Part-12

384 61 28
                                    

After all the fun, they had a beach side lunch and retired to their room for a afternoon nap. And the evening was all about Mimi in a swimming pool throwing water at Shaurya and Anokhi and they played a lot.

Anokhi- Shaurya dinner mein kya karna hai?

Shaurya- Hum baad mein kare dinner. Mimi ke sone ke baad?

Anokhi- Shaurya! I...

Shaurya- It is just a dinner but candlelight in the balcony.

Anokhi- Oh! Fir theekh hai.

Anokhi feeds Mimi and they put her to sleep.

Anokhi- Chalo abhi dinner karle?

Shaurya- Hmm. I ordered some sushi and grilled fish and prawn dimsums.

Anokhi- Oh God! Sounds so tasty. But ek soup hota toh accha lagta.

Shaurya- Achaa abhi kar deta hoon.

Anokhi- Thanks. Waise ab baatein kar sakte hai.

Shaurya- Woh toh hai! Waise Anokhi tumne schooling Kapurthala mein hi ki hai kya?

Anokhi- Huh! Haan.
She seemed flustered.

Shaurya- Arre isliye puch rha tha ki mera kuch dost bhi wahin se padhe hue hai toh bas. Aise hi general.

Anokhi- Hmmm. Woh wahan Navyajyoti school se.

Shaurya- OK. Woh ek bohot accha school hai shayd. Mera do dost wahin se padhe hue hai. Nice. School friends se abhi tak touch mein?

Anokhi nods in a no.

Shaurya- Mein bhi nhi hoon excluding kuch friends.

Anokhi- Oh aap unse milte ho?

Shaurya- Haan kabhi kabhi mil lete hum. Saal mein ek do baar. Utne touch mein nhi hai but milte hai toh accha lagta hai.

Anokhi- Waise aap bohot bright student rahe honge naa?

Shaurya- Padhai mein accha tha. Aisa koi brilliant nhi tha.

Anokhi- Oh.

Shaurya- Tum rhi hogi bright!

Anokhi- Mein bhi padhai mein acchi thi. Though sports se chid thi mujhe humesha se.

Shaurya- Kyu! Mujhe toh games khelne mein bada maza aata tha. I loved playing cricket and volleyball.

Anokhi- Wow! Accha hai Mimi ke sports ka dhyaan aap hi rakhna. Mein chahti hoon Mimi physically fit aur strong ho taki... Taki.... Kabhi koi usse hurt nhi.

Shaurya- Anokhi! Tum abhi bhi. Mera matlab hai tum theekh ho?

She has tears in his eyes.

Shaurya- Anokhi! Hey! Idhar aao. Mein kuch bhi aisa kehna chahta tha jisse... And tumhe kisine hurt kia? Haan? Anokhi! Bolo toh.

Anokhi- Nhi. Pehle wala. College... R...

Shaurya- Anokhi. Hey. Anokhi tum yeh kya keh rhi ho. That has nothing to do with whether u are fit or not. Samne wale ki niyat kharab thi. Tumhe bilkul aisa nhi lagna chahiye ki you could not defend yourself.

Anokhi- Shaurya! Par cost toh mein ne bhi bhara. Woh jail gya but! Fir bhi.

Shaurya- I know Anokhi. Relax. Bohot galat hua hai tumhare sath and woh din mein bhi nhi bhul sakta. But abhi tum safe ho. Abhi hum uss pal se dur aa chuke hai. Tum kuch bhi share kar sakti ho aur mein janta hoon aisi cheez kabhi nhi bhuli jaa sakti. But tumhe aise takleef mein bhi toh nhi dekh sakta.
Chalo thodasa pani pilo. Dinner ke baad hum Mimi ke paas chalte hai. I know usse dekhar tum theelh ho jati ho. Hai naa?

Anokhi- Usse dekhkar darr bhi lagta hai. Kisine usske sath! Nhi. Mein yeh.

Shaurya- Anokhi. Calm down. Hum usse humesha safe rakhenge. Mein usse kabhi kuch nhi hone dunga. Kissi ne uski taraf aankh bhi uthaya toh jaan le lunga.

Anokhi- Shaurya! Thanks. Thanks. Humesha mera strength banne ke liye.

Shaurya- Anokhi! I love you. Aur mein tumhe aise hurt nhi dekh sakta. Mera dil tut jata hai.
He realizes he said he loves her.
Mera matlab hai as a friend.

Anokhi- Shaurya. You are my best friend. Pichle kai salon se ho. Mere buddy. Humesha meri help karte ho. Khayal rakhte ho Mimi ka. And maine yeh date spoil kar dia.

Shaurya- Arre. Nhi. Achaa hua. Mujhe pata toh chala tumhare mann mein kya hai. Arre ek kaam karte hai. Dinner room mein khayenge. Tum wahan zyada comfortable feel karogi. Mein light on kar deta hoon. Come. And he drags the chair behind. And takes her slowly to the room.

Anokhi- Mujhse ab khaya nhi jayega. Mein nhi kha paoongi. Woh sab sochke.

Shaurya- Anokhi tumne kuch nhi khaya hai abhi bhi. Anokhi!

Anokhi- Shaurya please. Abhi nhi. Mein sone jaa rhi hoon. Tum kha lo.

Shaurya- Achaa sushi thandi bhi kha sakte hai. Yeh sab fridge mein rakh deta hoon. Ok?

Anokhi- Hmm.

Shaurya- Chalo. Mimi ke paas so jao. Achaa lagega tumhe. Aur aaj mein tumhe sula dunga ok? Jaise tum Mimi ko sulati ho.
And he keep caressing her forehead.
She takes his hand and holds it tight.

Anokhi- Kahin mat jaana Shaurya! Please.

Shaurya- Arre mein yahin hoon. Mein kahin nhi jaa rha. Mimi bhi hai.

Anokhi- Mein khudko bohot strong dikhati hoon but uss incident ne aur uske pehle wale incidents ne mujhe bohot zyada....

Shaurya- Anokhi! Jaan. Aise rote nhi. Mein hoon naa ab.

Anokhi- I know mein lame hoon. Itne din baad. Pata nhi achanak woh baatein.........

Shaurya- Anokhi! Mein samjh sakta hoon. Achaa sone ki koshish karo. Neend sab theekh kar deta hai. Sshh.
And he puts her to sleep. Anokhi abhi tak apne past se nikal nhi payi hai. I wish mein woh incident humesha uske memory se nikal pata. I just hope mein usse inn cheezon se dur le jaa paoon. And usne bohot struggle kia hai. Iss din tak pohochne tak. Itne young age se itni saari responsibilities uthayi hai. Ab it's time ki koi unhe share kare. Aur usse life ko enjoy karne ka ek mauka mile. And mein usse woh chance zaroor doonga ki abhi woh apne dreams aur wishes ko fulfil kar paye. Aur shayd aaj mein jaldbaazi kar di. I have to be careful. I mean shayd woh uss pace ke liye ready naa ho. So mein wait kar lunga.

How was it? Please comment. Guys! Waiting for comments.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now