Part- 22

395 57 25
                                    

After dinner they go to bed quickly owing to Mimi needing rest. In the night Shaurya can feel a lot of movement on the bed.

Shaurya- Mimi bacha so jao. Mimi! Aapko kuch chahiye theekh nhi lag rha?

Mimi- Nhi. Mumma iss taraf aa rhi hai. Mimi ko space nhi hai ladoo.

Shaurya- Achaa. Aap aa jao idhar. Ladoo adjust kar lenge ok? Idhar aa jao bacha. Dekhne do aap kaise ho.
And he checks her for fever. And finds she had fever.

Shaurya- Oh Mimi. Medicine deta hoon ok. Usse aapko theekh lagega. And he switches on the light to which Anokhi squirms.

Shaurya- Anokhi! Mimi ko fever hai medicine de rha hoon.
She didn't reply. She must have been tired. So he gave her medicine and put her to sleep. He kept monitoring her but finally both slept. Next day morning he woke up and checked Mimi first. Mimi was thankfully low on fever. But Anokhi had not woken up yet.

Shaurya- Anokhi! Jaan. Utho breakfast kha lo.
He went to her and found she was hot, the wrong kind of hot.
Anokhi!

Anokhi- Haan. Mimi theekh hai? Mimi! Bacha.

Shaurya- Haan par tum garam ho. I mean bukhar hai tumhe. Kahin tumhe pox toh nhi?

Anokhi- Ho sakta hai.

Shaurya- Anokhi! Babe. Tumhe nolna chahiye tha naa that tumhe kabhi pox nhi hua. I would have taken care of Mimi.

Anokhi- Mimi bachi hai meri Shaurya. How could I? Upar se mein kitne din se uske sath hoon. Hone hai hota toh ho jata. 

Shaurya- Anokhi! Yaar. Tum pehle breakfast kar lo.

Anokhi- Mimi! And she checks Mimi.
Mimi was sleeping peacefully but her rashes had grown in size and number.

Anokhi- Oh Mimi!
And she placed a gentle kiss on her and continued to caress her until Shaurya brought breakfast.

Shaurya- Ab kha lo Anokhi. 

At the moment Mimi woke up.

Anokhi- Mimi! Baby. Uth gye aap.  Mimi pain hai aapko?

Mimi- Mumma pura pain hai. Yeh sab jal rha hai mumma.

Anokhi- Baby abhi mumma ointment laga degi. Theekh hai. Pehle brush karenge theekh hai. My aapka brush ka saman lati hoon. Bed pe hi karlo.

Mimi- Mumma.
And she was crying.

Shaurya- Baby! Papa hai naa. Mimi. Mumma abhi ointment laga degi. Pain kam ho jaega. Ok. Ok bacha. Aapko das din ki chutti hai naa. Hum sab khub Tom and Jerry dekhenge. Mera accha bacha. Mera shona. Aise rote nhi. Aapko theekh hona hai naa? Dekho ab mein tumhe kitne acchese rakhunga. Hum masti karenge. Bohot ludo khelenge ok. Dekho Tom and Jerry ki CD hai. Woh chala doon.

Mimi- Mumma.

Anokhi- Yes Mimi baby.
And she makes Mimi brush.
Shaurya mein pehle Mimi ko sponge bath karwa deti hoon aur medicine laga deti hoon.
And she sets to work. Painstakingly washing every rash gently with cool ice water and then applying the ointment as she kept talking to Mimi about stars and planets and fairies and princes until Mimi had become calm. Anokhi found Mimi's fever had started and began to use a wash cloth to keep that in check.

Shaurya- Anokhi. Mein kar deta hoon.

Anokhi- Shaurya. Mimi ko aise nhi dekh sakti mein. Kuch bhi karo usse theekh kar do. Please Shaurya. Meri jalebi ko theekh kar do. Uske bina mera kuch nhi hai. Koi nhi hai Shaurya. Woh jaan hai meri.

