Part-2

570 58 31
                                    

After sometime the doctor exits the room.

Reema- Ji doctor humari Anokhi kaisi hai? Woh theekh toh hai? Hum mil sakte hai usse? Doctor! Kuch kahiye. Aapne ilaj kia uska?

Kitty- Doctor koi ghabrane wali baat hai? Mera matlab hai sahi se ho gya ilaj unka?

Bebo- Doctor aap usse theekh kar dijiye jaldi.

Doctor- Beta. Abhi woh theekh hai. Humne saara procedure complete kar lia hai. She is safe but hum ek din ke liye unhe yahin rakhenge. Jab tak saare reports normal nhi aa jaate. Aur taki hum unke condition ko monitor kar sake. There was  vaginal tear which we have repaired but she needs to be taken care of for some days. Unhe abhi toh rest ki zaroorat hai. Aap jaiye unke paas. Unhe aap jaise doston ki bohot zaroorat padegi.

Reema- Ji doctor. Thanks a lot! Thanks a lot! Hum Anokhi se mil lete hai.

Reema, Bebo and Kitty rush to meet Anokhi.

Anokhi- Reema! Mimi. Mimi ke paas jana hoga.

Reema- Tu ghabra mat woh Shaan sir ke ghar mein thi aur khelte khelte so gyi. Tu kuch mat soch. Bas rest karle. Ho sake toh so jaa. Chal doctor ne kahan hai rest karne ke liye. Chal! Chal! Ab Mimi ke sath milna hai naa. Aur maasi ki toh responsibility hai ki Mimi ki maa ka dhyaan rakhoon. Chal ab rest karle.

Anokho- Bebo! Kitty! Mimi. Matlab meri beti hai woh. Woh meri gudiya hai.

Bebo- Achaa. Hume bhi milna hai tumhari gudiya se jo jald humari ho jayegi dekhna tum. Ab rest karlo.

Anokhi- Hmmm. I hope case mein sab theekh se ho jaye. Warna...mein Siac....

Bebo- Aisa sochna bhi mat jisne yeh kia hai naa usse saaza deke rahenge hum. Arre tu aisa soch bhi kyu rhi hai? Tere sath itna sab kuch karke tujhe kya lagta hai bhag jayega woh?

Anokhi- Woh professor hai. Agar kisine meri baat pe yakeen nhi kia toh?

Bebo- Professor ho yaa jo bhi ho. Usse toh saaza milegi.

Anokhi- Professor Vivek ne kia! Yeh mere sath......

Kitty- What!

Kitty, Bebo and Reema are shaken. All their encounters with Vivek flash before their eyes and they are overwhelmed, feeling angry, feeling unsafe, feeling vulnerable but in some corner also having a guilt they don't deserve to carry, guilty of assuming that he was safe.

Anokhi- Arre! Tum log mat socho. Mein theekh hoon sach. Aur chodo woh baatein. Reema concert ki baatein kare? Aur fest ki. Mere jaane ke baad Benny Dayal ne kya gana gaya. While saying this Anokhi's voice trembled. 

Reema- Anokhi chup kar. Hum kabhi nhi bhul sakte jo hua. Aur hume pata hai tu bhi nhi. Ab chal rest kar chup chap.

Anokhi lies down on the bed as Reema caresses her temple. Thinking that Anokhi was in deep sleep they switched off the light only to find her squirm and tighten her hold on Kitty's hand.

Kitty- Anokhi hum yhi hai. Anokhi! Hum kahin nhi jaa rhe.
Anokhi breaks down in the dark. The darkness of the room finally gives her the permission to be vulnerable and she continued to sob until the wee hours of the morning when she finally slept.

The next day morning:-

Anokhi- Abhi toh jana padega mujhe apni Mimi ke paas Reema. Mimi yahan nhi aa sakti aur usne aaj tak mere bina itna waqt kabhi nhi bitaya.

Reema- Anokhi par doctor ne tujhe kahan hai rukne. Mein Shaan sir se kehti hoon.....

Anokhi- Nhi Reema. Mujhe Mimi ke paas jana hai.

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now