimi ke real dad hote. Woh nhi. Tum ho uske dad but Mimi humesha se ye pyaar deserve karti thi Shaurya.

Shaurya- And you deserve to be loved and respected and feel wanted to. I don't love you that way yet. But I love respecting you. I love to see you smile. I love being around you Anokhi. And I will always try to be a companion to you. I promise.

Anokhi- Shaurya! Woh meri life ka sabse difficult face tha. Agar tumhare jaisa companion hota toh meri pregnancy beautiful hoti. But all throughout usne mujhe yeh feel karwaya ki mein bojh hoon, woh Anokhi nhi hoon jisse usne shadi ki thi, mein badal gyi hoon. Badal toh woh gya hai. I loved him till he cheated on me. He stopped loving me before.

Shaurya- Anokhi! Aisa kuch nhi hai. Usko responsibility nhi chahiye thi. He was not interested in being a dad. Kitna unlucky tha ki Mimi ko gale nhi laga paya. Kitna unlucky tha ki uski pyaari baatein nhi sun paya. Aur jisse tumhari kadar nhi thi. And I promise to be with you always. Even if you get pregnant. I mean... I mean. In case. Just in case.

Anokhi- Shut up! And she smiles.

Shaurya- Bas aise his smile karti rho. And tumhara phase life ka beautiful hoga aakhir tum jo khoobsurat ho itni.

Anokhi- Oh God! Kabhi toh ruk jao.

Shaurya- Kya ruku haan? Mimi abhi toh soyi hai. Yehi toh start karne ka time hai. Haan? Kyu ji!

Anokhi- Shaurya! Slow pace yaad hai.

Shaurya- Huh! Gentle man banne ke chakar mein tumhara man nhi ban paa rha hoon. Khair, seriously jaldi nhi. Take your time.

Anokhi- Thanks. But hum hath toh pakad hi sakte.

Shaurya- Tum puchke toh dekho.

Anokhi- Shaurya!

How was it? Do comment! Pleesh! As Mimi says. Mimi ke liye thoda pyaar bhej diye comments mein. Pleesh. Aur ho sake toh kuch jalebi bhi. 😁🤭🤭🤭

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now