Part-31

345 51 21
                                    

Anokhi- Shaurya ab toh sath baj gye. I am sorry. Tumse baat karte karte waqt kab nikal gya pata hi nhi chala.

Shaurya- Arre pleasure is mine ki tumhe pata nhi chala. Aur tumhari baatein sunne ka mazza toh aur kissi cheez mein nhi.

Anokhi- Par dinner ka kya?

Shaurya- Anokhi! Ek kaam karo tum Mimi ko pickup karke lekar aao. Tab tak mein dekh lunga.

Anokhi- Par?

Shaurya- Jao naa. Mujhpe chod do.

Anokhi( In her mind)- Kahan maine socha ki drive pe chalenge. Aur yeh! Toh samjh hi nhi rhe mera ishara. Khair.

When Anokhi returns after picking up Mimi, she finds the table set on the terrace with Chinese. Noodles and Manchurian was put up for her.

Anokhi- Oh! Yeh... Toh maine abhi kahan... Itni jaldi.

Shaurya- Mummas ka help lia hai. Baitho naa. Woh naa mein chole kulche banata but chole khatam ho gya hai.

Anokhi- Shaurya thank you. Yeh bhi bohot hai. Yummy saa! Only for me.

Mimi- Mumma Mimi full hai. Aap hi khaoge pura mumma. Ro mat mumma. Sab aapke liye hi banaya papa ne. Thnku papa. Mumma ke liye karne ke liye. Agli baar Mimi ke liye bhi karna.

Shaurya- OK Mimi. Anokhi chalo baitho. Serve kar deta hoon. You know yeh perfect date hai Mimi bhi hai.

Mimi- Oh Mimi toh har date pe hoti hai naa. Matlab kal ke date pe bhi thi. Parson bhi thi.

Shaurya- Woh date nhi Mimi bacha.

Mimi- Oh papa. Kaunsa date hai woh?

Shaurya- Uss date pe mumma papa time spend karte hai. Taki ek dusre ko jaan sake.

Mimi- Papa aap mumma ko nhi jante? Oh papa. Anu maa hai aapko pata hai naa. Anumaa yeh ladoo hai aapko toh pata hai naa.

Shaurya- Bas usse thoda zyada.

Mimi- Oh mumma office jati hai. Papa college jate hai. Dono ka address hai Sabawal house. Dono Mimi se pyaar karte hai. Dono cute hai aur pyaare hai. Aur kuch jaana hai papa.

Shaurya- Haan. Jaise mumma ka favorite color, favorite dish, favorite film, favorite song, favorite ice cream. Sab.

Mimi- Oh papa. Mimi ko itna nhi pata. Mumma hi bata do.

Anokhi- Oh Mimi shona. You love mumma. Bas hai mumma ke liye. Mumma aapko noodles khilade? Bhook lagi hai Mimi ko?

Mimi- Nhi. Mimi ka paetu full hai mumma. Aur khaiongi toh burst ho jaega.

Anokhi- Mimi! Kitna cake khaya aapne haan. Mumma ne kahan tha naa aapse. Khana khana hai proper. Not only sweet. But proper khana Haan?

Mimi- Mumma aaj toh party tha toh Mimi ne rule nhi kia follow.

Anokhi- Ok but next time se nhi chalega. Dinner skip nhi karna hai aapko. Ab mumma curd degi. Khana hai aapko. Mein lati hoon.

Shaurya- Ruko naa dinner kar lete hai phir de denge curd Mimi ko. Ok Mimi?

Mimi- Yes papa. Tab tak Mimi kya karegi?

Anokhi- Mumma ke sath baitho. Bolo party mein kya kya hua?

Mimi- Bada sa cake mila. Ladoo bhi mila. Matlab tum nhi ladoo. Khane wala ladoo mila party mein. Aur bhujia tha.

Anokhi- Arre khana ka nhi puch rhi. Meri shona! Kia kya?

Mimi- Khaya.

Anokhi- Aur kya kia shona.

Mimi- Oh game khela. Hide and seek.

Anokhi- Oh maza aaya shona ko matlab bohot.

Mimi- Yes mumma. Par aap aur papa bhi maza kiye naa. Jab Mimi nhi thi.

Anokhi- Woh. Papa aur mein toh baatein kiye bas. Aur kya shona. Achaa chalo mera dinner ho gya ab Mimi aur mein dahi khayenge. Aur phir Mimi ko sula dungi. Chalo Mimi shona.

Shaurya's brain had meanwhile been thinking of how he could shower her with all the love she had lost. It had to start with a dress for her. So he decided to buy her a beautiful salwar in blue, in Anokhi's favorite color. He and Mimi would wrap it and he would ask Mimi to give it to Anokhi.  That would make her most happy. But apart from that he wanted to make her feel at home. He wanted to make sure she felt like this was her family. He wanted to fill the void of not having her parents. He would talk to his parents.

Shaurya- Mom!

Aastha- Haan Shaurya. Kaisa rha date?

Shaurya- Achaa tha par.....

Aastha- Par?

Shaurya- Maa Anokhi jab beemar thi tab woh apne mom ko bohot miss kar rhi thi. Aur mein koshish karna chahta hoon uss kami ko pura karne ki. Mein chahta hoon ki hum sab uske sath aur time spend kare taki Anokhi unko miss bhi kare fir bhi uske paas hum ho jiske sarh woh apna dukh share kar sake.

Aastha- Arre Shaurya. Hum toh humesha hai. In fact woh toh tumse zyada favorite thi meri. Tumse zyada janti hoon usse.

Shaurya- I know bas uss feel karwana chahta hoon. Toh ussike liye plan kia hai ki hum sab kyu naa ek picnic ke liye jaye. Taki usse sabke sath bond karne ka mauka mile.

Shaan- Great idea! Plan mujhpe chod do.

Shaurya- Aur mom mein soch rha tha ki agar hum sab usse chote chote gifts de welcome karne ke liye. I mean wedding gift de chuke ho par. Kuch bhi chota. Bas usse special feel ho isliye.

Shaan- Arre Shaurya hume toh bas mauka chahiye gifts kharidne ka. Yeh sab kya keh rhe ho. Ho jayega. Mein sabko keh dunga.

Shaurya- Badi maa aur bade papa....

Tej- Arre kyu! Mein kyu peeche rhoon. Arre kuch special toh dena hi tha mujhe. Aise kaise. Maine kuch soch bhi lia hai. Aur Shaurya hum toh yeh chotisis cheez kar hi sakte hai usse welcome feel karwane ke liye. Ek naye ghar mein adjust karna. Nyi family banana bas shadi thodi hoti hai. Arre iss bond ko toh banne mein time lagega. Toh usse feel toh karwana banta hai.

Shaurya- Thanks bade papa! Thanks. Mein bas Anokhi ko bohot bohot khush karna chahta hoon. Usne jo takleefien face ki hai woh nhi deserve karti thi. Abhi bas usse dugni, chauguni khushiyan, smiles aur pyaar dena chahta hoon.  Bas. Usne bohot struggles dekhi hai. Ab bas woh apne liye jiye bas.

Aastha- Aisa hi hoga. Tum jo ho uske humsafar.

How was it? Do comment. Please, please comment.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now