Shaurya- I know baba! But Mimi ko kuch nhi hoga.

Anokhi- Sach naa?

Shaurya- Bilkul. Tum uska itna khayal rakh rhi ho. Toh kaise woh theekh nhi hogi haan.

Anokhi- Rashes ke wajah se usse pain hai. Mein kya karu?

Shaurya- Anokhi tumne medicine dia hai. Abhi so rhi hai. Usse aaram mil rha hoga. Tum itna stress mat karo. Tumne abhi tak kuch nhi khaya. Kha lo fir fever wali medicine deta hoon. Thodi der tum bhi rest karlo.

Anokhi- Nhi mein. Nhi. Mimi. Bas theekh ho jaye.

Shaurya- Anokhi! Woh ho jayegi theekh. Tumhe apna bhi toh khayal rakhna hai. And mujhpe trust nhi hai tumhe haan?

Anokhi- Hai. Par Mimi toh jaan hai meri naa. Aur jaan ke bina kaise reh sakta hai koi. Mujhe bas apni Mimi ko theekh dekhna.

Shaurya- Janta hoon baba.

Anokhi- Nhi Shaurya tum nhi samjh rhe. Bachpan se Mimi ko maine kabhi beemar nhi dekha zyada. Ek do baar usse bukhar hua toh mein toh toot si gyi thi. Mujhe yaad Mimi do saal ki thi aur tab mein odd jobs karti thi. Tab Mimi bohot beemar ho gyi thi. Aur mein woh din kabhi nhi bhul sakti. Mimi meri bachi hospital mein unn wires ke beech. Shaurya Mimi ke eliva itne saal mera koi nhi tha.

Shaurya- I know. Anokhi itne saal tumhe akele khayal rakha hai Mimi ka. Usse akele apne pyaar se seecha hai. Usse akele bada kia. Aur tum par jo beet rhi hai woh nhi samjh sakta. You birthed Mimi Anokhi, that too alone. Aur usse akele pala hai. But ab mein bhi hoon, responsibility share karne ke liye. And I think tumhe time chahiye kisiko trust karne ke liye with Mimi but still jaan. Tum khud beemar ho. And tumhe Mimi ka dhyaan rakhna hai rakh lena. Par mujhe tumhara dhyaan toh rakhne do. Mimi ki Patti tum kar lena. But tumhe dawai dena, khana khilana toh kar sakta hoon naa mein? Haan! Jaan.

Anokhi- Shaurya! I know you love Mimi too but as a mother mein, mein iss cheez ko kaise...

Shaurya- I know. Samjhta hoon. It's ok. Woh chodo. Breakfast kha ko. Fir atleast fresh hoke aao. Mimi ko ek second ke liye bhi nhi chodunga mein. Bas fresh hoke aa jao. Fir dawai deta hoon. You gotta rest!

Anokhi- Hmm. Kaise rest karun.

Shaurya- Anokhi for every second you are a away from her I will be with her 100%. Shadi ke waqt yeh wada kia tha. Marte dum tak nibhaunga. Mimi ka hath nhi chodunga. But you have to rest. Agar Mimi ko shak bhi hua tum beemar ho toh! Isliye bol rha hoon take care Anokhi jaan.

Anokhi had tears in her eyes listening to what Shaurya had to say and his infinite and pure love for Mimi.

Anokhi- Koshish karungi Shaurya. Koshish karungi.....

Shaurya- Good girl. Ab bohot baatein ho gyi, dekho Mimi ka hath pakad ke rakha hai tab tak nhi chodunga jab tak tum wapas nhi aati washroom se ok and tum kha lo kuch.

How was it? Do comment please. Mimi ko jalebi pasand hai, aloo ki jalebi nhi. Bhej dena guys. Aur mujhe pasand hai comments. Mimi ka request ka ki sab comments aur jalebi bheje. Thanks.....

Shakhi shortsWhere stories live. Discover now