Part-25

315 51 27
                                    

Shaurya- Anokhi! Jaan. Ky hua haan.   Arre baat toh karo mujhse.

He calls the doctor and keeps trying to get her to consciousness. He kept pressing the wet washcloth against her forehead. Aastha and Devi were there too.

Aastha- Shaurya! Anokhi ko kuch nhi hoga. Doctor aa rhe hai. Beta himmat rakh.

Shaurya- Maa! Mein aise nhi dekh sakta usse. Usse bohot pasand karta hoon. Maa woh toh best hai toh uski tabiyat aisi kyu hai Maa. Mein bas nhi dekh sakta usse aise. Kuch bhi karo maa.

Aastha- Beta woh theekh ho jayegi.

Shaurya- Maa aise kyu lag rha hai ki duniya... Duniya ruk gyi ho. Usse aise nhi. Mujhse nhi ho rha hai. Bilkul accha nhi lagra. Anokhi utho! Please. Abhi bohot kuch janna hai mujhe. Aur woh bhi jaldi jaldi. I need to know everything. Tumne apna favorite subject nhi bataya, apna favorite channel nhi bataya. Tumne nhi bataya ki tum school mein kaunse bench par baith ti thi aur tumhare tiffin mein kya hota tha, tumne nhi bataya ki college ka woh kaunsa exam tha jisme tumhe sabse highest marks mila, tumhare favorite khel kya tha aur kachoriyan kahan se khati thi. Anokhi mujhe yeh sab sunna hai Anokhi. I know tum beemar ho but mujhse nhi ho rha hai sabar. Issi pal mein sab jaana hai. Anokhi please aankhen kholo. Tumhari aankhen aise band hai toh lag rha hai ki mein khatam ho gya. Itna akela kabhi nhi laga. Tumhari aadat ho gyi hai. Tumhare chehre ki mere kandhe par, tumhari baaton ki, tumhare baalon ki jo mere face pe aa jate hai subah tak, aur tumhari ungliyon ki jo aaj kal Mimi ke sath mere hathon ko bhi pakadne lagi hai, tumhare pairon ki jo mere pairon ke sath uljhne lagi hai. Anokhi tumhare mere sath hone ki aadat ho gyi hai. Tum jab office jati ho aur mein college tab har din dil tutta hai. Uss pal ka intezar hota hai jab hum milenge. Tumhare sath jab coffee peeta hoon tab lagta hai yeh world ki best feeling hai aur jab tumhe Mimi ke sath dekhta hoon toh kuch aadha adhura pura ho jata hai. Pati nhi shayd tumse pyaar ho gya hai.

He starts to sob.

Devi- Shaurya bacha sab theekh hoga aur phir tu Anokhi se yeh baatein acchese kehna. Perfect seeting mein. Par yeh doctor kahan hai? Uski toh mein.

Shaurya- Pehle woh Anokhi ko dekh le fir tang tod dena.

Devi- Achaa baba! Ab usse aane toh de.

Shaurya- Hmmm.

The doctor comes and checks.

Doctor- Unpe yeh medicines ka effect nhi hua hai dusra medicine suggest kar rha hoon.

Shaurya- OK doctor sahab. Hosh kab aaega?

Doctor- Aa chuka hai but khayal rakhiyega. She needs full rest.

Shaurya doesn't wait to answer but just rushes.

Shaurya- Anokhi! Meri Anu! Ab theekh lag rha hai? Zyada theekh nhi lagra. Kuch chahiye? Kya lekar aaoon. Kuch piyogi? Glucose? Pani? Haan? Chocolate shake. Green tea? Weakness hai. Anu mein hoon naa. Please bolo naa kya chahiye.

Anokhi- Kuch nhi theekh hoon mein.

Shaurya- Kya theekh hai! Mein marr gya tha. Ab tum bas bed pe hi rahogi. Mimi ka pura responsibility mera hai. I can't see you like this. Humari woh jo baatein adhuri reh gyi thi puri karni hai jaldi jaldi.

Anokhi- Shaurya! Abhi bhi...

Shaurya- No aap laeti rahiye. Mein Mimi ko dekhunga bas. Bas aur ek bhi baat nhi sunni.

