Anokhi- Oh God mein itni late ho gyi! Mimi bhi late ho gyi hai. Ab kaise? Usko drop karna hoga school. Aur woh hai kahan!
Anokhi comes down searching for Mimi.
Anokhi- Mimi! Mimi! Masti nhi. Aapko school jana hai.
Devi- Arre. Shaurya school lekar gya hai. Tum so rhi thi toh usse laga tum tired hogi. Woh chod dega usse.
Anokhi- Oh! Thank god.....
Devi- Anokhi. Mein tumhara breakfast lati hoon. Tum ready ho jao.
Anokhi- Ji. Aap!
Devi- Arre bacha. Abhi hum family hai naa. Sab ek dusre ki help karenge.
Anokhi- Thanks badi maa.
Devi- Achaa ab jao ready ho jao.
Anokhi takes in a breath of relief that Mimi would be on time at school. She was so happy to have found some people to share responsibility with. If she would be staying by herself at this point she would have had to skip breakfast and drop Mimi at school. It felt so nice to not have to make breakfast for a day. She then went back to get changed. The rest of the day was smooth. When she returned home and was marking her deadlines on her calendar she realized the next day was her birthday. Mimi would definitely wish her atleast and Shaurga somehow always remembered and gave her a special gift. This was her first birthday post marriage. She had no idea what to expect but who knew and she slept. After sometime she hears some knocking at the door. She started to worry if everyone was healthy. When she opened the door, she heard a loud Happy Birthday Anokhi and party poppers went off.
Devi- Arre kitne boring ho tum log. Hume laga tum aur Shaurya jage hoge. Aur tum dono hi so gye!
Anokhi starts to blush.
Devi- Achaa chalo cake katte hai. Aur mere nalayak bete ko koi jagao.
Anokhi- Arre woh itne aaram se so rhe hai. Kyu uthana?
Devi- Aise kaise biwi ka nhi toh kiska birthday maneyga woh. Uthao sab milke usse.
Alok- Oh Shaurya puttar! Utho tumhari badi maa ka order hai.
Tej- Aur bade papa ka bhi.
Shaurya- Sone do naa..... Achaa sapne mein hoon. Let me go back into zone. Gn.
Tej- Oye! Sapne se nikal!
Shaurya- Bade papa. Aap yahan.
Tej- Haan Anokhi ka birthday ke liye kuch intezam Kiya tune nalayak! Woh humne kar toh dia. Abhi atleast cake khila de. Uth.
Anokhi- Woh toh theekh hai. I am very touched but Mimi ke bina kaise.
Mimi- Mumma. Light.... Band karo. Eyes mumma.
Anokhi- Yes Mimi baby.
Tej- Anokhi beta yeh humne socha nhi. Sorry!
Anokhi- Koi baat nhi aap cake rakh dijiye kal karenge hum.
Shaurya- Dekha aapke bete ko pata tha yeh hona hai. Isliye nhi utha woh. Anyways kal acchese celebrate karenge birthday.
Mimi- Mumma!
Anokhi- Haan. Mimi baby. Aa rhi hoon.
And Anokhi goes to make Mimi sleep but Shaurya was also awake until Mimi slept and that brought a smile on Anokhi's face. The next day morning she woke up and found a nice, new dress for her which was Shaurya's gift. She got ready in that salwar suit and then went to wake up Mimi.
Mimi- Happy birday mumma!
Anokhi- Thanks mera bacha. My shona. Idhar aao. And she tightly hugs her daughter.
Shaurya- Haaye. Mere biwi aur bqchi ko kisi ki nazar naa lage. Itne pyaari lag rhi ho. But late hona hai tumhe? Nhi naa toh chalo breakfast karlo tum dono jaldi. Aaj mumma ka favorite banaya hai dadi ne. Chalo!
Aastha- Chalo Anokhi pehle mooh mitha karte hai. Aaj shubh din hai. Tumhara fav bana hai. Kha lo. Halwa thoda pehle phir breakfast.
Mimi- Dadi! Mera kya! Mimi ko bhi halwa chahiye. Aur box mein bhi de do please.
Anokhi- Mimi! Box ke liye maid ne kuch aur banaya hoga naa. Aisa mat karo.
Aastha- Arre aaj badi dadi ne anu maa ka favorite pack karke dia hai. Palak paneer aur roti. Theekh hai?
Anokhi- Subah subah yeh sab pareshani mere liye kyu? Pehle se hi aap log Mimi ka tiffin bana dete ho ab yeh? Thank you. Par please naa. Mein kar lungi.
Devi- Beta aise kaise. Tumhara aaj janam din hai. Aap thoda laad pyaar bhi naa de tumhe?
Anokhi- Achaa achaa. Mein toh khush hi hoon. Aaj kamse kam woh sada hua sandwich nhi khana padega mujhe.
Devi- Beta aaj ke baad kabhi nhi khana padega.
Just when Anokhi realized what she said.
Anokhi- Arre nhi. Mein Mimi ke liye jo kal se banaungi wohi leke jaungi. Aap takleef mat kariye please. Mein dekh lungi.
Devi- Hum kahan. Maid bana degi.
Anokhi- Nhi. Mein kar lungi manage.
Aastha- Anokhi beta. Yeh har din sandwich nhi khana chahiye. Abhi tumhe woh sab khane ki zaroorat nhi. Shaurya jaise box le jata hai tum bhi le jana. Theekh hai?
Anokhi- Ji. Thanks maa.
Aastha- Chalo ab kha lo. Aur haan shaam ko party hogi. Ok?
Anokhi- Yes maa.
How was the update? Do comment! I am not getting comments. If I don't get, I will stop this story seriously.
