Towel syndrome

887 64 69
                                    

Idea for this update from

Ricky482

So after Shaurya and Anokhi's wedding one day as all were having breakfast they see an exasperated Shaurya entering the dining area. Rest read to find out.

Aastha-Shaurya!!!

Bebo-Bhaiya!!!

Devi-Beta!!!

Aastha-Ye kya hai? Kapde pehne kyu nhi hai?

Kanchan-Bache hone ko hai and abhi aapko kapde pehna seekhana padega hume.

Shaurya-Shut up Kanchan!

Kanchan-Arre I think there is a chatpata story there.

Shaurya-Don't even mention chatpata ever again.

Kanchan-Kyu?

Shaurya-Chatpata order karke thak gya hoon.

Aastha-Order? Kab?

Shaurya-Raat ko bara baje sharp unhe kuch chatpata chahiye hota hai. And you know what khud toh khati hi hai mujhe bhi khana padta hai. And don't even ask her weirdness.  Kitni zyada imli ki chutney dalti hai woh it's so yuck yaar.

Devi-Aisa nhi bolte. Uska tastebuds badal gye hai.

Shaurya-Bas tastebuds? Wohi badal gyi hai puri ki puri.

Aastha-Aisa kya kar diya usne?

Shaurya-Mat puchiye maa. Aap sun nhi paoge.

Kanchan-Aisa kya kar diya bhaiya?

Shaurya-Nope you are not getting anymore gossip.

Bebo-Bhaiya aapne apni wifey ki burai toh kardi. Ab bole bhi why running around in towel?

Shaurya-Kyunki woh darwaze pe knock kar rhi thi jab mein Nahan rha tha. Knock nhi actually darwaza todne ka try samjh lo. Khola maine toh ghus gyi. Ki usko pehle ready hona hai. Yehi bhi koi baat hui. Kahan mein watermelon sugar gungunata hua shower ke thande pani mein relax kar tha aur yahan nikal diya gya washroom se. Fir pichle ek ghante se pata nhi kya hi kar rhi hai. Nhi khol rhi darwaza. Panch panch minute karte karte itna time ho gya. And mein aise makeup ki tarah sabun thopkar ghum rha hoon. Upar se almari mein kuch nhi mil rha hai. Usne pura hi almirah ulat pular kar diya  everything. Mere kapde, uske kapde sab. And I can't find anything that matches. Nahakar aata hoon. Then kapde dhoondooga. I will use your washroom Kanchan.

Anokhi- Shaurya tum kahan ho?

Shaurya-Ab mein kahan hoon pooch rhi hai. Last ek ghante se darwaza peeth rha hoon tab madam ko meri yaad nhi aayi. Ab mein bhi nhi jaunga.

Anokhi-Shaurya usse tumhari zaroorat hogi jao naa.

Shaurya-Haan haan zaroorat. Shayd kuch order karna hoga usko. Yaa phir koi cheez uss kabad khane se nikalna hoga. No way I am not going.

Saying he turns his face and sits on the sofa.

Bebo-Matlab pura din aap yhi pe towel mein bethe rahoge.

Shaurya-Mera ghar hai baitha rahunga.

Devi-Ok toh baithe raho aise hi sabun se pareshan ho jaoge khud hi apne kamre mein chale jaoge.

Shaurya-Kanchan tumhare room mein jaa rha hoon. And Anokhi aayegi toh batana mat. Wahan bhi pohoch jayegi.

Kanchan-Bhaiya!

Shaurya-Please naa. (With a pleading look)

Anokhi-Shaurya!!!! Kahan ho!!!! I need help!!! Tum aa kyu rhe?

Shaurya-Arre yaar. Nhi aa rha busy hoon.

Anokhi-Busy?

Shaurya-Busy hoon. Bye.

Shaurya-Can I hide in your room Badi maa. Yeh Kanchan toh jakar Anokhi ko sab bol degi. See usse toh ek straight face bhi nhi rakha jaa rha hai. Secret kya rakhegi.

Bebo-Secret ke standards drop ho rhe hai aapke bhaiya. Secrets toh hota hai jaise making out with loved one in public place yaa phir bunking for making out.

Shaurya-Is everything equal to making out for you guys?

Bebo-Ab aap nhi enjoy kar paa rhe ho toh hum pe rok laga rhe ho. Not fair.

Shaurya-Tumhe kya pata Bebo? And he has the distant look with a smile.

Aastha-And Hide? Itne bure din aa gye? Chupne jaa rhe ho. Aisa bhi kya kar diya meri Bahu ne. Bas thodasa.

Shaurya-Thodasa nhi bohot zyada mann mizaz ho gyi hai. Uske nakhre oh my god.

Devi-Haan jaise tumhare toh kabhi the hi nhi. Tumhare toh bachpan ke nakhre.

Shaurya-Haan bachpan ki baat alag hai. Woh bachi thodi hai.

Aastha-Bachi nhi hai but understand naa baba. Uske liye difficult hai naa.

Shaurya-Hmmmm.

Aastha-Toh jaa naa uske paas. This back bitching is not Shaurya.

Anokhi walks from behind.

Anokhi-But when Anokhi is not being her then how is Shaurya going to stay Shaurya? I am being difficult amnt I?

Shaurya-Arre nhi naa.

Anokhi-You can be honest?

Shaurya-Yeh trick question hai wifey? Matlab jo easy MCQ 4 marks ke liye aata hai with confusing options?

Anokhi-Nhi. It was rhetorical question. And I am sorry. It's just that my hormones, me tastebuds and my whole brain is split milk and gooey cheese.

Shaurya-And right now madam ko cheese khana hai?

Anokhi-Hmmm. Cheese pizza. But ab kahan se milega?

Shaurya-There is a good pizza maker at home so bahar jana hi kyu?

Anokhi-And college?

Shaurya-Lets bunk.

Devi-Pizza pehne I mean banane se pehle you might want to shower. Pura ghar sabun sabun ho rha hai.

Anokhi-Mera ho gya nahana. You cna go.

Shaurya-Toh mooh kyu latkaya hai?
Aur nahana hai.

Anokhi-Hmmm.

Devi-Aise thand lag jayegi.

Shaurya-Sir dard kar rha hai? Isliye naha rhi ho.

Anokhi-Har cheez ka mera koi logic ho yaa no aap usme logic dhoond lete ho.

Shaurya-Ab shadi ki hai. Itna toh kar hi sakta hoon tumhare liye. Apart from making a pizza.

Anokhi-Ek aur cheez kar sakte ho.

Shaurya-Kya?

Anokhi-Khata pizza bana do.

Shaurya-Bas yeh ek cheez nhi hoga. Aur bana bhi doon toh tum hi khao.

Anokhi-Matlab tum sachme bana doge?

Shaurya-Hmmm. But pehle tumhare sir dard ka kuch kia jaye. Uske baad pizza and then finally I will get some alone time in shower.

He makes her pizza and goes for shower. He is hearing music on his water proof ipod when he suddenly he hears someone knocking the door down.

Shaurya-Ab kya hai?

Anokhi-Jaldi darwaza kholo.

Shaurya-Anokhi kya hua. Kahin aur jao naa.

Anokhi-Shaurya I feel sick. I am going to vomit yaar. Please. Woh tumhare hath ka pizza khane ke baad theekh nhi lagra.

Shaurya-Yeh accha hai. Tumhari hi farmaish thi. Bana doon phir bhi chain nhi. Nhi bana doon phir bhi chain nhi. Ruko. Hey bhagwan! Kab nahaunga mein aise!!!!

How did you guys like this? Put in comments. That really makes my day. I am trying my best to quickly put out stories based on your suggestion.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now