Anokhi- It feels so strange so be loved like this. To be in a relationship where I am loved this way. I feel so loved in our friendship jitna mein apne previous love marriage mein nhi thi. In fact inn dono experiences ko compare karna bhi absurd aur weird lagta hai. Did he ever love me? That wasn't love. That I had then. I mean he found me beautiful. He used to tell me all those things he liked about me. But you showered me with love when I was just nothing. A series of coffee meeting memories lying unconscious on the bed. And I didn't really give anything.  I don't know. I am so grateful ki hum sath hai. This companionship feels so safe and so different and special. I am attracted to this man in front of him. I am in awe of him. I respect him. I find him cute and sweet and smart. But I am not yet in that love that you have fallen with me in.

Shaurya- That's OK. Kuch der fayda uthao iss mard ka. We can totally be friends with benefits.

Anokhi- Koi bohot eager ho rha hai benefits ke liye? Haan!

Shaurya- Arre. Woh toh bas. Ab tum ho hi. I mean. Woh. Tum.

Anokhi- Hot?

Shaurya- Bohot! Kaise control karta hoon mujhse hi pucho but control kar lunga sab. Filhaal tum bas theekh hone pe dhyaan do. Jaldi jaldi karo.

Anokhi- Koshish karungi.

Shaurya- Good. Ab Mimi ko lata hoon. Woh bhi darr gyi thi aise tumhe dekhke.

He gets Mimi!

Mimi- Papa. Thnku. Thnku. Mumma ko lane ke liye. Thnku papa.

Shaurya- Aapne mujhe papa kahan Mimi! Papa! Kahan aapne.

Mimi- Yes papa. Mumma hai aur papa hai. Aap papa ho meri. Ladoo papa ho aap. Kyunki aapne mumma ko theekh kia. Jaise mumma mujhe theekh karti hai.

Shaurya- Maine nhi. Doctor uncle ke medicines ne theekh kia.

Mimi- Par kitni bhi medicine loon mumma ka prayer aur pyaal se theekh hona hai mujhe papa. Waise hi aapke pyaal se hi mumma theekh hui hai.

Shaurya- Oh Mimi! Tumhari mumma ko theekh hona tha. Tumhati mumma jo hai.

Mimi- Oh ladoo papa! Mujhe aapko ladoo bulana bohot, bohot pasand hai. Isliye abhi bhi ladoo bulaoongi. Ladoo papa. Mere ladoo papa.

Shaurya- Meri gudiya. Meri jalebi. Meri mithai ki tokri! Papa really, really loves you.

Mimi- More than papa loves mumma?

Shaurya has a blush.

Anokhi- Yes. And Mimi aaj aapko thank you bolna hai mujhe. Aapki wajah se mein ladoo se mili aur mujhe ek best friend mila. Koi mila jo meri care karta ho. Thanks Mimi!

Mimi- Mumma! Aap meri care karti ho. Toh aapka bhi toh koi caring hona chahiye naa mumma. Bas....  Ab ladoo papa help karenge mumma ki caring mein.

Anokhi- Mimi! Mera bacha kuch zyada hi badon jaisi baatein nhi kar rha?

Shaurya-  Arre apni Mimi toh big girl banti jaa rhi hai. Kya soch rhi thi? Apni Mimi toh samjhdar hai naa?

Mimi- Samjhdar kya hota hai papa ladoo?

Shaurya- Jo smart hai. Jo sab samjh jaye aur dusron ki help kare.

Mimi- Mumma aur aapke  jaise ladoo?

Shaurya- Yes Mimi! Mera toh nhi pata but aapki mumma jaise.

Anokhi- Aisa nhi hai your papa is bestest.

Shaurya- Ab kar li tareef? Ab mumma and Mimi will rest. Pin drop silence ab.

How was it? Comment kar dena. Guys! Thanks to jalebi sending ppl.
shakhi_heart didi Mimi ko aapne chocolate aur issh kreem diya hai. Mimi ko yaad hai didi. Mimi thnku bol rhi hai. A_shakhi di ne jalebi bheja bohot saara. Mimi ne chupa lia hai mumma se. Mumma jab papa ke sath late aayegi tab Mimi kha legi. Thnku didi. But Mimi ko rabri nhi bheji. Pleesh bhej do. Badi dadi fridge mein chupa dengi mumma se. But aap log pleesh bhej do. Pleesh!

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now