Double scoop trouble

1.4K 76 34
                                    

A continuation of color coded hormones.....
Next day evening......

Someone is ringing Ahir's bell furiously.

Anokhi-Ahir! Darwaza kholo. Kitna time lagta hai ek darwaza kholne mein.

Ahir-Aa rha hoon.

Anokhi-You know mujhe kuch baat karni hai mere ghar ka decor bohot ghatiya lag rha hai.

Ahir-Achaa.

Anokhi-Arre kuch react toh karo. Pura grey itna boring lag rha hai. Unko toh aise hi colors pasand hai. Boring se unke jaise. Aaj bhi bhag gye kahin. Kabhi mujhe time nhi dete.

Ahir-Achaa.

Anokhi-Ahir ji aap kuch nhi bolenge?

Ahir-Tum Shaurya se baat karlo naa.

Anokhi-Shaurya ghar toh aaye. Kisi dost ke ghar gya hai. Mujhe chodke kisi dost ke ghar.

Just then Shaurya walks out. Shaurya was sitting in the bed room waiting for Ahir.

Shaurya-Ahir kahan reh gye tum?

Then he sees Anokhi.

Both together-Tum! Yahan!

Anokhi-Ahir aapne bataya nhi yeh yahan hai.

Shaurya-Tumne kyu nhi bataya Ahir?

Anokhi-Pehle maine pucha. And jab mein aayi thi tum already andar the isliye mujhe batana chahiye tha.

Shaurya-Exactly mein tha mujhe batana chahiye tha.

Ahir-Tum log dekh lo please. Mujhe jana tha date pe Reema ke sath. Ab jab dono hi yahan ho toh baat kar lo ek dusre se. Btw iss room mein teen log hai and all three hate the room decor. So kisi cheez pe agree karte ho. Ice cream khao jo doosri cheez hai jispe tum agree karte ho ki tum dono ko khani hai. Toh ice cream khao khush rho. Chalo bye. Waise mera plan kuch aur tha and tum logon ne screw kia. Toh hotel jaa rha hoon uska bill tumhe bhej dunga.

Shaurya-Ab do ice cream. (Anokhi had walked in with a tub of ice cream)

Anokhi-Mein khudki ki kyu doon. Aap kharid lo.

Shaurya-Tumhari nhi hai. Woh kal raat ko maine kharidi thi. Aur subah se dikh nhi rhi hai.

Anokhi-Ye wali meri hai kal wali khatam ho gyi. Kal raat ko bhuk lagi thi. Mein kitchen gyi thi lene. Wahan mujhe Yash dikh gya. Hum dono ice cream lekar baithe hi the ki badi maa dikh gyi. Hum teeno ne khatam ki.

Shaurya-Waah. Aise toh kuch bachega hi nhi ghar mein.

Anokhi-Fridge pe tala laga do. Mein apna ek alag fridge kharid lungi.

Shaurya-Madam ka kharacha ka nasha utra nhi.

Anokhi-Haan toh. Tumne hi kahan tha jo chahe woh gift le lena.

Shaurya-Gift lene kahan tha, gifts nhi.

Anokhi-Achaa. S ka hi toh farak hai.

Shaurya-Kya logic hai. Waise tumhara mansik santoolan theekh hai? Sach sach bolo.

Anokhi-I know sach bataoon toh bigada hua hai.

Shaurya-Toh isko theekh kaise karre?

Anokhi-Pata nhi filhaal toh ice cream khaungi mein.

Shaurya-Theekh hai ruko Ahir ke fridge mein dekhe?

They walk towards the fridge.

Anokhi-Butterscotch hai. Woh nhi khana.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now